Showing posts with label Saghar Azmi. Show all posts
Showing posts with label Saghar Azmi. Show all posts

Wednesday, May 23, 2018

Wo Aaj Bhi Qareeb Se Kuchh Kah Ke Hat Gaye

Wo aaj bhi qareeb se kuchh kah ke hat gaye,
Duniya samajh rahi thi mere din palat gaye..

Jo tishna-lab na the wo the mahfil mein gharq-e-jaam,
Khaali the jitne jaam wo pyaason mein bat gaye..

Sandal ka main darakht nahin tha to kis liye,
Jitne the ghum ke naag mujhi se lipat gaye..

Jab haath mein qalam tha to alfaaz hi na the,
Jab lafz mil gaye to mere haath kat gaye..

Jeene ka hausla kabhi marne ki aarzu,
Din yun hi dhoop chhaanw mein apne bhi kat gaye.!!

"Saghar Azmi"

Samaan To Gaya Tha Magar Ghar Bhi Le Gaya

Samaan to gaya tha magar ghar bhi le gaya,
Ab ke fasaad dil se mere darr bhi le gaya..

Khairaat bat rahi thi dar-e-shahryaar par,
Sunte hain ab ke bheekh sikandar bhi le gaya..

Maa ne bacha ke rakkha tha beti ke waaste,
Beta hua jawaan to ye zewar bhi le gaya..

Aaya tha har kisi ko mohabbat se jeetne,
Kuchh zakhm apne seene ka 'Saghar' bhi le gaya.!!

"Saghar Azmi"

Raat Ke Andheron Ko Raushni Wo Kya Dega

Raat ke andheron ko raushni wo kya dega,
Ek diya jalayega sau diye bujha dega,

Muddatein hui mujh se ghar chhuda diya mera,
Kya zamana ab tera saath bhi chhuda dega,

Sab ke naqli chehre hain sab ka ek aalam hai,
Koi is zamane mein kis ko aaina dega,

Main abhi to mujrim hun aap apna qaatil hun,
Kaanp uthega munsif bhi jab mujhe saza dega,

Jo diya ta'assub ka tum jala ke aaye ho,
Subah tak na jaane wo kitne ghar jala dega,

Jaanta hun main us ki saadgi-o-masoomi,
Wo mera kabutar bhi haath se uda dega,

Us ke paas moti hain mere paas aansu hain,
Main abhi se kya kah dun kaun kis ko kya dega,

Us se ab jo puchhunga us ka haal ai 'Saghar',
Koi sheyr mera hi wo mujhe suna dega.!! 

"Saghar Azmi"

Pyaas Sadiyon Ki Hai Lamhon Mein Bujhana Chahe

Pyaas sadiyon ki hai lamhon mein bujhana chahe,
Ek zamana teri aankhon mein samana chahe,

Aisi lahron mein nadi paar ki hasrat kis ko,
Ab to jo aaye yahaan doob hi jaana chahe,

Aaj bikne sar-e-bazaar main khud aaya hun,
Kyun mujhe koi kharidaar banana chahe,

Mujh mein aur tujh mein hai ye farq to ab bhi qaayem,
Tu mujhe chahe magar tujh ko zamana chahe,

Kabhi izhaar-e-mohabbat kabhi shikwon ke liye,
Tujh se milne ka koi roz bahana chahe,

Jis ko chhoone se mera jism sulag uttha tha,
Dil phir ek baar usi chhaanw mein jaana chahe,

Us ke jazbaat se yun khel raha hun 'Saghar',
Jaise panai mein koi aag lagana chahe.!!

"Saghar Azmi"

Phoolon Se Badan Un Ke Kaante Hain Zabanon Mein

Phoolon se badan un ke kaante hain zabanon mein,
Shishe ke hain darwaaze patthar ki dukanon mein,

Kashmir ki waadi mein be-parda jo nikle ho,
Kya aag lagaoge barfeeli chattanon mein,

Bas ek hi thokar se gir jaayengi deewaren,
Aahista zara chaliye shishe ke makanon mein,

Allah-re majboori bikne ke liye ab bhi,
Samaan-e-tabassum hai ashko'n ki dukanon mein,

Aane ko hai phir shayad tufaan naya koi,
Sahme hue baithe hain log apne makanon mein,

Shohrat ki fazaon mein itna na udo 'Saghar',
Parwaaz na kho jaaye in oonchi udaanon mein.!!

"Saghar Azmi"

Gulshan Ko Bahaaron Ne Is Tarah Nawaza Hai

Gulshan ko bahaaron ne is tarah nawaza hai,
Har shaakh ke kaandhe par kaliyon ka janaza hai,

Kis tarah bhulayen hum is shahar ke hangame,
Har dard abhi baaqi hai har zakhm abhi taaza hai,

Masti bhi ummidein bhi hasrat bhi udaasi bhi,
Mujh ko teri aankhon ne har tarah nawaza hai,

Mitti ki tarah ek din ud jaayega raahon se,
Sab shor machate hain jab tak lahu taaza hai,

Ye raakh makaano'n ki zaaya na karo 'Saghar',
Ye ahl-e-siyasat ke rukhsaar ka ghaaza hai.!!

"Saghar Azmi"

Dhoop Mein Ghum Ki Mere Saath Jo Aaya Hoga

Dhoop mein ghum ki mere saath jo aaya hoga,
Wo koi aur nahin mera hi saaya hoga..

Ye jo deewar pe kuchh naqsh hain dhundle dhundle,
Us ne likh likh ke mera naam mitaya hoga..

Jin ke honthon pe tabassum hai magar aankh hai nam,
Us ne ghum apna zamane se chhupaya hoga..

Be-ta'alluq si faza hogi rah-e-ghurbat mein,
Koi apna hi milega na paraya hoga..

Itna naraaz ho kyun us ne jo patthar phenka,
Us ke haathon se kabhi phool bhi aaya hoga..

Meri hi tarah mere sheyr hain ruswa 'Saghar',
Kis ko is tarah mohabbat ne sunaya hoga.!!

"Saghar Azmi"

Aisi Nahin Hai Baat Ke Qad Apne Ghat Gaye

Aisi nahin hai baat ke qad apne ghat gaye,
Chaadar ko apni dekh ke hum khud simat gaye..

Jab haath mein qalam tha to alfaaz hi na the,
Ab lafz mil gaye to mere haath kat gaye..

Sandal ka main darakht nahin tha to kis liye,
Jitne the ghum ke naag mujhi se lipat gaye..

Baithe the jab to saare parinde the saath saath,
Udte hi shaakh se kayi samto'n mein bat gaye..

Sb hum ko shafqato'n ki ghani chhaanw kya mile,
Jitne the saya-daar shajar saare kat gaye..

'Saghar' kisi ko dekh ke hansna pada mujhe,
Duniya samajh rahi hai mere din palat gaye.!!

"Saghar Azmi"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...