Showing posts with label Ahmad Mushtaq. Show all posts
Showing posts with label Ahmad Mushtaq. Show all posts

Wednesday, March 7, 2018

Zameen Se Ugti Hai Ya Aasman Se Aati Hai

Zameen se ugti hai ya aasman se aati hai,
Ye be-irada udaasi kahaan se aati hai,

Ise naye dar-o-deewar bhi na rok sake,
Wo ek sada jo puraane makaa'n se aati hai,

Badan ki baass naseem-e-libaas bu-e-nafas,
Koi mahak ho usi khaak-daa'n se aati hai,

Dilon ki barf pighalti nahin hai jis ke baghair,
Wo aanch ek ghum-e-be-nishaa'n se aati hai,

Sukhan-wari hai nazar se nazar ka naaz-o-niyaaz,
Arooz se na zabaan-o-bayaa'n se aati hai.!!

"Ahmad Mushtaq"
___
Arooz = prosody,the last foot of the first hemistich of a couplet

Zulf Dekhi Wo Dhua'n-dhaar Wo Chehra Dekha

Zulf dekhi wo dhua'n-dhaar wo chehra dekha,
Sach bata dekhne waale use kaisa dekha,

Raat saari kisi tooi hui kashti mein kati,
Aankh bistar pe khuli khwaab mein dariya dekha,

Zard galiyon mein khule sabz dareeche jin mein,
Dhoop lipti rahi aur saaye ko jalta dekha,

Kaale kamro'n mein kati saari jawani us ki,
Jis ne ai subah-e-mohabbat tera rasta dekha,

Sunte rahte the ki yoon hoga wo aisa hoga,
Lekin us ko to kisi aur tarah ka dekha..!!

"Ahmad Mushtaq"

Ye Tanha Raat Ye Gahri Fazaa'en

Ye tanha raat ye gahri fazaa'en,
Use dhundhen ke us ko bhool jaa'en,

Khayalon ki ghani khamoshiyon mein,
Ghuli jaati hain lafzon ki sada'en,

Ye raste rahrawo'n se bhaagte hain,
Yahaan chhup chhup ke chalti hain hawa'en,

Ye paani khamoshi se bah raha hai,
Ise dekhein ke is mein doob jaa'en,

Jo ghum jalte hain sheyro'n ki chita mein,
Unhein phir apne seene se laga'en,

Chalo aisa makaa'n aabaad kar lein,
Jahaan logo'n ki aawazein na aa'en..!!

"Ahmad Mushtaq"
___
Rahrawo'n = fellow travellers, humraah,

Sunday, March 4, 2018

Tum Aaye Ho Tumhein Bhi Aazma Kar Dekh Leta hun

Tum aaye ho tumhein bhi aazma kar dekh leta hun,
Tumhaare saath bhi kuchh door ja kar dekh leta hun,

Hawa'en jin ki andhi khidkiyon par sar patakti hain,
Main un kamron mein phir shamm'en jala kar dekh leta hun,

Ajab kya is qareene se koi soorat nikal aaye,
Teri baaton ko khwaabon se mila kar dekh leta hun,

Sahar-dam kirchiyan toote hue khwaabon ki milti hain,
To bistar jhaad kar chaadar hata kar dekh leta hun,

Bahut dil ko dukhata hai kabhi jab dard-e-mahjoori,
Teri yaadon ki jaanib muskura kar dekh leta hun,

Uda kar rang kuchh honthon se kuchh aankhon se kuchh dil se,
Gaye lamhon ko tasveerein bana kar dekh leta hun,

Nahin ho tum bhi wo ab mujh se yaaro kya chhupaoge,
Hawa ki samt ko mitti uda kar dekh leta hun,

Suna hai be-niyazi hi ilaaj-e-na-ummeedi hai,
Ye nuskha bhi koi din aazma kar dekh leta hun,

Mohabbat mar gayi 'Mushtaq' lekin tum na maanoge,
Main ye afwaah bhi tum ko suna kar dekh leta hun..!!

"Ahmad Mushtaq"
___
Dard-e-mahjoori = pain of separation,

Tham Gaya Dard Ujaala Hua Tanhaai Mein

Tham gaya dard ujaala hua tanhaai mein,
Barq chamki hai kahin raat ki gahraai mein,

Baagh ka baagh lahu rang hua jaata hai,
Waqt masroof hai kaisi chaman-araai mein,

Shahar veeraan hue bahr bayabaan hue,
Khaak udti hai dar o dasht ki pahnaai mein,

Ek lamhe mein bikhar jaata hai taana-baana,
Aur phir umr guzar jaati hai yakjaai mein,

Us tamashe mein nahin dekhne waala koi,
Is tamashe ko jo barpa hai tamashaai mein..!!

"Ahmad Mushtaq"

Shabnam Ko Ret Phool Ko Kaanta Bana Diya

Shabnam ko ret phool ko kaanta bana diya,
Hum ne to apne baagh ko sahra bana diya,

Is oonch neech par to theharte nahin the paanw,
Kis dast-e-shauq ne ise duniya bana diya,

Kin mutthiyon ne beej bikhere zameen par,
Kin baarishon ne is ko tamasha bana diya,

Sairaab kar diya teri mauj-e-khiraam ne,
Rakkha jahaan qadam wahaan dariya bana diya,

Ek raat chaandni mere bistar pe aai thi,
Main ne taraash kar tera chehra bana diya,

Poochhe agar koi to use kya bataaun main,
Dil kya tha, tere ghum ne ise kya bana diya..!!

"Ahmad Mushtaq"

Rukhsat-e-shab Ka Samaa'n Pahle Kabhi Dekha Na Tha

Rukhsat-e-shab ka samaa'n pahle kabhi dekha na tha,
Itna raushan aasmaa'n pahle kabhi dekha na tha,

Door tak phaila hua sahra nazar aaya mujhe,
Ek zarra bhi jahaan pahle kabhi dekha na tha,

Deedani tha mauj-e-dariya ka nashaat be-panaah,
Jalwa-e-aab-e-rawaa'n pahle kabhi dekha na tha,

Ahl-e-duniya to hamesha hi se aise the magar,
Ishq itna na-tawaa'n pahle kabhi dekha na tha,

Dil pareshan ho gaya rang-e-zawaal-e-husn se,
Aag dekhi thi dhua'n pahle kabhi dekha na tha,

Is qadar hairaan na ho aankhon mein aansu dekh kar,
Tujh ko itna mehrbaa'n pahle kabhi dekha na tha..!!

"Ahmad Mushtaq"

Raushni Rahti Thi Dil Mein Zakhm Jab Tak Taaza Tha

Raushni rahti thi dil mein zakhm jab tak taaza tha,
Ab jahaan deewar hai pahle wahaan darwaaza tha,

Dard ki ek mauj har khwahish baha kar le gayi,
Kya theharti'n bastiya'n paani hi be-andaaza tha,

Raat saari khwaab ki galiyo'n mein hum chalte rahe,
Khidkiya'n raushan thi'n lekin band har darwaaza tha..!!

"Ahmad Mushtaq"

Raat Phir Rang Pe Thi Us Ke Badan Ki Khushbu

Raat phir rang pe thi us ke badan ki khushbu,
Dil ki dhadkan thi ke udte the lahu mein jugnu,

Jaise har shay ho kisi khwaab-e-faramosh mein gum,
Chand chamka na kisi yaad ne badla pahlu,

Subah ke zeena-e-khamosh pe qadmon ke gulaab,
Shaam ki band haweli mein hansi ka jaadu,

Sehn ke sabz andhere mein damakte rukhsar,
Saaf bistar ke ujaale mein chamakte gesu,

Jhilmilate rahe wo khwaab jo poore na hue,
Dard bedaar tapakta raha aansu aansu..!!

"Ahmad Mushtaq"

Saturday, March 3, 2018

Pata Ab Tak Nahin Badla Humara

pata ab tak nahin badla humara,
Wahi ghar hai wahi qissa hamara,

Wahi tooti hui kashti hai apni,
Wahi thehra hua dariya humara,

Ye maqtal bhi hai aur kunj-e-ama'n bhi,
Ye dil ye be-nishaan kamra humara,

Kisi jaanib nahin khulte dareeche,
Kahin jaata nahin rasta humara,

Hum apni dhoop mein baithe hain 'Mushtaq',
Humare saath hai saaya humara..!!

"Ahmad Mushtaq"

Mil Hi Jayega Kabhi Dil Ko Yaqeen Rahta Hai

Mil hi jayega kabhi dil ko yaqeen rahta hai,
Wo isi shahar ki galiyon mein kahin rahta hai,

Jis ki saanson se mahakte the dar-o-baam tere,
Ai makaan bol kahaan ab wo makeen rahta hai,

Ek zamana tha ke sab ek jagah rahte the,
Aur ab koi kahin koi kahin rahta hai,

Roz milne pe bhi lagta tha ki jug beet gaye,
Ishq mein waqt ka ahsaas nahin rahta hai,

Dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin,
Umr bhar kaun jawaan kaun haseen rahta hai..!!

"Ahmad Mushtaq"

Lubhata Hai Agarche Husn-e-dariya Darr Raha Hun Main

Lubhata hai agarche husn-e-dariya darr raha hun main,
Sabab ye hai ke ek muddat kinaare par raha hun main,

Ye jhonke jin se dil mein taazgi aankhon mein thandak hai,
Inhi jhonkon se murjhaya hua shab bhar raha hun main,

Tere aane ka din hai tere raste mein bichhane ko,
Chamakti dhoop mein saaye ikatthe kar raha hun main,

Koi kamra hai jis ke taaq mein ek shama jalti hai,
Andheri raat hai aur saans lete darr raha hun main,

Mujhe maloom hai ahl-e-wafa par kya guzarti hai,
Samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar raha hun main..!!

"Ahmad Mushtaq"

Kis Shay Pe Yahaan Waqt Ka Saaya Nahin Hota

Kis shay pe yahaan waqt ka saaya nahin hota,
Ek khwaab-e-mohabbat hai ki boodha nahin hota,

Wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein humaari,
Phirti hain wo shaklein jinhein dekha nahin hota,

Baarish wo barasti hai ki bhar jaate hain jal-thal,
Dekho to kahin abr ka tukda nahin hota,

Ghir jaata hai dil dard ki har band gali mein,
Chaaho ki nikal jaayein to rasta nahin hota,

Yaadon pe bhi jam jati hai jab gard-e-zamana,
Milta hai wo paighaam ke pahuncha nahin hota,

Tanhaai mein karni to hai ek baat kisi se,
Lekin wo kisi waqt akela nahin hota,

Kya us se gila kijiye barbaadi-e-dil ka,
Hum se bhi to izhaar-e-tamanna nahin hota..!!

"Ahmad Mushtaq"

Friday, March 2, 2018

Khwaab Ke Phoolon Ki Tabeerein Kahaani Ho Gayin

Khwaab ke phoolon ki tabeerein kahaani ho gayin,
Khoon thanda pad gaya aankhein puraani ho gayin,

Jis ka chehra tha chamakte mausamon ki aarzoo,
Us ki tasveerein bhi auraaq-e-khizaani ho gayin,

Dil bhar aaya kaghaz-e-khaali ki soorat dekh kar,
Jin ko likhna tha wo sab baatein zabaani ho gayin,

Jo muqaddar tha use to rokna bas mein na tha,
Un ka kya karte jo baatein na-gahaani ho gayin,

Rah gaya 'Mushtaq' dil mein rang-e-yaad-e-raftagaa'n,
Phool mahnge ho gaye qabrein puraani ho gayin.!!

"Ahmad Mushtaq"
___
Na-gahaani = unexpected, accidental,

Khoon-e-dil Se Kisht-e-ghum Ko Seenchta Rahta Hun Main

Khoon-e-dil se kisht-e-ghum ko seenchta rahta hun main,
Khaali kaghaz par lakeerein kheenchta rahta hun main,

Aaj se mujh par mukammal ho gaya deen-e-firaaq,
Haan tasawwur mein bhi ab tujh se juda rahta hun main,

Tu dayar-e-husn hai oonchi rahe teri faseel,
Main hun darwaza mohabbat ka, khula rahta hun main,

Shaam tak kheenche liye phirte hain is duniya ke kaam,
Subah tak farsh-e-nadamat par pada rahta hun main,

Haan kabhi mujh par bhi ho jaata hai mausam ka asar,
Haan kisi din shaaki-e-aab-o-hawa rahta hun main,

Ahl-e-duniya se ta'alluq qat'a hota hi nahin,
Bhool jaane par bhi soorat-aashna rahta hun main..!!

"Ahmad Mushtaq"
___
Kisht-e-ghum = killed by sorrow,
Faseel = a city wall, a rampart,
Shaaki-e-aab-o-hawa = complainant of water and air,
Qat'a = to finish,

Khair Auron Ne Bhi Chaaha To Hai Tujh Sa Hona

Khair auron ne bhi chaaha to hai tujh sa hona,
Ye alag baat ke mumkin nahin aisa hona,

Dekhta aur na theharta to koi baat bhi thi,
Jis ne dekha hi nahin us se khafa kya hona,

Tujh se doori mein bhi khush rahta hun pahle ki tarah,
Bas kisi waqt bura lagta hai tanha hona,

Yoon meri yaad mein mahfooz hain tere khad-o-khaal,
Jis tarah dil mein kisi shay ki tamanna hona,

Zindagi ma'arka-e-rooh-o-badan hai 'Mushtaq',
Ishq ke saath zaroori hai hawas ka hona.!!

"Ahmad Mushtaq"
___
Ma'arka-e-rooh-o-badan = achievement of soul & body,

Khade Hain Dil Mein Jo Barg-o-samar Lagaye Hue

Khade hain dil mein jo barg-o-samar lagaye hue,
Tumhaare haath ke hain ye shajar lagaye hue,

Bahut udaas ho tum aur main bhi baitha hun,
Gaye dinon ki kamar se kamar lagaye hue,

Abhi sipah-e-sitam khema-zan hai chaar taraf,
Abhi pade raho zanjeer-e-dar lagaye hue,

Kahaan kahaan na gaye aalam-e-khyaal mein hum,
Nazar kisi ke dar-o-baam par lagaye hue,

Wo shab ko cheer ke sooraj nikaal bhi laaye,
Hum aaj tak hain ummeed-e-sahar lagaye hue,

Dilon ki aag jalao ke ek umr hui,
Sada-e-nala-e-dood-o-sharar lagaye hue..!!

"Ahmad Mushtaq"
___
Barg-o-samar = leaves and fruit,
Sipah-e-sitam = soldiers of tyranny,
Zanjeer-e-dar = chain on the door,
Sada-e-nala-e-dood-o-sharar = sound of grief of smoke and sparkle, amber,

Kaise Unhein Bhulaaun Mohabbat Jinhon Ne Ki

Kaise unhein bhulaaun mohabbat jinhon ne ki,
Mujh ko to wo bhi yaad hain nafrat jinhon ne ki,

Duniya mein ehtiraam ke qaabil wo log hain,
Ai zillat-e-wafa teri izzat jinhon ne ki,

Tazeen-e-kaainaat ka baais wahi bane,
Duniya se ikhtilaaf ki jur'at jinhon ne ki,

Aasudgaan-e-manzil-e-laila udaas hain,
Achchhe rahe, na tay ye masafat jinhon ne ki,

Ahl-e-hawas to khair hawas mein hue zaleel,
Wo bhi hue kharaab, mohabbat jinhon ne ki..!!

"Ahmad Mushtaq"
___
Taz'een-e-kaainaat = adornment of universe
garnishment, decoration,
Baais = cause, occasion, basis,
Jur'at = courage, boldness, valour, bravery,
Aasudgaan-e-manzil-e-laila = achievers of destination of Laila,

Kahin Ummeed Si Hai Dil Ke Niha'n-khaane Mein

Kahin ummeed si hai dil ke niha'n-khaane mein,
Abhi kuchh waqt lagega use samjhane mein,

Mausam-e-gul ho ki patjhad ho bala se apni,
Hum ke shaamil hain na khilne mein na murjhane mein,

Hum se makhfi nahin kuchh rahguzar-e-shauq ka haal,
Hum ne ek umr guzaari hai hawa khane mein,

Hai yunhi ghoomte rahne ka maza hi kuchh aur,
Aisi lazzat na pahunchne mein na rah jaane mein,

Naye deewanon ko dekhein to khushi hoti hai,
Hum bhi aise hi the jab aaye the veerane mein,

Mausamon ka koi mahram ho to us se puchho
Kitne patjhad abhi baaqi hain bahaar aane mein..!!

"Ahmad Mushtaq"
___
Niha'n-khaana = hidden palace,
Makhfi = hidden, secret, concealed,

Kahaan Ki Goonj Dil-e-na-tawa'n Mein Rahti Hai

Kahaan ki goonj dil-e-na-tawa'n mein rahti hai,
Ke tharthari si ajab jism-o-jaa'n mein rahti hai,

Qadam qadam pe wahi chashm o lab wahi gesu,
Tamaam umr nazar imtiha'n mein rahti hai,

Maza to ye hai ki wo khud to hai naye ghar mein,
Aur us ki yaad puraane maka'n mein rahti hai,

Pata to fasl-e-gul-o-laala ka nahin maloom,
Suna hai qurb-o-jawaar-e-khiza'n mein rahti hai,

Main kitna wahm karun lekin ek shua-e-yaqeen,
Kahin nawah-e-dil-e-bad-guma'n mein rahti hai,

Hazaar jaan khapata rahun magar phir bhi,
Kami si kuchh mere tarz-e-baya'n mein rahti hai..!!

"Ahmad Mushtaq"
___
Dil-e-na-tawa'n = weak heart,
fasl-e-gul-o-laala = season of flowers,
Qurb-o-jawaar-e-khiza'n = in proximity of Autumn,
Shua-e-yaqeen = ray of conviction,
Nawah-e-dil-e-bad-guma'n = in the vicinity of one with heart of ill-will,

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...