* Nazm *
__________
Apne maazi ke tasawwur se hirasaa'n hun main..
Apne guzre hue ayyaam se nafrat hai mujhe..
Apni bekaar tamannaon pe sharminda hun..
Apni be-sood ummidon pe nadamat hai mujhe..
Mere maazi ko andhere mein daba rahne do,
Mera maazi meri zillat ke siwa kuchh bhi nahin..
Meri ummidon ka haasil meri kaawish ka sila,
Ek be-naam aziyat ke siwa kuchh bhi nahin..
Kitni bekaar ummidon ka sahaara le kar..
Main ne aiwaan sajaye the kisi ki khaatir.!
Kitni be-rabt tamannaon ke mub'ham khaake..
Apne khwabon mein basaye the kisi ki khaatir.!
Mujh se ab meri mohabbat ke fasane na kaho,
Mujh ko kahne do ke main ne unhein chaaha hi nahin..
Aur wo mast nigaahein jo mujhe bhool gayin,
Main ne un mast nigaahon ko saraha hi nahin..
Mujh ko kahne do ke main aaj bhi ji sakta hun,
Ishq nakaam sahi zindagi nakaam nahin..
Un ko apnaane ki khwahish unhein paane ki talab,
Shauq-e-bekaar sahi saii-e-ghum-e-anjaam nahin..
Wahi gesu wahi nazrein wahi aariz wahi jism,
Main jo chaahun to mujhe aur bhi mil sakte hain..
Wo kanwal jin ko kabhi un ke liye khilna tha,
Un ki nazron se bahut door bhi khil sakte hain.!!
"Sahir Ludhianwi"
__________
Hirasaa'n = harassed,
Kaawish = effort/ endeavour,
Aiwaan = Palace , chamber, hall,
Mub'ham = indistinct, ambiguous,
Saii-e-ghum-e-anjaam = effort leading to/resulting in sorrow,
No comments:
Post a Comment