Thursday, June 28, 2018

Zahar Ke Ghoont Bhi Hans Hans Ke Piye Jaate Hain

Zahar ke ghoont bhi hans hans ke piye jaate hain,
Hum bahar-haal saleeqe se jiye jaate hain...

Ek din hum bhi bahut yaad kiye jayenge,
Chand afsaane zamane ko diye jaate hain...

Hum ko duniya se mohabbat bhi bahut hai lekin,
Laakh ilzaam bhi duniya ko diye jaate hain...

Bazm-e-aghyaar sahi az-rah-e-tanqeed sahi,
Shukr hai hum bhi kahin yaad kiye jaate hain...

Hum kiye jaate hain taqleed-e-riwayat-e-junoon,
Aur khud chaak-e-girebaa'n bhi siye jaate hain...

Ghum ne bakhshi hai ye mohtaat-mizaaji hum ko,
Zakhm bhi khaate hain aansu bhi piye jaate hain...

Haal ka theek hai 'Iqbal' na farda ka yaqeen
Jaane kya baat hai hum phir bhi jiye jaate hain.!!

"Iqbal Azeem"
__________

Az-rah-e-tanqeed = by way of criticism,
Taqleed-e-riwayat-e-junoon = following traditions of frenzy,
Mohtaat-mizaaji = cautious nature,
Farda = Tomorrow,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...