Posts

Showing posts from October, 2018

Hazaaron Baar Sochoge Humein Tahreer Karne Tak

Humein Daryaaft Karne Se Humein Taskheer Karne Tak, Bahut Hain Marhale Baaqi Humein Zanjeer Karne Tak.. Humare Hijr Ke Qisse Sametoge To Likkhoge, Hazaaron Baar Sochoge Humein Tahreer Karne Tak.. Humara Dil Hai Paimana, So Paimana To Chhalkega, Chalo Do Ghoont Tum Bhar Lo Humein Taaseer Karne Tak.. Hunar Takmeel Se Pahle Musawwir Bhi Chhupata Hai, Zara Tum Bhi Chhupa Rakkho Humein Taameer Karne Tak.. Wo Hum Ko Roz Loot'te Hain Adaaon Se Bahaanon Se, Khuda Rakkhe Lutere Ko Humein Faqeer Hone Tak.!!  ہمیں دریافت کرنے سے ہمیں تسخیر کرنے تک بہت ہیں مرحلے باقی، ہمیں زنجیر کرنے تک ہمارے ہجر کے قصے سمیٹوگے تو لکھوگے ہزاروں بار سوچو گے، ہمیں تحریر کرنے تک ہمارا دل ہے پیمانہ، سو پیمانہ تو جھلکے گا چلو دو گھونٹ تم بھر لو، ہمیں تاثیر کرنے تک ہنر تکمیل سے پہلے، مصور بھی چُھپاتا ہے ذرا تم بھی چُھپا رکھو، ہیمں تعمیر کرنے تک وہ ہم کو روز لوٹتے ہیں، اداؤں سے، بہانوں سے خدا رکھے! لوٹیرے کو، ہمیں فقیر کرنے تک.. 

Main Ye Samjha Ke Faqat Bichhde Hain

Main Ye Samjha Ke Faqat Bichhde Hain, Haye Qismat! Bhula Diya Us Ne.! "Jaun Eliya" میں یہ سمجھا کہ فقط بچھڑے ہیں ہاۓ قسمت!  بُھلا دیا اُس نے .. جون ایلیا

Haath Choomun Gale Lagaaun Main

Haath Choomun Gale Lagaaun Main, Teri Baatein Koi Sunaaye To.!  "Jaun Eliya" ہاتھ چوموں ، گلے لگاؤں میں تیری باتیں کوئی سُنائے تو۔۔۔ جون ایلیاء

Ye Jo Bekaar Nazar Aate Hain Hum Log Janaab

Ye Jo Bekaar Nazar Aate Hain Hum Log Janaab, Koi Aankhon Se Lagata To Sitaare Hote.! یہ جو بیکار نظر آتے ہیں ہم لوگ 'جناب ' کوئی آنکھوں سے لگاتا تو ستارے ہوتے..

Ye Dil, Dil Nahi Saahib

Ye Dil, Dil Nahi Saahib, Aghoori Hasraton Ka Yateem-khana Hai.!