Showing posts with label Farasat Rizwi. Show all posts
Showing posts with label Farasat Rizwi. Show all posts

Wednesday, May 30, 2018

Ye Ashk Aankh Mein Kis Justuju Ke Saath Aaye

Ye ashk aankh mein kis justuju ke saath aaye,
Ke tere zikr teri guftugu ke saath aaye,

Main ek nakhl tha yak-rangi khizaa'n ka aseer,
Ye saare rang teri aarzu ke saath aaye,

Jo kho gaye the kahin umr ke dhundlakon mein,
Wo aks phir kisi aaina-ru ke saath aaye,

Farogh-e-nasha-e-may se bhi ji bahal na saka,
Bahut se ghum the jo mauj-e-subu ke saath aaye,

Gila na kar jo sar-e-shahr ju-e-khoon hai rawaa'n,
Ke inqilaab jab aaye lahu ke saath aaye,

Gaye to sirf mata-e-sukoot le ke gaye,
Jo is nagar mein badi haaw-hu ke saath aaye,

'Farasat' ahl-e-jahaan hum-safar hain khushiyon ke,
Maqaam-e-ranj talak kab kasu ke saath aaye.!!

"Farasat Rizwi"

Wo Din Jo Beet Gaya Phir Kisi Ne Paaya Nahin

Wo din jo beet gaya phir kisi ne paaya nahin,
Kabhi kamaan se koi teer ja ke aaya nahin,

Thehar gaya hai sar-e-markaz-e-falak suraj,
Ye waqt wo hai ke deewar mein bhi saaya nahin,

Ye be-dili-e-musalsal ye ranj-e-na-maloom,
Tujhe bhula ke bhi hum ne tujhe bhulaya nahin,

Aseer-e-bazm is aawargi ko kam na samajh,
Jo apne saath guzara wo din ganwaya nahin,

Bichhadne se bhi siwa hai ye ghum ke shaam-e-firaaq,
Koi sitara in aankhon mein jhilmilaya nahin,

Bas apna naam wo kaaghaz pe likh ke chhorh gaya,
Main so raha tha to us ne mujhe jagaya nahin,

Main apne ahd ki takmeel tujh se kya karta,
Ke main ne khud se bhi waada koi nibhaya nahin,

'Farasat' ek to kam-himmati mujhi mein thi,
Phir us nazar ne bhi kuchh hausla badhaya nahin.!!

"Farasat Rizwi"

Un Aankhon Ka Mujh Se Koi Waada To Nahin Hai

Un aankhon ka mujh se koi waada to nahin hai,
Thodi si mohabbat hai zyaada to nahin hai..

Usloob-e-nazar se mera mafhoom na samjhe,
Wo yaar mera itna bhi saada to nahin hai..

Aaghaaz jo ke main ne nayi ek mohabbat, 
Ye pichhli mohabbat ka iaada to nahin hai..

Seene mein bujha jaata hai dil mera sar-e-shaam,
Is ghum ka ilaaj aatish-e-baada to nahin hai..

Phir se teri aankhon mein siwa rang-e-mohabbat,
Phir tark-e-mohabbat ka iraada to nahin hai..

Parwaaz ke sab khwab yahin rakkhe hain main ne,
Go kunj-e-qafas itna kushaada to nahin hai..

Khaano'n mein bhatakta nazar aaya mujhe insaan,
Shatranj zamana ka pyaada to nahin hai.. 

Jaate hain kahin aur pahunchte hain kahin aur,
Ek aur bhi jaada pas-e-jaada to nahin hai.!!

"Farasat Rizwi"
__________

iaada = repetition, revising,
Kunj-e-qafas = grove/ nook of a cage,
Kushaada = open, uncovered, expanded, spacious,
Jaada = pathway, road, route, high-way,

Poochhe Jo Nishaan Koi Anjaan Nikalte Hain

Poochhe jo nishaan koi anjaan nikalte hain,
Hum rah-guzaron se be-dhyaan nikalte hain..

Dil taza marasim ke aaghaaz se darta hai,
Milne se bichhadne ke imkaan nikalte hain..

Kis samt ko jaate hain ai raah-e-chaman aakhir,
Lashkar gul-o-nik'hat ke har aan nikalte hain..

Ghar rahiye ke baahar hai ek raqs balaon ka,
Is mausam-e-wahshat mein nadaan nikalte hain..

Tum ishq ke kooche mein jaan nazr to kar dekho,
Marne se bhi jeene ke unwaan nikalte hain..

Is saaya-e-mizhgaa'n mein kuchh waqt guzara hai,
Hum par bhi un aankhon ke ahsaan nikalte hain..

Hasti ki ye zanjeerein ye jism ki deewarein,
Hum saath liye apna zindaan nikalte hain..

Hum dekhte rahte hain is pyaas ke sahra se,
Kya qaafila-e-abr-o-baraan nikalte hain..

Gul shaakhon pe aate hain kis aalame-e-afsoo'n se,
Kisi ghaib ki waadi se insaan nikalte hain..

Ye aalam-e-hasti hai ya khwab ki basti hai,
Jis samt chale jaayen hairaan nikalte hain..

Buniyaad-e-ta'alluq hai ek wahm-e-shanasaai,
Socho to sabhi chehre anjaan nikalte hain..

Kis waqt nahin rahti aankhon mein wo mauj-e-khoo'n,
Kab dil se tere ghum ke paikaan nikalte hain..

Jis harf ke likhne mein ho dil ka lahu shaamil,
Us harf se farda ke ruj'haan nikalte hain..

Hai harf-e-sukhan apna bas apni hi khalwat mein,
Bazaar mein yaaron ke deewaan nikalte hain..

Duniya ki mohabbat ka sauda na kabhi karna,
Is saude ke aakhir mein nuqsaan nikalte hain..

Lo subah-e-adam aai ab hijr ki saa'at hai,
Shab-bhar ki saraye se mehmaan nikalte hain.!!

"Farasat Rizwi"

Palkon Par Nam Baaqi Hai

Palkon par nam baaqi hai,
Ab tak wo gham baaqi hai..

Zakhm kabhi bhar jayenge,
Waqt ka marham baaqi hai..

Kaisa sitam hai wasl ke beech,
Hijr ka aalam baaqi hai..

Pichhli mohabbat ka tujh mein,
Rang ek maddham baaqi hai..

Chalte rahna hai mujh ko,
Jab tak ye dam baaqi hai..

Ek ta'alluq hai ye bhi,
Nafrat baaham baaqi hai.!!

"Farasat Rizwi"

Naqd-e-jaan Ki Mere Saughaat Abhi Baaqi Hai

Naqd-e-jaan ki mere saughaat abhi baaqi hai,
Shab-e-hijraa'n ki mudaraat abhi baaqi hai..

Dhoop mein tark-e-marasim ki jhulasne waale,
Aakhiri shaam-e-mulaqaat abhi baaqi hai..

Khaaliq-e-kaun-o-makaa'n hum se nahin hai naraaz,
Gardish-e-arz-o-samawaat abhi baaqi hai..

Waqt ki dhoop mein khoye mere nashshe kitne,
Ek teri chashm-e-kharabaat abhi baaqi hai..

Roz-e-awwal se ajal khel rahi hai shatranj,
Mujh ko shah ho bhi chuki maat abhi baaqi hai..

Chaandni par hai tumhein rang-e-sahar ka dhokha, and
Gul na kar dena diye raat abhi baaqi hai..

Har ghazal ki mujhe takmeel pe mahsoos hua,
Dil mein kahne ko koi baat abhi baaqi hai.!!

"Farasat Rizwi"
__________

Naqd-e-jaan = life of of a just standard,
Khaaliq-e-kaun-o-makaa'n = Creator of the world, the universe; every created being.
Gardish-e-arz-o-samawat = movement of earth and skies,

Mujhe Zindagi Ne Diya Kuchh Nahin

Mujhe zindagi ne diya kuchh nahin,
Magar mujh ko us ka gila kuchh nahin..

Khyaalon ke khanjar bahut tez hain,
Wahi khush hai jo sochta kuchh nahin..

Bahut khoob-ru tha mera hum-sukhan,
Use dekhne mein suna kuchh nahin..

Bas ek pal ki deewar hai darmiyaan,
Adam se mera faasla kuchh nahin..

Wo gul nazr-e-khaak-e-khizaa'n ho gaye,
Khabar tujh ko baad-e-saba kuchh nahin..

Ye hangama-e-aalam-e-aab-o-gil,
Ba-juz ek shor-e-fana kuchh nahin..

Wahi hijr hai aur wahi wasl hai,
Mera tajraba bhi naya kuchh nahin..

Tawalat meri guftugu mein jo thi,
Mere pas kahne ko tha kuchh nahin..

'Farasat' wahi be-hisi hai yahaan,
Tere girye se to hua kuchh nahin.!! 

"Farasat Rizwi"

Mohabbaton Ka Chaman Payemaal Hum Ne Kiya

Mohabbaton ka chaman payemaal hum ne kiya,
Khud apne aap ka jeena muhaal hum ne kiya..

Jo lazzatein hain dukhon mein masarraton mein kahaan,
Mila urooj to us ko zawaal hum ne kiya..

Na kaar-e-dil ke the laaiq na kaar-e-duniya ke,
Jo kuchh kiya to ghum-e-mah-o-saal hum ne kiya..

Hazaar dard ke mausam guzar gaye lekin,
Kabhi daraaz na dast-e-sawaal hum ne kiya..

Ye ramz-e-ishq ye naazuk kinaaye hum ne sikhaye,
Nigah-e-naaz tujhe be-misaal hum ne kiya..

Diye taraash liye yaas ke andheron se,
Ghum-e-firaaq ko khwab-e-wisaal hum ne kiya..

Sukhan se rang gaya zindagi se khwab gaye,
Ye zakhm hijr ka kyun indimaal hum ne kiya..

Hui hai aaj tabiyat sukhan pe phir maail,
So mauj-e-dard ko dil mein bahaal hum ne kiya.!!

"Farasat Rizwi"
__________

Ramz-e-ishq = hidden meaning of love,
Kinaaye = innuendo,
Indimaal = cure,

Mizha Pe Ashk-e-alam Jhilmilaye Aakhir-e-shab

Mizha pe ashk-e-alam jhilmilaye aakhir-e-shab,
Bichhadne waale bahut yaad aaye aakhir-e-shab..

Wo jin ke qurb se dhhaaras thi mere dil ko bahut,
Koi kahin se unhein dhundh laate aakhir-e-shab..

Ye shor-e-baad-e-zamistaa'n ye raasta sunsaan,
Dara rahe hai darakhton ke saaye aakhir-e-shab..

Hawa mein dard ki shiddat se zamzama-paira,
Sunega kaun ye meri sada-e-aakhir-e-shab.. 

Rawana hone ko hai karwaan sitaron ka,
Phir us ke baad kahan naqsh-e-pa-e-aakhir-e-shab..

Kidhar chali hai nigaar-e-falak kise maloom,
Ye tasht-e-maah-o-sitara uthaye aakhir-e-shab..

Wo teri yaad ke mehmaan ho gaye rukhsat,
Ujad gayi mere dil ki saraye aakhir-e-shab..

Phir us ke baad wahi dhoop hai mashaqqat ki,
Zara si der ko hai khwabnaye aakhir-e-shab..

Naseeb ho saf-e-aaindagaa'n ko taaza sahar,
Mere labo'n pe yahi hai dua-e-aakhir-e-shab..

Wo so gaye hain jinhein jaagne ki aadat thi,
Kise pukaar rahi hai hawa-e-aakhir-e-shab.. 

'Farasat' ab hui mahfil tamaam ghar ko chalo,
Sarak rahi hai falak par rida-e-aakhir-e-shab.!!

"Farasat Rizwi"
__________

Mizha = eyelashes,
Dhhaaras = Encouragement, Lull,
Zamzama-paira = singing song,

Malboos-e-ghubaar Yaad Rakhna

Malboos-e-ghubaar yaad rakhna,
Ye rahguzaar yaad rakhna..

Ek shaam-e-khizaa'n yahin kahin hai,
Ai subah-e-bahaar yaad rakhna..

Hum kashti-e-ishq ke musafir,
Utre nahin paar yaad rakhna..

Ai zakhma-waraa'n-e-barbat-e-dil,
Tooe hue taar yaad rakhna..

Patjhad ki hawa'en cheekhti hain,
Kya saut-e-hazaar yaad rakhna..

Hum jaate hain baar-e-ghum uthaye,
Ai shahar-e-nigaar yaad rakhna..

Ibrat ka maqaam hai ye duniya,
Veeran dayaar yaad rakhna..

Ai waadi-e-gul ko jaane waale,
Raston ke ye khaar yaad rakhna..

Milti hai ghumo'n se bhi basirat,
Zakhmon ka shumaar yaad rakhna..

Bachpan ke makaan ka nakhl-e-humraaz, 
Ye haar singhaar yaad rakhna..

Ye harf hai raushni-e-farda,
Harf sar-e-daar yaad rakhna..

Shayad main ye khwab bhool jaaun,
Tum ai mere yaar yaad rakhna.!!

"Farasat Rizwi"
__________

Saut-e-hazaar = thousand sounds,

Koi Rahzan Na Musafir Na Shajar Ki Surat

Koi rahzan na musafir na shajar ki surat,
Dekh is ujdi hui rahguzar ki surat..

Jaane kab khana-badoshi ke ye din guzrenge,
Muddatein ho gayin dekhe hue ghar ki surat..

Pahle dukh tha ke sar-e-rahguzar baithe hain,
Ab koi ranj nahin ranj-e-safar ki surat..

Apne hi aks se fursat nahin milti warna,
Aaine mein hai kahin aaina-gar ki surat,

Itne payaab nahin hai ke har ek ko mil jaayen,
Hum to rahte hain samandar mein gauhar ki surat,

Aaj aankhon mein nami hai to ghanimat jaano,
Qaht-e-girya mein kahaan deeda-e-tar ki surat,

Beech raste mein humein chhorh ke jaane waale,
Saath hon lenge tere gard-e-safar ki surat, 

Chashm-e-ibrat se 'Farasat' mein use dekhta hun,
Kal ye veerana tha aabaad nagar ki surat.!!

"Farasat Rizwi"

Kisi Ko Kab Wo Apne Dil Ka Kuchh Ahwaal Deta Hai

Kisi ko kab wo apne dil ka kuchh ahwaal deta hai,
Main us se baat karta hun wo mujh ko taal deta hai,

Koi to hai jo is hairat-sara-e-noor-o-zulmat mein,
Sitare ko ziya aaine ko timsaal deta hai,

Bahut inkaar karta hai sawaal-e-wasl par lekin,
Khafa ho jaaun to gardan mein baanhein daal deta hai,

Koi chehron ka saudagar chhupa hai is kharabe mein,
Purani suratein le kar nayi ashkaal deta hai,

Main jis lamhe guzarte waqt ko mahsoos karta hun,
Wo ek lamha 'Farasat' ranj-e-maah-o-saal deta hai.!!

"Farasat Rizwi"

Khel Tha Apni Ana Ka Ishq Use Samjha Kiya

Khel tha apni ana ka ishq use samjha kiya,
Main ne apne aap se kitna bada dhoka kiya..

Umr-bhar ka hum-nafas ek pal mein rukhsat ho gaya,
Aur main khamosh use jaate hue dekha kiya..

Ek zara si baat par rootha raha wo der tak,
Muskura ke khud hi phir meri taraf chehra kiya..

Fikr ki lazzat ke baais hain meri nakaamiyan,
Sab amal karte rahe aur main faqat socha kiya..

Zakhm ki ek aag thi jis se sukhan raushan rakha,
Dard ki ek lahar thi main ne jise naghma kiya..

Sab hi kuchh us se na kahna tha jo tere dil mein tha,
Shiddat-e-izhaar mein tu ne 'Farasat' kya kiya.!!

"Farasat Rizwi"

Jinhein Mahfilon Se Gharaz Na Thi Wo Jo Qaid Apne Gharon Mein The

Jinhein mahfilon se gharaz na thi wo jo qaid apne gharon mein the,

Wahi aitibaar-e-zamana the wahi log deeda-waron mein the..

Hue haath ab to lahu lahu sar-e-chashm andhera hai chaar-su,

Kabhi hum bhi aaina-saaz the kabhi hum bhi shisha-garon mein the..

Chali shahar mein wo hawa-e-zar ke ghubaar ban ke gaye bikhar,

Wo jo khwab aankhon mein the makeen wo junoon jo apne saron mein the,

Mere mohsino'n mein hain shahar ke ye taweel-o-aashna raaste,

Kahin aur jaaye amaa'n na thi ki ghaneem-e-jaan to gharon mein the..

Wahi jin ki tegh se ban gaya mera shahar maqtal-e-khoon-fishaa'n,

Sar-e-aam deeda-e-nam liye wahi log nauha-garon mein the,

Ek udaas basti mein waqt-e-shab main gaya to aise makaan the sab,

Na to khidkiyon mein the mah-ru na charagh un ke daron mein the..

Sar-e-shaam door fazaon mein ye jo aaine se chamak uthe,

Yahi dhalti dhoop ke rang the ke jo taairo'n ke paron mein the.!!

"Farasat Rizwi"

Jab Achanak Mere Pahlu Se Mera Yaar Utha

Jab achanak mere pahlu se mera yaar utha,
Dard seene mein utha aur kayi bar utha,

Zindagi bojh na ban jaaye tan-aasaani se, 
Apne raste mein kabhi khud koi deewar utha,

Sarsar-e-waqt se ghaafil tha tu ai kibr-nazaad,
Gir gayi khaaak zameen par teri dastaar utha,

Wahm-e-nazara mein hai aafiyat-e-deeda-o-dil,
Bhool kar bhi na kabhi parda-e-asraar utha,

Jis se ho jaayen mere chahne waale taqseem,
Aisi deewar na koi mere me'amaar utha,

Khauf-e-taadeeb se mazloomon pe roya na gaya,
Shaam-e-maqtal mein koi bhi na azadaar utha,

Door tak phaila hua dasht-e-bala hai baahar,
Apni mahfil se na mujh ko mere dildaar utha,

Naaz-bardaar-e-hunar ho gaye rukhsat kab ke,
Ab bisat-e-sukhan-o-naghma-o-ash'aar utha,

Saamne tere zar-afshaa'n hai nai subah-e-ummid,
Apni palkon ko zara deeda-e-khoon-baar utha,

Kal 'Farasat' tha yahan majma-e-yaraa'n tere saath,
Ab isi shahar mein tanhaai ke aazaar utha.!!

"Farasat Rizwi"

Hum Ne Dil Us Ke Ta'in Nazr Guzara Apna

Hum ne dil us ke ta'in nazr guzara apna, 
Us ne samjha na sar-e-bazm ishaara apna,

Kya pukarun ke sada bhi na wahaan jayegi,
Jaane kis des gaya yaar wo pyara apna,

Le gaya door use khwab-e-adam ka afsoo'n,
Neend se phir na utha anjuman-aara apna,

Umr ke saath juda hote chale jayenge yaar,
Kam nahin hoga kisi taur khasara apna,

Laut kar aaye to basti hai na talaab na baagh,
Hum yahin chhorh gaye the wo nazara apna,

Shaam hote hi bhatakte the use dekhne ko,
Usi tareek gali mein tha sitara apna,

Ghum hue aise ke aata hi nahin koi jawaab,
Naam le le ke bahut hum ne pukara apna,

Ye jo galiyaan hain mere shahar ki hain meri rafeeq,
Unhi galiyon mein bahut waqt guzara apna,

Hum wo beemar-e-ana hain ke hue jis se khafa,
Us ko chehra bhi dikhaya na dobara apna, 

Baarha pesh hua khil'at-e-shaahi hum ko,
Hum ne malboos-e-gadaai na utara apna,

Kya khabar ban gayi kis tarah ghazal ki surat,
Hum ne to dard hi kaaghaz pe utara apna,

Ya-ali kahne se hat jaate hain raste se pahaad,
Ek yahi naam hai mushkil mein sahaara apna.!!

"Farasat Rizwi"
__________

Ta'in = for, towards,
Nazr = a gift, an offering,
Guzara = passed,
Khwab-e-adam = death,
Afsoo'n = charm, magic spell,
Khasara = Loss,
Khil'at-e-shaahi = royal robe of honour,

Gaye Dinon Ka Hawala Tha Kaam Kya Deta

Gaye dinon ka hawala tha kaam kya deta, 
Guzar gaya wo jawab-e-salaam kya deta,

Dayaar-e-shab se bhi aage mera safar tha bahut,
So mera saath wo maah-e-tamaam kya deta,

Main is kharaba-e-dil ke ujaad manzar mein,
Kisi ko daawat-e-sair-o-qayaam kya deta,

Jo tu na aata to rang-e-fasurdagi ke siwa,
Meri nigaah ko ye husn-e-shaam kya deta,

Shikasta-paai pe jab mutmaeen the rahrawaa'n,
Main qaafile ko dua-e-khiraam kya deta,

Mujhe khabar hai sarisht-e-sifaal mein hai zawaal,
Main apne dil ko fareb-e-dawaam kya deta,

Main koozagar ki dukaan par rakha raha ta-umr,
Koi charagh-e-shikasta ke daam kya deta, 

Usi se mujh ko mohabbat usi se nafrat bhi,
Main us ta'alluq-e-khaatir ko naam kya deta,

Ye shahar ho gaya khaali sukhan-shanaso'n se,
Yahaan koi mujhe daad-e-kalaam kya deta.!!

"Farasat Rizwi"

Falak Pe Chaand Hai Aur Paas Ek Sitara Hai

Falak pe chaand hai aur paas ek sitara hai,
Ye teri meri mohabbat ka istiaara hai,

Shab-o-sahar ke tasalsul mein ye tulu-o-ghuroob,
Samajhne waalon ko ek dukh-bhara ishaara hai,

Ye tere sozan-e-mizhgaa'n ke bas ki baat nahin,
Yahana to pairahan-e-jaan hi paara-paara hai,

Faqat karishma-e-tarz-e-nazar hai sood-o-ziyaa'n,
Kisi ka nafa kisi ke liye khasara hai,

Wo jis ne mujh ko kahin ka nahin rakha ek umr,
Wahi khyaal wahi aarzu dobara hai,

Nayi jagah mujhe manoos si lagi to khula,
Ye koi khwab mein dekha hua nazara hai,

Yahaan se jo bhi gaya laut kar nahin aaya,
Bataye kaun kahaan doosra kinara hai.!!

"Farasat Rizwi"

Dekhte Jaate Hain Namnaak Hue Jaate Hain

Dekhte jaate hain namnaak hue jaate hain,
Kya gulistaan khas-o-khashaak hue jaate hain,

Ek ek kar ke wo ghum-khwar sitare mere,
Ghum sar-e-wusat-e-aflak hue jaate hain,

Khush nahin aaya khizaa'n ko mera uryaa'n hona,
Zard patte meri poshaak hue jaate hain,

Dekh kar qarya-e-veeran mein zamistaa'n ka chaand,
Shaam ke saaye alam-naak hue jaate hain,

Zulm sab ahl-e-zameen par hain zameen waalon ke,
Hum abas dushman-e-aflaak hue jaate hain,

Deeda-e-tar se mayassar tha humein dil ka gudaaz,
Qaht-e-girya hai to saffaak hue jaate hain, 

Koozagar ne humein mitti se kiya tha takhleeq,
Kya ta'ajjub hai agar khaak hue jaate hain,

Kaisi ibrat hai ke is kashmakash-e-rizq mein hum,
Apne hi rizq ki khuraak hue jaate hain.!!

"Farasat Rizwi"

Tuesday, May 29, 2018

Dukhon Ke Phool To Hain Zakhm To Hai Daagh To Hai

Dukhon ke phool to hain zakhm to hai daagh to hai,
Hara-bhara mere seene mein koi baagh to hai..

Nahin hai wasl magar khwab-e-wasl bhi hai bahut,
Zara si der ghum-e-hijr se faraagh to hai..

Bahut ujaade sahi umr ki saraaye magar,
Shikasta taaq mein ek yaad ka charaagh to hai..

Main tishnagi ka gila kya karun ke surat-e-dil,
Lahu ki may se chhalakta hua ayaagh to hai..

Tu kho gaya hai mere shahar-e-raftagaan lekin,
Ye ek dard ki khushbu tera suraagh to hai.!! 

"Farasat Rizwi"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...