Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum, 
Thukra na dein jahaan ko kahin be-dili se hum.. 
Mayoosi-e-ma'aal-e-mohabbat na poochhiye, 
Apnon se pesh aaye hain beganagi se hum.. 
Lo aaj hum ne tod diya rishta-e-ummid,  
Lo ab kabhi gila na karenge kisi se hum..  
Ubhrenge ek bar abhi dil ke walwale, 
Go dab gaye hain baar-e-ghum-e-zindagi se hum.. 
Gar zindagi mein mil gaye phir ittifaaq se, 
Poochhenge apna haal teri bebasi se hum.. 
Allah-re fareb-e-mashiyat ke aaj tak, 
Duniya ke zulm sahte rahe khamushi se hum.!!
"Sahir Ludhianwi" 
__________ 
Mayoosi-e-ma'aal-e-mohabbat = sorrow of consequence of love, 
Fareb-e-mashiyat = divine deception, 
No comments:
Post a Comment