Posts

Showing posts from December, 2017

Baitha Nahin Hoon Saaya-e-deewar Dekh Kar

Baitha nahin hoon saaya-e-deewar dekh kar, Thehra hua hoon waqt ki raftaar dekh kar, Hum-mashrabi ki sharm gawaara na ho saki, Khud chhorh di hai shaikh ko may-khwaar dekh kar, Kya jaane bahr-e-ishq mein kitne hue hain gharq, Saahil se satah-e-aab ko humwaar dekh kar, Hain aaj tak nigaah mein haalanki aaj tak, Dekha na phir kabhi unhein ek baar dekh kar, 'Bismil' tum aaj rote ho anjaam-e-ishq ko, Hum kal samajh gaye the kuchh aasaar dekh kar..!! "Bismil Saeedi"

Wo Sun Kar Hoor Ki Taareef Parde Se Nikal Aaye

Wo sun kar hoor ki taareef parde se nikal aaye, Kaha phir muskura kar husn-e-zeba is ko kahte hain, Ajal ka naam dushman doosre maani mein leta hai, Tumhaare chahne waale tamanna is ko kahte hain, Mere madfan pe kyoon rote ho aashiq mar nahin sakta, Ye mar jaana nahin hai sabr aana is ko kahte hain, Namak bhar kar mere zakhmo'n mein tum kya muskuraate ho, Mere zakhmo'n ko dekho muskurana is ko kahte hain, Zamaane se adaawat ka sabab thi dosti jin ki, Ab un ko dushmani hai hum se duniya is ko kahte hain, Dikhaate hum na aaina to ye kyoon kar nazar aata, Bashar hooro'n se achchha tum ne dekha is ko kahte hain "Bekhud Dehlvi"

Shaam-e-mazaar Thi Na Koi Sogwaar Tha

Shaam-e-mazaar thi na koi sogwaar tha, Tum jis pe ro rahe the ye kis ka mazaar tha, Tadpunga umr-bhar dil-e-marhoom ke liye, Kam'bakht na-muraad ladakpan ka yaar tha, Sauda-e-ishq aur hai wahshat kuchh aur shai, Majnun ka koi dost fasana-nigaar tha, Jaadu hai ya tilism tumhaari zabaan mein tum jhooth kah rahe the mujhe aitibaar tha, Kya kya humare sajde ki ruswaaiya'n hui'n, Naqsh-e-qadam kisi ka sar-e-rahguzaar tha, Is waqt tak to waz'a mein aaya nahin hai farq, tera karam shareek jo parwardigaar tha.!! "Bekhud Dehlvi" ___ Na-muraad = Unrequited; unfortunate, Sauda-e-ishq = frenzy of love, Waz'a = condition, conduct, behaviour, state,

Pachhtaoge Phir Hum Se Shararat Nahin Achchhi

Pachhtaoge phir hum se shararat nahin achchhi, Ye shokh-nigaahi dam-e-rukhsat nahin achchhi... Sach ye hai ki ghar se tere jannat nahin achchhi, Hooro'n ki tere saamne soorat nahin achchhi... Bhoole se kaha maan bhi lete hain kisi ka, Har baat mein takraar ki aadat nahin achchhi... Kyoon kal ki tarah wasl mein tashweesh hai itni, Tum aaj bhi kah do ki tabiyat nahin achchhi... Jab itni samajh hai to samajh kyoon nahin jaate, Main bhi yahi kahta hoon ki hujjat nahin achchhi... Hooro'n ki taraf aankh utha kar bhi na dekha, Kyoon ab bhi kahoge teri niyat nahin achchhi... Pahuncha hai qayamat mein bhi afsana-e-ulfat, Itni bhi kisi baat ki shohrat nahin achchhi... Hum aib samajhte hain har ek apne hunar ko, Kya kijiye majboor hain qismat nahin achchhi... Mil aaiye dekh aaiye aaj aap bhi ja kar, 'Bekhud' ki kayi roz se haalat nahin achchhi..!! "Bekhud Dehlvi" ___ Tashweesh = anxiousness/ apprehension, Hujjat = argument, reason, altercation,

Na Armaan Ban Ke Aate Hain Na Hasrat Ban Ke Aate Hain

Na armaan ban ke aate hain na hasrat ban ke aate hain, Shab-e-waada wo dil mein dard-e-furqat ban ke aate hain, Pareshaan zulf munh utra hua mahjoob si aankhein, Wo bazm-e-ghair se aashiq ki soorat ban ke aate hain, Bane hain shaikh-sahib naql-e-majlis bazm-e-rindaa'n mein, Jahaan tashreef le jaate hain hazrat ban ke aate hain, Na rakhna hum se kuchh matlab ye pahli shart hai un ki, Wo jis ke paas aate hain amaanat ban ke aate hain, Sitam ki khwahishein 'Bekhud' ghazab ki aarzuein hain, Jawaani ke ye din shayad musibat ban ke aate hain..!! "Bekhud Dehlvi"

Na Sahi Aap Humare Jo Muqaddar Mein Nahin

Na sahi aap humare jo muqaddar mein nahin, Ab wo pahli si tadap bhi dil-e-muztar mein nahin, Aap ki baat ki waq'at nahin aslan dil mein, Aap dam bhar mein to haan karte hain dam bhar mein nahin, Mujh ko baawar to jab aaye ke kuchh ummeed bhi ho, Likh diya khat mein wo us ne jo muqaddar mein nahin, Main ne poochha tha kaho aur sataoge mujhe, Munh se nikli hai sitam-gar ke ghadi bhar mein nahin, Aap kyoon zikr se 'Bekhud' ke khajil hote hain Ye to wo naam hai jo aap ke daftar mein nahin "Bekhud Dehlvi" ___ Dil-e-muztar = anxious/troubled/Impatient Heart, Waq'at = weight, force, respect, regard, Baawar = belief, faith, confidence विश्वास, एतिबार, आस्था, Khajil = embarrass,

Mujh Ko Na Dil Pasand Na Wo Bewafa Pasand

Mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand, Dono'n hain khud-gharaz mujhe dono'n hain na-pasand... Ye dil wahi to hai jo tumhein ab hai na-pasand, Ma'ashooq kar chuke hain jise baar-ha pasand... Jins-e-wafa ko karte hain ahl-e-wafa pasand, Dushman ko kya tameez hai dushman ki kya pasand... Jannat ki koi hoor nazar par chadhi nahin, Duniya mein mujh ko ek pari-zaad tha pasand... Rondi kisi ne paa-e-hinaai se meri naash, Thi zindagi mein mujh ko jo bu-e-hina pasand... Wo bad-naseeb hai jise aaya pasand tu, Qismat to us ki hai jise tu ne kiya pasand... Chidte hain wo sawaal se ye hum samajh gaye, Hai is liye unhein dil be-mudda'a pasand...  Soorat bhi pesh-e-chashm hai sirat bhi pesh-e-chashm, Dam bhar mein to pasand hai dam bhar mein na-pasand... Tujh ko ghuroor-e-zohd hai sharm-e-gunaah mujhe, Zahid kise khabar ke khuda ko ho kya pasand... Chotein chalengi khoob baraabar ki jod hai, Tu hai ada-shanaas to main hun ada-pasand... Hir phir ke un ki aankh a

Dil Mein Phir Wasl Ke Armaan Chale Aate Hain

Dil mein phir wasl ke armaan chale aate hain... Mere roothe hue mahman chale aate hain.! Un ke aate hi hua hasrat-o-armaan ka hujoom... Aaj mahmaan pe mahmaan chale aate hain.! Aap hon hum hon mai-e-naab ho tanhaai ho... Dil mein rah rah ke ye armaan chale aate hain.! Us ne ye kah ke mujhe door hi se rok diya... Aap se jaan na pahchaan chale aate hain.! Rooth baithe hain magar chhed chali jaati hai... Kabhi paighaam kabhi paan chale aate hain.! Ye raha hazrat-e-'Bekhud' ka makaan aao chalen... Abhi dam bhar mein meri jaan chale aate hain.!! "Bekhud Dehlvi" ___ Mai-e-naab = neat wine,

Bazm-e-dushman Mein Bulaate Ho, Ye Kya Karte Ho

Bazm-e-dushman mein bulaate ho, ye kya karte ho... Aur phir aankh churaate ho, ye kya karte ho.! Baad mere koi mujh sa na milega tum ko... Khaak mein kis ko milaate ho, ye kya karte ho.! Hum to dete nahin kuchh ye bhi zabardasti hai... Chheen kar dil liye jaate ho, ye kya karte ho.! Kar chuke bas mujhe paamaal adu ke aage... Kyun meri khaak udaate ho, ye kya karte ho.! Chheente paani ke na do neend bhari aankho'n par... Sote fitne ko jagaate ho, ye kya karte ho.! Ho na jaaye Kahi'n daaman ka chhudana mushkil... Mujh ko deewana banaate ho, ye kya karte ho.! Mohtasib ek bala-nosh hai ai peer-e-mughaa'n... Chaat par kis ko lagaate ho, ye kya karte ho.! Kaam kya dagh-e-suwaida ka humare dil par... Naqsh-e-ulfat ko mitaate ho, ye kya karte ho.! Phir isi munh pe nazaakat ka karoge daawa... Ghair ke naaz uthaate ho, ye kya karte ho.!  Us sitam-kesh ke chakmo'n mein na aana 'Bekhud'... Haal-e-dil kis ko sunaate ho, ye kya karte ho.!! "Bekhud Deh

Dil Mein Hota To Kisi Taur Nikal Bhi Jaata

Dil Mein Hota To Kisi Taur Nikal Bhi Jaata, Ab Wo Shakhs Bahut Door Talak Hai Mujh Mein.!!

Usey Kahna, Meri Sochein Hiraasa'n Hain

Usey Kahna Meri Sochein Hiraasa'n Hain, Mere Jazbey Pareshaa'n Hain, Pareshaa'n Hai Mera Dil Bhi, Usey Kahna K Pahle Se Kahi'n Zyaada Kahi'n Badh Kar Mujhe Us Ki Zaroorat Hai.!!

Ek Main K Teri Yaad Se Waabasta Hoon Har Par

Ek Main K Teri Yaad Se Waabasta Hoon Har Par, Ek Tu K Mere Dard Mein Ras Ghol Raha Hai.! Kuch Main Bhi Teri Dastaras Se Door Raha Hoon, Kuch Tu Bhi Mere Waaste Anmol Raha Hai.! Ek Shama Hai Jo Taaq Pe Rakhi Hai Sar-e-shaam, Ek Bhanwra Hai Jo Jalne Ko Ko Par Tol Raha Hai.! Ujdey Huye Seene Mai Nakaam-o-pareshaan Dil, Hairat Hai K Is Shaan Se Kyoon Dol Raha Hai.! Wo Shakhs Subah Gosha-e-zindaan Mein Hoga, Mimbar Pe Jo Chadh Ke Azaa'n Bol Raha Hai.!!

Nafakkuraat Ke Asbaab Ko, Khuda Hafiz

Nafakkuraat Ke Asbaab Ko, Khuda Hafiz, Tere Khyaal Tere Khwaab Ko, Khuda Hafiz, Ye Rakh-Rakhaao Humari Sarisht Mein Hi Nahi, So...Isliye Adab Adaab Ko, Khuda Hafiz, Parindey Aate Nahi They So Mujhe Ko Kahna Pada, Udaas Jheel Ko Mahtaab Ko, Khuda Hafiz, Mazaar-e-meer Se Ghar Ko Palat Raha Hoon Main, Sukhan Ke Khitta-e-shadaab Ko, Khuda Hafiz, Main Apne Naam Se Jeena Pasand Karta Hoon, Mile Huye Sabhi Alqaab Ko, Khuda Hafiz, Tamaam Halqa-e-ahbaab Ko, Khuda Hafiz..!!

Jab Joban Tera Dhhal Jaaye

Jab Joban Tera Dhhal Jaaye, Jab Pyaar Ki Umr Nikal Jaaye, Jab Chhorh De Tujh Ko Husn Tera, Jab Chehra Pur Ho Jhurriyon Se, Jab Zulf Ke Kham Na Ho'n Baaqi Jab Rangat Na Ho Gaalon Mein, Jab Chaandi Utre Baalon Mein, Jab Aankh Ki Masti Toot Chuke, Jab Honth Bhi Surkhi Kho Jaayein, Jab Chhorh Dein Tujh Ko Sab Saathi, Jab Koi Na Tujh Ko Apnaaye..... Tab Mere Paas Chale Aana, Basti Ki Sooni Galiyo'n Mein, Ek Baitha Hoga Deewana... Jo Pyaar Ka Paaras Patthar Hai, Jo Tujh Ko Sona Kar Dega... Tere Joban Ko Wo Kya Jaane.?.. Teri Umr Se Us Ko Kya Matlab.?.. Tere Jism Se Us Ka Kya Rishta.?.. Jise Kahte Ho Tum Harjaai Hai Tere Naam Ka Shaidaai, Bas Tere Naam Ka Shaidaai..!! جب جوبن تیرا ڈھل جائے جب پیار کی عمر نکل جائے جب چھوڑ دے تجھ کو حُسن تیرا جب چہرہ پُر ہو جھریوں سے جب زلف کے خم نہ ہوں باقی جب رنگت نہ ہو گالوں میں جب چاندی اترے بالوں میں جب آنکھ کی مستی ٹوٹ چکے جب ہونٹ بھی سرخی کھو جائیں جب چھوڑ دیں تجھ کو سب ساتھی جب کوئی نہ تجھ کو اپنائے تب میرے پاس چ

Nikal Kar Dahshato'n Ke Is Jahaa'n Se

Nikal Kar Dahshato'n Ke Is Jahaa'n Se, Nayi Duniya Basaana Chahta Hoon..!!

Tere Baare Mein Jab Socha Nahi Tha

Tere Baare Mein Jab Socha Nahi Tha, Main Tanha Tha Magar Itna Nahi Tha, Samandar Ne Mujhe Pyaasa Hi Rakha, Main Jab Sahra Mein Tha, Pyaasa Nahi Tha.!! تیرے بارے میں جب سوچا نہیں تھا میں تنہا تھا مگر ____ اتنا نہیں تھا سمندر نے مجھے پیاسا ہی رکھا میں جب صحرا میں تھا, پیاسا نہیں تھا

Koi Aisa Jaadu Tona Kar

Koi Aisa Jaadu Tona Kar... Mere Ishq Mein Wo Deewana Ho, Yoon Ulat Pulat Kar Gardish Ki... Main Shama Wo Parwana Ho, Zara Dekh Ke Chaal Sitaaro'n Ki... Koi Zaaicha Kheench Qalandar Sa, Koi Aisa Jantar Mantar Padh... Jo Kar De Bakht Sikandar Sa, Koi Chilla Aisa Kaat, K Phir... Koi Us Ki Kaat Na Kar Paaye, Koi Aisa Ta'aveez De Mujhe... Wo Mujh Par Aashiq Ho Jaaye, Koi Faal Nikaal Karishma-gar... Meri Raah Mein Phool Gulaab Aayein, Koi Paani Phoonk Ke De Aisa... Wo Piye To Mere Khwaab Aayein, Koi Aisa Kaala Jaadu Kar... Jo Jag'mag Kar De Mere Din, Wo Kahe Mubarak Jaldi Aa... Ab Jiya Na Jaaye Tere Bin, Koi Aisi Rah Pe Daal Mujhe... Jis Rah Se Wo Dildaar Mile, Koi Tasbeeh Dam Durood Bata... Jise Padhun To Mera Yaar Mile, Koi Qaabu Kar Be'qaabu Jinn... Koi Saanp Nikaal Pitaari Se, Koi Dhaaga Kheench Paraande Ka... Koi Manka Ikshadhaari Se, Koi Aisa Bol Sikha De Na... Wo Samjhe Khush'guftaar Hoon Main, Koi Aisa Amal Kara Mujh Se... Wo Jaane J

Miley Jahaan Se Kisi Ko Kaante

Miley Jahaan Se Kisi Ko Kaante Kisi K Hissey Gulaab Thehre.! Jisey Wo Chahey Nawaazta Hai Ye Mere Rab K Hisaab Thehre.! Bada Raheem-O-Kareem Hai Wo Jisey Bhi De De Ye Uski Marzi.! Kisi K Hissey Sawaab Likh De Kisi K Hisse Azaab Thehre.! Ye Apni Taqdeer Se Mila Hai Kisi Ko Dariyaa Kisi Ko Sahraa.! Koi Tarasta Hai Boond Bhar Ko Kisi K Hissey Sailaab Thehre.! Koi To Din Mein Bhi Sapne Dekhe Kisi Say Neendain Bhi Door Bhaagein.! Kisi K Hissey Mein Rat'jage To Kisi K Hissey Mein Khwaab Thehre... Jisey Wo Chahey Nawaazta Hai... Ye Mere Rab Ke Hisaab Thehre.!!

Ye Mohabbatein Ye Inaayatein

Ye Mohabbatein, Ye Inaayatein, Ye Masarratein Tere Naam Hain... Mere Hum'qadam, Mere Hum'nasheen, Ye Rafaaqatein Tere Naam Hain... Kabhi Gum'shuda, Kabhi Ru-ba-ru, Kabhi Aaina, Kabhi Aks Tu, Mere Hum'nawa Meri Khwaahishein, Meri Sohbatein Tere Naam Hain... Kabhi Ye Hansi, Kabhi Ye Nami, Kabhi Ranjishein, Kabhi Qurbatein, Meri Zindagi Ki Hasee'n Sabhi Ye Ibaaratein Tere Naam Hain... Teri Zaat Se Hain Jurhi Hui Meri Minnatein Bhi Duaaein Bhi, Mere Dil'bara Mere Ishq Ki Ye Ibaadatein Tere Naam Hain..!! یہ محبتیں, یہ عنایتیں, یہ مسرّتیں تیرے نام ہیں، میرے ہم قدم! میرے ہم نشیں یہ رفاقتیں تیرے نام ہیں____ کبھی گمشدہ, کبھی روبرو, کبھی آئینہ, کبھی عکس تو، میرے ہم نوا میری خواہشیں میری صحبتیں تیرے نام ہیں کبھی یہ ہنسی,کبھی یہ نمی, کبھی رنجشیں ,کبھی قربتیں، میری زندگی کی حسیں سبھی یہ عبارتیں تیرے نام ہیں__؛؛؛ تیری ذات سےہیں جڑی ہوئی میری منتیں بھی دعائیں بھی، میرے دلبرا میرے عشق کی یہ عبادتیں تیرےنام ہیں___

Jitna Bhi Us Ko Sochun Utna Hi Door Paau'n

Jitna Bhi Us Ko Sochun Utna Hi Door Paaun... Jitna Bhi Us Ko Chaahun Khud Hi Bikharta Jaaun... Main Aam Sa Musaafir Be'aas Be'sahara, Wo Door Basne Waala, Ek Aasmaa'n Ka Taara, Main Ret Se Ulajhti Sahrao'n Ki Hawa Hoon, Wo Saahilo'n Pe Chalti Baad-e-sabaa Ka Jhounka, Haan Farq To Bahut Hai Par Baat Ye Faqat Hai, Main Laakh Toot Jaaun Khud Hi Se Rooth Jaaun, Par Ye Na Hoga Mujh Se Main Us Ko Bhool Jaaun..!! جتنا بھی اس کو سوچوں اتنا ہی دور پاؤں جتنا بھی اس کو چاہوں خود ہی بکھرتی جاؤں میں عام سا مسافر بے آس بے سہارا وه دور بسنے والا ، اک آسماں کا تارا میں ریت سے الجھتی صحراؤں کی ہوا ہوں وه ساحلوں پہ چلتی باد_صباء کا جھونکا ہاں فرق تو بہت ہے پر بات یہ فقط ہے میں لاکھ ٹوٹ جاؤں خود ہی سے روٹھ جاؤں پر یہ نہ ہوگا مجھ سے میں اس کو بھول جاؤں..!!

Udaas Shaamon Ki Siskiyon Mein

Udaas Shaamon Ki Siskiyon Mein Kabhi Jo Aawaaz Meri Sunna To Beete Lamhon Ko Yaad Kar Ke Unhin Fazaaon Mein Laut Aana Tum Aaya Karte The Khwaab Ban Kar Kabhi Mahakte Gulaab Ban Kar Main Khushk Honthon Se Jab Pukaarun Unhin Adaaon Mein Laut Aana Meri Wafaaon Ka Paas Rakhna Meri Duaaon Ka Paas Rakhna Main Khaali Haathon Ko Jab Uthaun Meri Duaaon Mein Laut Aana..!! اداس شاموں کی سسکیوں میں کبھی جو آواز میری سننا تو بیتے لمحوں کو یاد کر کے انہی فضاؤں میں لوٹ آنا تم آیا کرتے تھے خواب بن کر کبھی مہکتے گلاب بن کر میں خشک ہونٹوں سے جب پکاروں انہی اداؤں میں لوٹ آنا میری وفاؤں کا پاس رکھنا میری دعاؤں کا پاس رکھنا۔۔۔ میں خالی ہاتھوں کو جب اٹھاؤں میری دعاؤں میں لوٹ آنا!

Ajab Apna Haal Hota Jo Wisaal-e-yaar Hota

Ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota, Kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisaar hota... Koi fitna ta-qayamat na phir aashkaar hota, Tere dil pe kaash zaalim mujhe ikhtiyaar hota... Jo tumhaari tarah tum se koi jhoothe waade karta, Tumhin munsifi se kah do tumhein e'tibaar hota... Ghum-e-ishq mein maza tha jo use samajh ke khaate, Ye wo zahar hai ki aakhir may-e-khush'gawaar hota... Ye maza tha dil-lagi ka ki baraabar aag lagti, Na tujhe qaraar hota na mujhe qaraar hota... Na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein, Koi ghair ghair hota koi yaar yaar hota... Tere waade par sitamgar abhi aur sabr karte, Agar apni zindagi ka hamein e'tibaar hota... Ye wo dard-e-dil nahin hai ke ho charasaaz koi, Agar ek bar mit'ta to hazaar baar hota... Gaye hosh tere zahid jo wo chashm-e-mast dekhi, Mujhe kya ulat na dete jo na baada-khwaar hota... Mujhe maante sab aisa ki adu bhi sajde karte, Dar-e-yaar kaaba banta jo mera mazaar hota... Tumhein naaz ho na kyu

Achchhi Surat Pe Ghazab Toot Ke Aana Dil Ka

Achchhi surat pe ghazab toot ke aana dil ka... Yaad aata hai hamein haaye zamana dil ka... Yum bhi munh choom lo be'saakhta pyaar aa jaaye... Main sunaaun jo kabhi dil se fasana dil ka... Nigaah-e-yaar ne ki khana-kharaabi aisi... Na thhikana hai jigar ka na thhikana dil ka... Poori mehndi bhi lagaani nahin aati ab tak... Kyunkar aaya tujhe ghairon se lagana dil ka... Ghuncha-e-gul ko wo mutthhi mein liye aate the... Main ne poochha to kiya mujh se bahana dil ka... In haseenon ka ladakpan hi rahe ya Allah... Hosh aata hai to aata hai satana dil ka... De khuda aur jagah sina o pahlu ke siwa... Ke bure waqt mein ho jaaye thhikana dil ka... Meri aaghosh se kya hi wo tadap kar nikle... Un ka jaana tha ilaahi ke ye jaana dil ka... Nigaah-e-sharm ko be'taab kiya kaam kiya... Rang laya teri aaankhon mein samana dil ka... Ungliyan taar-e-garebaan mein ulajh jati hain... Sakht dushwaar hai haathon se dabana dil ka... Hoor ki shakl ho tum noor ke putle ho tum... Aur

Aarzu Hai Wafa Kare Koi

Aarzu hai wafa kare koi, Ji na chaahe to kya kare koi... Gar marz ho dawa kare koi, Marne waale ka kya kare koi... Koste hain jale hue kya kya, Apne haq mein dua kare koi... Un se sab apni apni kahte hain, Mera matlab ada kare koi... Chaha se aap ko to nafrat hai, Mujh ko chaahe khuda kare koi... Is gile ko gila nahin kahte, Gar maze ka gila kare koi... Ye mili dad ranj-e-furqat ki, Aur dil ka kaha kare koi... Tum sarapa ho surat-e-tasveer, Tum se phir baat kya kare koi... Kahte hain hum nahin khuda-e-karim, Yoon humaari khata kare koi... Jis mein laakhon baras ki hurein hon, Aisi jannat ko kya kare koi... Is jafa par tumhein tamanna hai, Ke meri iltija kare koi... Munh lagate hi 'Dagh' itraaya, Lutf hai phir jafa kare koi.!! "Dagh Dehlvi" ____________________ آرزو ہے وفا کرے کوئی جی نہ چاہے تو کیا کرے کوئی..  گر مرض ہو دوا کرے کوئی مرنے والے کا کیا کرے کوئی.. کوستے ہیں جلے ہوئے کیا کیا اپنے حق میں دعا کرے کوئی.. ان سے سب اپنی اپنی کہت

Aap Ka Aitibaar Kaun Kare

Aap ka aitibaar kaun kare, Roz ka intezaar kaun kare... Zikr-e-mehr-o-wafa to hum karte, Par tumhein sharmsaar kaun kare... Ho jo us chashm-e-mast se be-khud, Phir use hoshiyaar kaun kare... Tum to ho jaan ek zamane ki, Jaan tum par nisaar kaun kare... Aafat-e-rozgaar jab tum ho, Shikwa-e-rozgar kaun kare... Apni tasbeeh rahne de zahid, Daana daana shumaar kaun kare... Hijr mein zahar kha ke mar jaaun, Maut ka intezaar kaun kare... Aankh hai tark-e-zulf hai sayyaad, Dekhein dil ka shikaar kaun kare... Eada karte nahin ye kahte hain, Tujh ko ummeed'waar kaun kare... 'Dagh' ki shakl dekh kar bole, Aisi soorat ko pyaar kaun kare.!! "Dagh Dehlvi" ____________________ آپ کا اعتبار کون کرے روز کا انتظار کون کرے..  ذکر مہر و وفا تو ہم کرتے پر تمہیں شرمسار کون کرے.. ہو جو اس چشم مست سے بے خود پھر اسے ہوشیار کون کرے.. تم تو ہو جان اک زمانے کی جان تم پر نثار کون کرے.. آفت روزگار جب تم ہو شکوۂ روزگار کون کرے.. اپنی تسبیح رہنے دے زاہد دانہ دا

Launga Main Kahaan Se Judaai Ka Hauslaa

Launga Main Kahaan Se Judaai Ka Hauslaa... Kyoon Is Qadar Qareeb Mere Aa Gaye Ho Tum.! لاؤں گا میں کہاں سے جدائی کا حوصلہ کیوں اس قدر قریب میرے آ گئے ہو تم؟

La Thodi Der Ko Hi Sahi Tera Haath Thaam Kar

La Thodi Der Ko Hi Sahi Tera Haath Thaam Kar... Mutthhi Mein Band Kar Loo'n Mein Kaainaat Ko.! ‏لا تھوڑی دیر کو ہی سہی تیرا ہاتھ تھام کر مٹھی میں بند کر لوں میں کائنات کو ۔۔!!

Apne Pyaare Saath Chalein To

Apne Pyaare Saath Chalein To Raste Manzil Ho Jaate Hain... Chhorho May Aur May'khaanon Ko Hum Tum Mahfil Ho Jaate Hai... Waqt Pe Gar Na Aankh Khule To Sapne Qaatil Ho Jaate Hai... Rota Hai Jab Phoot Ke Ambar Hum Bhi Shaamil Ho Jaate Hain... Doob Raha Hai Dekho Koi Badh Ke Saahil Ho Jaate Hain... Jaldi Manzil Paane Waale Jaldi Bad'dil Ho Jaate Hain... Dekhe Jab Wo Pyaar Se Saahib Shikwe Mushkil Ho Jaate Hain...!! "Ibne Muneeb" اپنے پیارے ساتھ چلیں تو رستے منزِل ہو جاتے ہیں چھوڑو مے اور مے خانوں کو ہم تُم محفل ہوجاتے ہیں وقت پہ گَر نہ آنکھ کُھلے تو سپنے قاتِل ہو جاتے ہیں روتا ہے جب پُھوٹ کے اَمبر ہم بھی شامِل ہو جاتے ہیں ڈوب رہا ہے دیکھوکوئی بڑھ کر ساحِل ہو جاتے ہیں جلدی منزِل چاہنے والے جلدی بددِل ہو جاتے ہیں دیکھیں جب وہ پیار سے صاحِب شکوے مشکل ہو جاتے ہیں شاعر: ابنِ مُنیبؔ

Ye Teri Tawajjoh Ka Hai Aijaaz K Mujh Se

Ye Teri Tawajjoh Ka Hai Aijaaz K Mujh Se, Har Shakhs Tere Shahar Ka Barham Hai Meri Jaa'n.! "Habeeb Jalib"

Sach To Ye Hai Qusoor Apna Hai

Sach To Ye Hai Qusoor Apna Hai... Chaand Ko Chhoone Ki Tamanna Ki Aasmaa'n Ko Zameen Par Chaha Phool, Chaha K Pattharo'n Pe Khile Kaanto'n Mein Talaash Khushbu Ki Aag Se Maangte Rahe Thhandak Khwaab Jo Dekha Chaha Sach Ho Jaaye Is Ki Hum Ko Saza To Milni Thi..!!

Aankho'n Mein Khwaab Rakhna Mumkin Nahi Raha Ab

Aankho'n Mein Khwaab Rakhna Mumkin Nahi Raha... Sach Mein Mera Sambhalna Mumkin Nahi Raha Ab... Jaate Hue Thi Us Ki Aankho'n Mein Jo Udaasi... Wo Kah Rahi Thi Milna Mumkin Nahi Raha Ab... Kis Ko Kahein Mohabbat, Kis Ko Kahein Wafa... Yoon Aitebaar Karna Mumkin Nahi Raha Ab... Thi Tark-e-Ta'alluq Ki Ab Ibtida Zaroori... Shayad K Saath Chalna Mumkin Nahi Raha Ab... Ab Intezaar Kyoon Hai Dil Be'qaraar Kyoon Hai... Us Ka Laut Aana Mumkin Nahi Raha Ab.!!

Khuda Ko Logon Ke Nazdeek Lana Chahta Tha

Khuda Ko Logon Ke Nazdeek Lana Chahta Tha... Main Apne Gaaon Mein Masjid Banana Chahta Tha, Kuch Is Liye Bhi Meri Khud'kushi Zaroori Thi... Main Ek Umr Ke Jhagde Mitana Chahta Tha, Wahi Hua K Wo Aankhein Ganwa Ke Baith Gaya... Jo Khwaab Dekhna Aur Muskurana Chahta Tha, Kisi Mazaar Ki Zeenat Bana Diya Gaya Hai... Main Jis Charaagh Ko Sooraj Banana Chahta Tha, Main Is Liye Bhi Zara Faasle Pe Thehar Gaya... Wo Mujh Se Mil Ke Bahut Door Jaana Chahta Tha,  Wo Bikne Lag Gaya Khud Kodiyon Ke Mol Yahaan... Jo Mujh Faqeer Ki Qeemat Lagaana Chahta Tha,  Ab Us Ki Aankh Nahi Lag Rahi Kahin "Aami"... Jo Saare Shahar Ki Neendein Udaana Chahta Tha.! "Imran Aami" خُدا کو لوگوں کے نزدیک لانا چاہتا تھا مَیں اپنے گاؤں میں مسجد بنانا چاہتا تھا کچھ اِس لئے  بھی مِری خُود کشی ضروری تھی مَیں ایک عُمر کے جھگڑے مٹانا چاہتا تھا وہی ہُوا کہ وہ آنکھیں گَنوا کے بیٹھ گیا جو خواب دیکھنا اُور مسکرانا چاہتا تھا کسی مزار کی زینت بنا دیا گیا ہے مَیں جس چراغ کو سورج بنانا چاہ

Zulf-e-shab-e-firaaq Sanwaari Tamaam Raat

Zulf-e-shab-e-firaaq Sanwaari Tamaam Raat... Ai Chaand Teri Yaad Pe Waari Tamaam Raat... Be'chain Hasrato'n Ko Liye Dil Mein Ai Jaanaa... Phir Aansuoun Mein Hum Ne Guzaari Tamaam Raat... Bekal Hi Saara Din Rahe Mera Ai Dosto... Betaab Rahe Dard Ki Maari Tamaam Raat... Phir Kha Gayi Hai Koi Kiran Saara Andhera... Phir Yaar Tumhein Dhundh Ke Haari Tamaam Raat... Lafzo'n Mein Bayaa'n Ho Nahi Sakti Hai Wo Zaahid... Chalti Hai Dil Jigar Pe Jo Aari, Tamaam Raat..!!

Tujh Se Bichhda To Kidhar Jaaunga

Tujh se bichhda to kidhar jaun ga Main to bechaini se mar jaaunga... Main to aisay nahi jane wala Chand doobey ga to ghar jaaunga... Motiyon se bhara bartan hoon main Toot jaaunga, bikher jaaunga... Main to sehma huwa sanata hoon Apni aawaaz se darr jaaunga... Main agar koi samandar bhi hoon Ek tere dard se bhar jaaunga... Waqt ki rut se main farhat abbas Kahin chup chaap utar jaaunga..!! By: Farhat Abbas Shah

Un Ka Lehja Rabab Se Barh Kar

Un ka lehja rabaab se barh kar Har ada hai shabaab se barh kar... Yoon to masoom hain bahut lekin Shokhiyan hain azaab se barh kar... Aarizon par hai shaam ki surkhi Honth un ke gulaab se barh kar... Dil ke sheeshey mein aur kya hoga Is haseen mahtab se barh kar... Wo jo ke us ke bina guzaari hai Zindagi thi azaab se barh kar... Us ki chup mein hazaar qissey hain Khamushi thi kitaab se barh kar... Kya kisi se wo mil ke aaye hain Lag rahe hain nawaab se barh kar... Kah do un se “Farah” koi nahi  Dil mein mere janaab se barh kar.!! By: Fareeda Lakhani Farah

Gungunati Hui Ek Nadi Mil Gayee

Gungunati Hui Ek Nadi Mil Gayee, Ajnabi Sheher Mein Dosti Mil Gayee.. Tum Mile Kya Mujhe Zindagi Mil Gayee, Shayaron Ke Liye Shayari Mil Gayee... Raat Ke Shahar Ko Chandni Mil Gayee, Tum Mile Kya Mujhe Zindagi Mil Gayee... Har Taraf Tum Nazar Aa Rahe Ho Mujhe, Door Hoon Paas Apne Bula Lo Mujhe... Main Mohabbat Hoon Dil Mein Chhupa Lo Mujhe, Aaj Apne Gale Se Laga Lo Mujhe... Dosti Mil Gayee Shayari Mil Gayee, Tum Mile Kya Mujhe Zindagi Mil Gayee... Main Yeh Kehta Hoon Khwaabon Ki Jannat Ho Tum, Khwaab To Khwaab Hain Ek Haqeeqat Ho Tum... Dil Mohabbat Ka Mandir Hai Moorat Ho Tum, Is Zameen Pe Khuda Ki Inaayat Ho Tum... Bandagi Mil Gayee Har Khushi Mil Gayee, Tum Mile Kya Mujhe Zindagi Mil Gayee.!!

Kuch Der Humare Saath Raho

Kuch der humare saath raho ,  Kuch apne rang bikharne do , Kuch apni khushboo bikhraoo , Aur shereen shabnumi lehje mein , Koi naram mulaaim baat karo , Jis lamhe mein maujood hain hum , Ye lamha mauj hai saaghar ki , Tum is lamhe ke saath bahoo , Kuch der humare saath raho , Tareeekh ke jabr ki baat hai kya , Hum dono ki auqaat hai kya , Kuch roop ka sona daan karo , Khairaat apni muskaan karo , Hum jaise shaair logon ka , Jeena marna asaan karo , Sandal si bahein phailao , Kuch nazmein ghazlein de jaao, Jo shayed baaqi reh jaayein , Phir do sau saal ke bad koi Naqsh kamaal-e-fun kar de , Apni har por qalam kar de, Aur raj kattaas ke patthar par , ik lok riwaayat naqsh kar de Hum dono ko tamseel kare, Aaina aks ba aks kare Jis aks pe khushboo lehraaye , Jis naqsh pe titli raqs kare Phir ek hazaar baras guzrein , Phir chaar hazaar baras guzrein, Aasaar shinaasi ke mahir, is daur ki jab tahqeeq Karein Is rasmul khat ko pehchane, is lamhe ki tasdeeq Karein

Musalsal Soch Mein Rahna

Musalsal soch mein rahna Kisi say kuch nahi kahna Kisi goshey mein chup ke Khud se mehwey guftugu rahna Achanak dil may koi mitha mitha dard uthna Be-sabab be-chain ho jaana Akeley beth ke rona Kayi raatain nahi sona Wo pehron bethey bethey Jaane kis manzar mein kho jaana Kisi aahat kisi bhi chaap se Phir chonk si padhna Mere saye say bachna Saamne aane se katraana Suno pagal si ai ladki Kahi aur an-kahi ke darmiyaan  Sooli pe latki ho Tumhein maloom hai tum jaan kar manzil say bhatki ho? Yeh maana tum bahut khud-dar ho Par yeh haqeeqat hai Ana ik had tak achchi hai Magar us had ke aage Yeh mehz ik khud-fareebi hai Aziyat sah rahi ho aur chup ho Kya qayamat hai Tum aakhir kyun nahi kahtin Tumhein mujh se mohabbat hai.!! BY: Khalil Ullah Farooqui.

Hoor Ho Ya Koi Pari Ho Tum

Hoor Ho Ya Koi Pari Ho Tum, Kaise Dil Mein Utar Gayi Ho Tum, Teri Aankho'n Mein Neeley Dariya Hain, Mere Khwaabo'n Ki Jal-pari Ho Tum, Zindagi Bhi To Aarzi Thehri, Kaise Kah Doon K Zindagi Ho Tum, Tum Meri Nazm Ho, Takheel Ho, Meri Urdu Ho, Shayeri Ho Tum,  Dekh Jugnoo Bhi Tum Se Jalte Hain, Chaand Nagri Ki Chaandni Ho Tum,  Aaina'khaana Ban Gayi Aankhein, Saamne Hu-ba-hu Khadi Ho Tum, Mujh Se Goyaai Chhin Gayi Meri,  Jab Se Patthar Ki Ban Gayi Ho Tum, Aakhiri Baar Dekh Loon Tum Ko, Kya Palat Kar Bhi Dekhti Ho Tum, Aaj Dil Ne Tumhein Bahut Dhundha, Aise Lagta Hai Ja Chuki Ho Tum..!! "Shuja'at Iqbal" حور ہو یا کوئی پری ہو تم کیسے دل میں اتر گئی ہو تم تیری آنکھوں میں نیلے دریا ہیں میرے خوابوں کی جل پری ہو تم زندگی بھی تو عارضی ٹھہری کیسے کہہ دوں کہ زندگی ہو تم تم مری نظم ہو ,تخیل ہو میری اردو ہو, شاعری ہو تم دیکھ جگنو بھی تم سے جلتے ہیں چاند نگری کی چاندنی ہو تم آئینہ خانہ بن گئی آنکھیں سامنے ہو بہو کھڑی ہو تم مجھ سے گویائی چھن گئی

Zulf Raaton Si, Rangat Hai Ujaalon Jaisi

Zulf raaton si, rangat hai ujaalon jaisi, par tabiyat hai wohi, bhoolne waalon jaisi... Dhoonta phirta hun, logon mein shabaahat Uski, ke wo khwaabon mein bhi lagti hai, khyaalon jaisi.!!

Chhalke Hue The Jaam Pareshaan Thi Zulf-e-yaar

Chhalke hue the jaam pareshaan thi zulf-e-yaar, kuchh aise haadsaat se ghabra ke pee gaya... Kaante to khair kaante hain iss ka gila hi kya, phoolon ki waardaat se ghabra ke pee gaya.!!

Aisa Lagta Hai Teri Zulf Khuli Ho Jaise

Aisa lagta hai teri zulf khuli ho jaise Ho ke gulshan se saba aaj chali ho jaise... Adh khule honth siyaah zulf aur ghazli aankhein Kisi shayar ne koi ghazal tarz ki ho jaise.!!

Aashiq Samajh Rahe Hain Mujhe Dil Lagi Se Aap

Aashiq samajh rahe hain mujhe dil lagi se aap, Waaqif nahin abhi mere dil ki lagi se aap... Dil bhi kabhi mila ke mile hain kisi se aap, Milne ko roz milte hain yoon to sabhi se aap... Sab ko jawaab degi nazar hasb-e-mudda'a, Sun lijiye sab ki, baat na kijiye kisi se aap... Marna mera ilaaj to be-shak hai soch loon, Ye dosti se kahte hain ya dushmani se aap... Hoga juda ye haath na gardan se wasl mein, Darta hoon ud na jaayein kahin naazuki se aap... Zaahid khuda gawaah hai hote falak par aaj, Lete khuda ka naam agar aashiqi se aap... Ab ghoorne se faayeda bazm-e-raqeeb mein, Dil par chhuri to pher chuke be-rukhi se aap... Dushman ka zikr kya hai jawaab us ka dijiye, Raste mein kal mile the kisi aadmi se aap... Shohrat hai mujh se husn ki is ka mujhe hai rashk, Hote hain mustafiz meri zindagi se aap... Dil to nahin kisi ka tujhe todte hain hum, Pahle chaman mein puchh lein itna kali se aap... Main bewafa hoon, ghair nihaayat wafa shiaar, Mera salaam lijiye mile

Aashiq Hain Magar Ishq Numayaa'n Nahin Rakhte

Aashiq hain magar ishq numayaa'n nahin rakhte... Hum dil ki tarah chaak garebaa'n nahin rakhte.! Sar rakhte hain sar mein nahin sauda-e-mohabbat... Dil rakhte hain dil mein koi armaa'n nahin rakhte.! Nafrat hai kuchh aisi unhein aashufta-saro'n se... Apni bhi wo zulfon ko pareshaa'n nahin rakhte.! Rakhne ko to rakhte hain khabar saare jahaan ki... Ek mere hi dil ki wo khabar haa'n nahin rakhte.! Ghar kar gayi'n dil mein wo mohabbat ki nigaahein... Un teero'n ka zakhmi hoon jo paikaa'n nahin rakhte.! Dil de koi tum ko to kis ummeed par ab de... Tum dil to kisi ka bhi meri jaa'n nahin rakhte.! Rahta hai nigahbaan mera un ka tasawwur... Wo mujh ko akela shab-e-hijraa'n nahin rakhte.! Dushman to bahut hazrat-e-naaseh hain humaare... Haan dost koi aap sa nadaa'n nahin rakhte.! Dil ho jo pareshaan to dam bhar bhi na thehre... Kuchh baandh ke to gesu-e-pechaa'n nahin rakhte.! Go aur bhi aashiq hain zamaane mein bahut se...

Aa Gaye Phir Tere Armaan, Mitaane Hum Ko

Aa gaye phir tere armaan, mitaane hum ko, Dil se pahle ye laga denge thikaane hum ko... Sar uthaane na diya hashr ke din bhi zaalim, Kuchh tere khauf ne kuchh apni wafa ne hum ko... Kuchh to hai zikr se dushman ke jo sharmate hain, Wahm mein daal diya un ki haya ne hum ko... Zulm ka shauq bhi hai sharm bhi hai khauf bhi hai, Khwaab mein chhup ke wo aate hain sataane hum ko... Chaar daaghon pe na ahsaan jataao itna, Kaun se bakhsh diye tum ne khazaane hum ko... Baat karne ki kahaan wasl mein fursat 'Bekhud', Wo to dete hi nahin hosh mein aane hum ko..!! "Bekhud Dehlvi"

Un Ko But Samjha Tha Ya Un Ko Khuda Samjha Tha Main

Un ko but samjha tha ya un ko khuda samjha tha main... Haan bata de ai jabeen-e-shauq kya samjha tha main.! Allah allah kya inaayat kar gai mizraab-e-ishq... Warna saaz-e-zindagi ko be'sada samjha tha main.! Un se shikwa kyoon karun un se shikayat kya karun... Khud badi mushkil se apna mudda'a samjha tha main.! Meri haalat dekhiye mera tadapna dekhiye... Aap ko is se gharaz kya hai ki kya samjha tha main.! Khul gaya ye raaz un aankhon ke ashk-e-naaz se... Kaifiyat-e-husn ko ghum se juda samjha tha main.! Ai jabeen-e-shauq haan tujh ko badi zahmat hui... Aaj har zarre ko un ka naqsh-e-pa samjha tha main.! Ek nazar par munhasir thi zeest ki kul kaainaat... Har nazar ko jaan jaan-e-mudda'a samjha tha main.! Aa raha hai kyoon kisi ka naam honthon tak mere... Ai dil-e-muztar tujhe sabr-aazma samjha tha main.! Aap to har har qadam par ho rahe hain jalwa-gar... Aap ko hadd-e-nazar se maawara samjha tha main.! Ye fughaa'n ye shor ye naale ye shewan the fuzool.

Tumhaare Husn Ki Taskheer Aam Hoti Hai

Tumhaare husn ki taskheer aam hoti hai, Ke ek nigaah mein duniya tamaam hoti hai... Jahaan pe jalwa-e-jaanaa hai anjuman-aara, Wahaan nigaah ki manzil tamaam hoti hai... Wahi khalish wahi sozish wahi tapish wahi dard, Humein sahar bhi ba-andaaz-e-shaam hoti hai... Nigaah-e-husn mubarak tujhe dar-andaazi, Kabhi kabhi meri mahfil bhi aam hoti hai... Zahe naseeb mein qurbaan apni qismat ke, Tere liye meri duniya tamaam hoti hai... Namaaz-e-ishq ka hai inhisaar ashkon tak, Ye be-niyaaz-e-sujood-o-qayaam hoti hai... Teri nigaah ke qurbaan teri nigaah ki tees, Ye na-tamaam hi rah kar tamaam hoti hai... Wahaan pe chal mujhe le kar mere samand-e-khyaal, Jahaan nigaah ki masti haraam hoti hai... Kisi ke zikr se 'Behzad' mubtala ab tak, Jigar mein ek khalish-e-na'tamaam hoti hai..!! "Behzad Lakhnawi"

Tujh Par Meri Mohabbat Qurbaan Ho Na Jaaye

Tujh par meri mohabbat qurbaan ho na jaaye, Ye kufr badhte badhte imaan ho na jaaye, Allah ri be-naqaabi us jaan-e-mudda'a ki, Meri nigaah-e-hasrat hairaan ho na jaaye, Meri taraf na dekho apni nazar ko roko, Duniya-e-aashiqi mein haijaan ho na jaaye, Palkon pe ruk gaya hai aa kar jo ek aansu, Ye qatra badhte badhte toofaan ho na jaaye, Hadd-e-sitam to hai bhi hadd-e-wafa nahin hai, Zaalim tera sitam bhi ahsaan ho na jaaye, Hoti nahin hai waq'at hoti nahin hai izzat, Jab tak ki koi insaan, insaan ho na jaaye, Us waqt tak mukammal hota nahin hai koi, Jab tak ke khud ko apni pahchaan ho na jaaye, 'Behzad' is liye main kahta nahin hoon dil ki, Darta hoon sun ke duniya hairaan ho na jaaye..!! "Behzad Lakhnawi" ___ Jaan-e-mudda'a = life of desire life of one's desire, beloved, Haijaan = excitement, Waq'at = weight, force, respect, regard,

Masroor Bhi Hoon Khush Bhi Lekin Khushi Nahin

Masroor bhi hoon khush bhi hoon lekin khushi nahin... Tere baghair zeest to hai zindagi nahin.! Main dard-e-aashiqi ko samajhta hoon jaan-o-rooh... Kambakht wo bhi dil mein kabhi hai kabhi nahin.! La ghum hi daal de mere dast-e-sawaal mein... Main kya karun khushi ko jo teri khushi nahin.! Kuchh der aur rahne de khuddaari-e-junoon... Daaman to chaak hona hai lekin abhi nahin.! Saaqi nigaah-e-naaz se lillah kaam le... Sau jaam pi chuka hoon magar be'khudi nahin.! Rakhna padegi tum ko tahi-daamani ki laaj... Mujh ko kami zaroor hai tum ko kami nahin.! 'Behzad' saaf saaf main kahta hoon haal-e-dil... Sharminda-e-kamaal meri shaairi nahin.!! "Behzad Lakhnawi" ___ Tahi-daamani = state of being empty handed/poor/penniless

Lab Pe Hai Fariyaad Ashkon Ki Rawaani Ho Chuki

Lab pe hai fariyaad ashkon ki rawaani ho chuki, Ek kahaani chhid rahi hai ek kahaani ho chuki... Mehr ke parde mein poori dil-sitaani ho chuki, Banda-parwar rahm kijiye mehrbaani ho chuki... Mera dil taaka gaya jaur o jafa ke waaste, Jab ke poore rang par un ki jawaani ho chuki... Jaaiye bhi kyoon mujhe jhoothi tashaffi dijiye, Aap se aur mere dil ki tarjumaani ho chuki... Aa gaya ai sunne waale ab mujhe paas-e-wafa, Ab bayaan rudaad-e-dil meri zabaani ho chuki... Aakhiri aansu meri chashm-e-alam se gir chuka, Sunne waalon khatm ab meri kahaani ho chuki... Hum bhi tang aa hi gaye aakhir niyaz o naaz se, Haan khusha qismat ke un ki mehrbaani ho chuki... Sunne waale soorat-e-tasweer baithe hain tamaam, Hazrat-e-'Behzad' bas jaadu-bayaani ho chuki.!! "Behzad Lakhnawi" ___ Dil-sitaani = fascinating, alluring, Jaur = violence, tyranny, oppression, Tashaffi = consolation, satisfaction, calmness, Rudaad-e-dil = report of heart, Niyaaz = desire, supplica

Khushi Mahsoos Karta Hoon Na Ghum Mahsoos Karta Hoon

Khushi mahsoos karta hun na ghum mahsoos karta hun... Magar haan dil mein kuchh kuchh zer-o-bam mahsoos karta hun.! Mohabbat ki ye nairangi bhi duniya se niraali hai... Alam koi nahin lekin alam mahsoos karta hun.! Meri nazron mein ab baaqi nahin hai zauq-e-kufr-o-deen... Main ek markaz pe ab dair-o-haram mahsoos karta hun.! Jo lutf-e-zindagaani mil raha tha ghat'ta jaata hai... Kalish jo dil mein rahti thi wo kam mahsoos karta hun.! Tumhaare zikr par kab munhasir hai dil ki betaabi... Kisi ka zikr ho main chashm-e-nam mahsoos karta hun.! Kabhi paata hun dil mein ek hashr-e-dard-e-betaabi... Kabhi main apne dil mein dard-o-ghum mahsoos karta hun.! Zabaan par meri shikwa aa nahin sakta zamaane ka... Ke har aalam ko main un ka karam mahsoos karta hun.! Ye dil mein hai jo ghabraahat ye aankhon mein hai jo aansu... Is ahsaan ko bhi baala-e-karam mahsoos karta hun.! Khushi ki mujh ko ab "Behzad" kuchh haajat nahin baaqi... Ke ghum ko bhi main ab un ka karam ma

Ek Bewafa Ko Pyaar Kiya, Haye Kya Kiya

Ek bewafa ko pyaar kiya, haye kya kiya... Khud dil ko be'qaraar kiya haye kya kiya.! Ma'alum tha ki ahd-e-wafa un ka jhooth hai... Is par bhi aitebaar kiya, haye kya kiya.! Wo dil ke jis pe qeemat-e-kaunain thi nisaar... Nazr-e-nigaah-e-yaar kiya, haye kya kiya.! Khud hum ne faash faash kiya raaz-e-aashiqui... Daaman ko taar taar kiya, haye kya kiya.! Aahein bhi baar baar bhari'n un ke hijr mein... Naala bhi baar baar kiya, haye kya kiya.! Mitne ka ghum nahin hai bas itna malaal hai... Kyoon tera intezaar kiya, haye kya kiya.! Hum ne to ghum ko seene se apne laga liya... Ghum ne hamein shikaar kiya, haye kya kiya.! Sayyaad ki raza ye hum aansu na pi sake... Uzr-e-ghum-bahaar kiya, haye kya kiya.! Qismat ne aah hum ko ye din bhi dikha diye... Qismat pe aitebaar kiya, haye kya kiya.! Rangeeni-e-khyaal se kuchh bhi na bach saka... Har shay ko pur-bahaar kiya, haye kya kiya.! Dil ne bhula bhula ke teri bewafaaiya'n... Phir ahd ustuwaar kiya, haye kya ki

Ek Bewafa Ko Dard Ka Darmaa'n Bana Liya

Ek bewafa ko dard ka darmaa'n bana liya... Hum ne to aah kufr ko imaa'n bana liya.! Dil ki khalish-pasandiya'n hain ke allah ki panaah... Trer-e-nazar ko jaan-e-rag-e-jaa'n bana liya.! Mujh ko khabar nahin mere dil ko khabar nahin... Kis ki nazar ne banda-e-ahsaa'n bana liya.! Mahsoos kar ke hum ne mohabbat ka har alam... Khwaab-e-subuk ko khwaab-e-pareshaa'n bana liya.! Dast-e-junoo'n ki uqda-kushaai to dekhiye... Daaman ko be-niyaaz garebaa'n bana liya.! Taskeen-e-dil ki hum ne bhi parwaah chhod di... Har mauj-e-ghum ko haasil-e-toofaa'n bana liya.! Jab un ka naam aa gaya hum muztarib hue... Aaho'n ko apni zeest ka unwaa'n bana liya.! Hum ne to apne dil mein wo ghum ho ki ho alam... Jo koi aa gaya use mehmaa'n bana liya.! Aaina dekhne ki zarurat na thi koi... Apne ko khud hi aap ne haira'n bana liya.! Ek bewafa pe kar ke tasadduq dil-o-jigar... 'Behzad' hum ne khud ko pareshaa'n bana liya..!! "Be

Deewana Banaana Hai To Deewana Bana De

Deewana banaana hai to deewana bana de... Warna kahin taqdeer tamasha na bana de... Ai dekhne waalon mujhe hans hans ke na dekho... Tum ko bhi mohabbat kahin mujh sa na bana de... Main dhhundh raha hun meri wo shama kahaan hai... Jo bazm ki har cheez ko parwana bana de... Aakhir koi soorat bhi to ho khaana-e-dil ki... Kaaba nahin banta hai to but-khaana bana de... 'Behzad' har ek gaam pe ek sajda-e-masti... Har zarre ko sang-e-dar-e-jaanaa bana de..!! "Behzad Lakhnawi"

Chashm-e-haseen Mein Hai Na Rukh-e-fitna'gar Mein Hai

Chashm-e-haseen mein hai na rukh-e-fitna'gar mein hai... Duniya ka har fareb fareb-e-nazar mein hai.! Ab kya khabar ke dil mein hai kya kya jigar mein hai... Ab to teri nazar ka tamasha nazar mein hai.! Imaan rakh ke kya karun farsooda cheez hai... Masti mujhe qubool ke teri nazar mein hai.! Naasoor dard-e-zakhm tapish soz-o-iztiraab... Saamaan sau tarah ka dil-e-mukhtasar mein hai.! Haazir hai us ke waaste jis ko ho aarzoo... Haan ek lahoo ki boond meri chashm-e-tar mein hai.! Qismat se mil gayi hai ye bedaari-e-hayat... Is ishq ke nisaar ke duniya nazar mein hai.! Mujh ko na din ko chain na shab ko sukoon naseeb... Ek rabt-e-daa'imi meri shaam-o-sahar mein hai.! Hairat se dekhiye na mere sajda'haa-e-shauq... Ye aastaan kuchh aur hi meri nazar mein hai.! Baaqi hain baad-e-tauba bhi rindi ke walwale... Dil mein khyaal-e-baada hai saaghar nazar mein hai.! Achchhi mili hai mujh ko ye deewangi-e-shauq.! Duniya ka har khyaal dil-e-be'khabar mein hai.! Do

Ai Jazba-e-dil Gar Main Chaahun Har Cheez Muqaabil Aa Jaaye

Ai jazba-e-dil gar main chaahun har cheez muqaabil aa jaaye... Manzil ke liye do gaam chalun aur saamne manzil aa jaye.! Ai dil ki khalish chal yunhi sahi chalta to hoon un ki mahfil mein... Us waqt mujhe chaunka dena jab rang pe mahfil aa jaaye.! Ai rahbar-e-kaamil chalne ko tayyaar to hoon par yaad rahe... Us waqt mujhe bhatka dena jab saamne manzil aa jaaye.! Haan yaad mujhe tum kar lena aawaaz mujhe tum de lena... Is raah-e-mohabbat mein koi darpesh jo mushkil aa jaaye.! Ab kyoon dhhundhun wo chashm-e-karam hone de sitam baala-e-sitam... Main chaahta hoon ai jazba-e-ghum mushkil pas-e-mushkil aa jaaye.! Is jazba-e-dil ke baare mein ek mashwara tum se leta hoon... Us waqt mujhe kya laazim hai jab tujh pe mera dil aa jaaye.! Ai barq-e-tajalli kaundh zara kya tu ne mujh ko bhi moosa samjha hai... Main toor nahin jo jal jaaun jo chaahe muqaabil aa jaaye.! Aata hai jo toofan aane do kashti ka khuda khud haafiz hai... Mumkin to nahin in maujon mein bahta hua saahil aa jaay

Jaan Dete Hi Bani Ishq Ke Deewane Se

Jaan dete hi bani ishq ke deewane se... Shama ka haal na dekha gaya parwaane se... Aatish-e-ishq se jal jal gaye parwaane se... Pahle ye aag lagi kaaba-o-but'khaane se... Saaqiya girya-e-ghum se mujhe majboor samajh... Khoon rista hai ye toote hue paimaane se... Raat ki raat chaman mein hai numood-e-shabnam... Subah hote hi bikhar jaayenge sab daane se... Dam-e-aakhir teri aankhon ki balaa'ein le loon... Aur dam bhar jo na chhalke mere paimaane se... Haaye kya cheez thi'n wo mast nigaahein 'shair' Jhoomta-jhaamta nikla hoon pari'khaane se..!! "Agha Shaair Qazalbash"

Bahaar Aayi Hai Phir Chaman Mein

Bahaar aayi hai phir chaman mein naseem ithla ke chal rahi hai... Har ek ghuncha chatak raha hai gulon ki rangat badal rahi hai.! Wo aa gaye lo wo ji utha main adoo ki ummeed-e-yaas thehri... Ajab tamasha hai dil-lagi hai qaza khadi haath mal rahi hai.! Bataao dil doon na doon kaho to ajeeb naazuk mu'aamla hai... Idhar to dekho nazar milaao ye kis ki shokhi machal rahi hai.! Tadap raha hoon yahaan main tanha wahaan adoo se wo hum-baghal hain... Kisi ke dam par bani hui hai kisi ki hasrat nikal rahi hai.! Ghata wo chhaayi wo abr uttha yahi to hai waqt may-kashi ka... Bulaao 'Shaair' ko hai kahaan wo sharaab shishe se dhhal rahi hai..!! "Agha Shaair Qazalbash" ___ Adoo = enemy, foe, rival, Ummeed-e-yaas = hope of grief,

Tere Liye Chale The Hum Tere Liye Thehar Gaye

Tere liye chale the hum tere liye thehar gaye... Tu ne kaha to ji uthe tu ne kaha to mar gaye.! Kat hi gai judaai bhi kab ye hua ki mar gaye... Tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye.! Tu bhi kuchh aur aur hai hum bhi kuchh aur aur hain... Jaane wo tu kidhar gaya jaane wo hum kidhar gaye.! Raahon mein hi mile the hum raahein naseeb ban gayin... Wo bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gaye.! Waqt hi judaai ka itna taweel ho gaya... Dil mein tere visaal ke jitne the zakhm bhar gaye.! Hota raha muqaabla paani ka aur pyaas ka... Sahra umad umad pade dariya biphar biphar gaye.! Wo bhi ghubaar-e-khwaab tha hum bhi ghubar-e-khwab the... Wo bhi kahin bikhar gaya hum bhi kahin bikhar gaye.! Koi kanaar-e-aabjoo baitha hua hai sar-nigoon... Kashti kidhar chali gai jaane kidhar bhanwar gaye.! Aaj bhi intezaar ka waqt hunoot ho gaya... Aisa laga ki hashr tak saare hi pal thehar gaye.! Baarish-e-wasl wo hui saara ghubaar dhul gaya... Wo bhi nikhar nikhar gaya hum bh

Tamaam Umr Ki Tanhaai Ki Saza De Kar

Image
Tamaam umr ki tanhaai ki saza de kar... Tadap utha mera munsif bhi faisla de kar... Main ab marun ki jiyun mujh ko ye khushi hai bahut... Use sukoon to mila mujh ko bad-dua de kar... Main us ke waaste sooraj talaash karta hoon... Jo so gaya meri aankhon ko rat-jaga de kar... Wo raat raat ka mehman to umr bhar ke liye... Chala gaya mujhe yaadon ka silsila de kar... Jo waa kiya bhi dareecha to aaj mausam ne..  Pahaad dhhaanp diya abr ki rida de kar... Kati hui hai zameen koh se samandar tak... Mila hai ghaao ye dariya ko raasta de kar... Chatakh chatakh ke jali shaakh shaakh jangal ki... Bahut sharaar mila aag ko hawa de kar... Phir is ke baad pahaad us ko khud pukarenge... Tu laut aa use waadi mein ek sada de kar... Sutoon-e-reg na thahra 'Adeem' chhat ke tale... Main dhhah gaya hoon khud apne ko aasra de kar.!! "Adeem Hashmi" ___ Waa = to open/ to tell open, again, expression of pain, expose खुला, Abr = cloud, Rida = cloak put on by women when