Showing posts with label Zafar Gorakhpuri. Show all posts
Showing posts with label Zafar Gorakhpuri. Show all posts

Wednesday, May 23, 2018

To Phir Main Kya Agar Anfaas Ke Sab Taar Gum Us Mein

To phir main kya agar anfaas ke sab taar gum us mein,
Mere hone na hone ke sabhi aasaar gum us mein,

Meri aankhon mein ek mausam hamesha sabz rahta hai,
Khuda jaane hain aise kaun se ashjaar gum us mein,

Hazaron saal chal kar bhi abhi khud tak nahin pahunchi,
Ye duniya kaash ho jaaye kabhi ek baar gum us mein,

Wo jaisa abr bheje jo hawa sar par chalaye wo,
Mere dariya mere sahra mere kohsaar gum us mein,

Nahin maloom aakhir kis ne kis ko thaam rakkha hai,
Wo mujh mein gum hai aur mere dar o deewar gum us mein,

'Zafar' us ke the hum to kab talak us se alag rahte,
Hue hum ek din hona tha aakhir-kaar gum us mein.!!

"Zafar Gorakhpuri"

Raushni Parchhaai Paikar Aakhiri

Raushni parchhaai paikar aakhiri, 
Dekh lun ji bhar ke manzar aakhiri,

Main hawa ke jhakkadon ke darmiyan,
Aur tan par ek chaadar aakhiri,

Zarb ek thehre hue paani pe aur,
Jaate jaate phenk kankar aakhiri,

Dono'n mujrim aaine ke saamne,
Pahla patthar ho ke patthar aakhiri,

Toot ti ek din lahu ki khamoshi,
Dekh lete hum bhi mahshar aakhiri,

Ye bhi tooa to kahaan jayenge hum,
Ek tasawwur hi to hai ghar aakhiri,

Dil musalsal zakhm chaahe hai 'Zafar',
Aur us ke paas patthar aakhiri..!!

"Zafar Gorakhpuri"

Pukare Ja Rahe Ho Ajnabi Se Chahte Kya Ho

Pukare ja rahe ho ajnabi se chahte kya ho,
Khud apne shor mein gum aadmi se chahte kya ho,

Ye aankhon mein jo kuchh hairat hai kya wo bhi tumhein de den,
Bana kar but humein ab khamushi se chahte kya ho,

Na itminaan se baitho na gahri neend so pao,
Miyaan is mukhtasar si zindagi se chahte kya ho,

Use thehra sako itni bhi to wus'at nahin ghar mein,
Ye sab kuchh jaan kar aawargi se chahte kya ho,

Kinaro'n par tumhaare waaste moti baha laaye,
Gharaunde bhi nahin tode nadi se chahte kya ho,

Charagh-e-shaam-e-tanhaai bhi raushan rakh nahin paaye,
Ab aur aage hawa ki dosti se chahte kya ho.!!

"Zafar Gorakhpuri"

Meri Ek Chhoti Si Koshish Tujh Ko Paane Ke Liye

Meri ek chhoti si koshish tujh ko paane ke liye,
Ban gayi hai mas'ala saare zamane ke liye,

Ret meri umr main bachcha niraale mere khel,
Main ne deewaren uthaai hain girane ke liye,

Waqt honthon se mere wo bhi khurach kar le gaya,
Ek tabassum jo tha duniya ko dikhane ke liye,

Aasman aisa bhi kya khatra tha dil ki aag se,
Itni baarish ek shole ko bujhane ke liye, 

Chhat tapakti thi agarche phir bhi aa jaati thi neend,
Main naye ghar mein bahut roya purane ke liye,

Der tak hansta raha un par humara bachpana,
Tajrabe aaye the sanjeeda banane ke liye,

Main 'Zafar' ta-zindagi bikta raha pardes mein,
Apni ghar-waali ko ek kangan dilane ke liye.!! 

"Zafar Gorakhpuri"

Mera Qalam Mere Jazbaat Maangne Waale

Mera qalam mere jazbaat maangne waale,
Mujhe na maang mera haath maangne waale,

Ye log kaise achanak ameer ban baithe,
Ye sab the bheekh mere saath maangne waale,

Tamaam gaanw tere bholpan pe hansta hai,
Dhuein ke abr se barsaat maangne waale,

Nahin hai sahl use kaat lena aankhon mein,
Kuchh aur maang meri raat maangne waale,

Kabhi basant mein pyaasi jado'n ki cheekh bhi sun,
Lute shajar se hare paat maangne waale,

Tu apne dasht mein pyasa mare to behtar hai,
Samandaron se inayaat maangne waale.!!

"Zafar Gorakhpuri"

Mera Qalam Mere Jazbaat Maangne Waale

Mera qalam mere jazbaat maangne waale,
Mujhe na maang mera haath maangne waale,

Ye log kaise achanak ameer ban baithe,
Ye sab the bheekh mere saath maangne waale,

Tamaam gaanw tere bholpan pe hansta hai,
Dhuein ke abr se barsaat maangne waale,

Nahin hai sahl use kaat lena aankhon mein,
Kuchh aur maang meri raat maangne waale,

Kabhi basant mein pyaasi jado'n ki cheekh bhi sun,
Lute shajar se hare paat maangne waale,

Tu apne dasht mein pyasa mare to behtar hai,
Samandaron se inayaat maangne waale.!!

"Zafar Gorakhpuri"

Kaun Yaad Aaya Ye Mahkaaren Kahaan Se Aa Gayin

Kaun yaad aaya ye mahkaaren kahaan se aa gayin,
Dasht mein khushbu ki bauchhaaren kahaan se aa gayin..

Kaisi shab hai ek ek karwat pe kat jaata hai jism,
Mere bistar mein ye talwaaren kahaan se aa gayin..

Khwaab shayad phir hua aankhon mein koi sangsaar,
Zer-e-mizhgaa'n khoon ki dhaaren kahaan se aa gayin..

Shayad ab tak mujh mein koi ghonsla aabaad hai,
Ghar mein ye chidiyon ki chahkaaren kahaan se aa gayin..

Saath hai milna agar chaahun to milta bhi nahin,
Ek ghar mein itni deewaren kahaan se aa gayin..

Rakh diya kis ne mere shaane pe apna garm haath,
Mujh shikasta-pa mein raftaaren kahaan se aa gayin..!!

"Zafar Gorakhpuri"

Jo Apni Hai Wo Khaak-e-dil-nasheen Hi Kaam Aayegi

Jo apni hai wo khaak-e-dil-nasheen hi kaam aayegi,
Giroge aasman se jab zameen hi kaam aayegi,

Yahaan se mat utha bistar ki is saffaak aandhi mein,
Ye tooti phooti deewar-e-yaqeen hi kaam aayegi,

Utha rakkha tha sahra sar pe tum ne kaun maanega,
Jhatakna mat ki ye gard-e-jabeen hi kaam aayegi,

Wo din aayega jab saare samandar sookh jaayenge,
Miyaan andar ki ju-e-aatishee'n hi kaam aayegi,

Koi aankhon ke shole ponchhne waala nahin hoga,
'Zafar' saahab ye geeli aasteen hi kaam aayegi.!! 

"Zafar Gorakhpuri"

Jo Aaye Wo Hisab-e-aab-o-daana Karne Waale The

Jo aaye wo hisab-e-aab-o-daana karne waale the,
Gaye wo log jo kaar-e-zamana karne waale the,

Udaane ke liye kuchh kam nahin hai khaak ghar mein bhi,
Wo mausam hi nahin hain jo deewana karne waale the,

Meri gum-gashtagi mere liye chhat ban gayi warna,
Ye duniya waale mujh ko be-thikana karne waale the,

Na dete saare manzar aks hi thode se de dete,
Hum aawara kahaan taz'een-e-khana karne waale the,

Samandar le gaya hum se wo saari sipiyaan waapas,
Jinhein hum jama kar ke ek khazana karne waale the,

'Zafar' be-khanamaan apne ko khud hi kar liya tum ne,
Ye kaar-e-khair to ahl-e-zamana karne waale the.!!

"Zafar Gorakhpuri"
__________

Kaar-e-zamana = act of times,
Gum-gashtagi = lost in wilderness,
Taz'een-e-khana = decoration of house,
Be-khanamaa'n = without house,

Jab Itni Jaan Se Mohabbat Badha Ke Rakkhi Thi

Jab itni jaan se mohabbat badha ke rakkhi thi,
To kyun qareeb-e-hawa shama la ke rakkhi thi,

Falak ne bhi na thikana kahin diya hum ko,
Makaan ki neew zameen se hata ke rakkhi thi,

Zara phuwaar padi aur aable ug aaye,
Ajeeb pyaas badan mein daba ke rakkhi thi,

Agarche khema-e-shab kal bhi tha udaas bahut,
Kam-az-kam aag to hum ne jala ke rakkhi thi,

Wo aisa kya tha ki na-mutmaeen bhi the us se,
Usi se aas bhi hum ne laga ke rakkhi thi,

Ye aasman 'Zafar' hum pe be-sabab toota,
Udaan kaun si hum ne bacha ke rakkhi thi.!!

"Zafar Gorakhpuri"

Iraada Ho Atal To Mo'ajaza Aisa Bhi Hota Hai

Iraada ho atal to mo'ajaza aisa bhi hota hai,
Diye ko zinda rakhti hai hawa aisa bhi hota hai,

Sunaai de na khud apni sada aisa bhi hota hai,
Miyaan tanhaai ka ek saaneha aisa bhi hota hai,

Chhide hain taar dil ke khana-barbaadi ke naghme hain,
Humare ghar mein saahib rat-jaga aisa bhi hota hai,

Bahut hassaas hone se bhi shak ko raah milti hai,
Kahin achchha to lagta hai bura aisa bhi hota hai,

Kisi masoom bachche ke tabassum mein utar jao,
To shayad ye samajh pao khuda aisa bhi hota hai,

Zabaan par aa gaye chhaale magar ye to khula hum par,
Bahut meethe phalo'n ka zaaiqa aisa bhi hota hai.!!

"Zafar Gorakhpuri"

Din Ko Bhi Itna Andhera Hai Mere Kamre Mein

Din ko bhi itna andhera hai mere kamre mein,
Saaya aate hue darta hai mere kamre mein..

Ghum thaka-haara musafir hai chala jaayega,
Kuchh dino'n ke liye thehra hai mere kamre mein..

Subah tak dekhna afsaana bana daalega, 
Tujh ko ek shakhs ne dekha hai mere kamre mein..

Dar-ba-dar din ko bhatakta hai tasawwur mera,
Haan magar raat ko rahta hai mere kamre mein..

Chor baitha hai kahaan soch raha hun main 'Zafar',
Kya koi aur bhi kamra hai mere kamre mein.!!

"Zafar Gorakhpuri"

Ashk-e-ghum Aankh Se Baahar Bhi Nahin Aane Ka

Ashk-e-ghum aankh se baahar bhi nahin aane ka,
Abr chhat jaayen wo manzar bhi nahin aane ka,

Ab ke aaghaz-e-safar soch samajh ke karna,
Dasht milne ka nahin ghar bhi nahin aane ka,

Haye kya hum ne tadapne ka sila paya hai,
Aisa aaram jo aa kar bhi nahin aane ka, 

Ahd-e-'ghaalib' se zyaada hai mere ahd ka karb,
Ab to kooze mein samandar bhi nahin aane ka,

Sabza deewar pe ug aaya 'Zafar' khush ho lo,
Aage aankhon mein ye manzar bhi nahin aane ka.!!

"Zafar Gorakhpuri"

Badan Kajla Gaya To Dil Ki Tabaani Se Niklunga

Badan kajla gaya to dil ki tabaani se niklunga,
Main suraj ban ke ek din apni peshaani se niklunga,

Nazar aa jaunga main aansuon mein jab bhi ro'oge,
Mujhe mitti kiya tum ne to main paani se niklunga,

Tum aankhon se mujhe jaan ke safar ki mat ijazat do,
Agar utra lahu mein phir na aasani se niklunga,

Main aisa khoobsurat rang hun deewar ka apni,
Agar nikla to ghar waalon ki nadaani se niklunga,

Zameer-e-waqt mein paiwast hun main phaans ki surat,
Zamana kya samajhta hai ke aasani se niklunga,

Yahi ek shay hai jo tanha kabhi hone nahin deti 
'Zafar' mar jaaunga jis din pareshani se niklunga.!!

"Zafar Gorakhpuri"

Thursday, May 3, 2018

Dekhein Qareeb Se Bhi To Achchha Dikhaai De

Dekhein qareeb se bhi to achchha dikhaai de,
Ek aadmi to shahar mein aisa dikhaai de,

Ab bheekh maangne ke tareeqe badal gaye,
Laazim nahin ke haath mein kaasa dikhaai de,

Neze pe rakh ke aur mera sar buland kar,
Duniya ko ek charaagh to jalta dikhaai de,

Dil mein tere khyaal ki banti hai ek dhanak,
Sooraj sa aaine se guzarta dikhaai de,

Chal zindagi ki jot jagayein ajab nahin,
Laashon ke darmiyaan koi rasta dikhaai de,

Kya kam hai ki wajood ke sannaate mein 'Zafar',
Ek dard ki sada hai ke zinda dikhaai de..!!

"Zafar Gorakhpuri"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...