Dil gaya tum ne liya hum kya karein, Jaane waali cheez ka ghum kya karein, Hum ne mar kar hijr mein paai shifa, Aise achchhon ka wo maatam kya karein, Apne hi ghum se nahin milti najaat, Is bina par fikr-e-aalam kya karein, Ek saaghar par hai apni zindagi, Rafta rafta is se bhi kam kya karein, Kar chuke sab apni apni hikmatein, Dam nikalta ho to hamdam kya karein, Dil ne seekha shewa-e-begaanagi, Aise na-mahram ko mahram kya karein, Ma'arka hai aaj husn o ishq ka, Dekhiye wo kya karein hum kya karein, Aaina hai aur wo hain dekhiye, Faisla dono'n ye baaham kya karein, Aadmi hona bahut dushwaar hai, Phir farishte hirs-e-aadam kya karein, Tund-khuu hai kab sune wo dil ki baat, Aur bhi barham ko barham kya karein, Hyderabad aur langar yaad hai, Ab ke dilli mein moharram kya karein, Kahte hain ahl-e-sifaarish mujh se 'Dagh', Teri qismat hai buri hum kya karein.!! "Dagh Dehlvi" _____________ Bina = foundation, basis, cause, without बुनियाद