Jis ka koi bhi nahin us ka khuda hai yaaro, 
Main nahin kahta kitaabon mein likha hai yaaro... 
Mud ke dekhun to kidhar aur sada dun to kise, 
Mere maazi ne mujhe chhod diya hai yaaro... 
Is saza se to mera ji hi nahin bharta hai,  
Zindagi kaise gunaahon ki saza hai yaaro... 
Shab hai is waqt koi ghar na khula paaoge, 
Aao may-khane ka darwaza khula hai yaaro... 
Koi karta hai duaaen to ye jal jaata hai, 
Mera jiwan kisi mandir ka diya hai yaaro...  
Main andhere mein rahun ya main ujale mein rahun, 
Aisa lagta hai koi dekh raha hai yaaro... 
Haal ka zakhm to maazi se bahut gahra hai, 
Aaj zakhmi mera saaya bhi hua hai yaaro... 
Intizaar aaj ke din ka tha badi muddat se, 
Aaj us ne mujhe deewana kaha hai yaaro.!!
"Krishn Bihari Noor" 
No comments:
Post a Comment