Posts

Showing posts from September, 2019

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain, So us ke shahr mein kuchh din thehar ke dekhte hain.. Suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se, So apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain.. Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki, So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain.. Suna hai us ko bhi hai sher-o-shayiri se shaghaf, So hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain.. Suna hai bole to baaton se phool jhadte hain, Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain.. Suna hai raat use chaand takta rahta hai, Sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain.. Suna hai din ko use titliyaan sataati hain, Suna hai raat ko jugnu thehar ke dekhte hain.. Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhein, Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain.. Suna hai raat se badh kar hain kaakulein us ki, Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhte hain.. Suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai,  So us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain..  Suna