Posts

Showing posts from January, 2021

Ghante Waale They Jab Azaab Mere

Ghatne waale they jab azaab mere,  Aa gaye yaad mujh ko khwab mere.!  Ek pahlu mein so rahe hain wo,  Ek pahlu mein hai kitaab mere.!  Naap lenge ab aur kitni baar,  Kapde see dijiye janaab mere.!  Ishq agar rayegaa'n hua to kya,  Aaj bachche hain kaamyab mere.!  Waise bhi option nahin tha koi,  Ban gaye tum hi intikhaab mere.!  Mere gaalon tak aa gaya hai wo,  Choomte choomte gulaab mere.!  ______________________________  گھٹنے والے تھے جب عذاب مرے  آ گئے یاد مجھ کو خواب مرے  ایک پہلو میں سو رہے ہیں وہ  ایک پہلو میں ہے کتاب مرے  ناپ لیں گے اب اور کتنی بار  کپڑے سی دیجئے جناب مرے  عشق اگر رائیگاں ہوا تو کیا  آج بچے ہیں کامیاب مرے  ویسے بھی آپشن نہیں تھا کوئی  بن گئے تم ہی انتخاب مرے  مرے گالوں تک آ گیا ہے وہ  چومتے چومتے گلاب مرے  ______________________________  घटने वाले थे जब अज़ाब मिरे  आ गए याद मुझ को ख़्वाब मिरे  एक पहलू में सो रहे हैं वो  एक पहलू में है किताब मिरे  नाप लेंगे अब और कितनी बार  कपड़े सी दीजिए जनाब मिरे  इश्क़ अगर राएगाँ हुआ तो क्या  आज बच्चे हैं कामयाब मिरे  व

Chaad Ki Bebasi Ko Samjhungi

Chaand ki bebasi ko samjhungi,  Raushni ki kami ko samjhungi.!  Ek patthar se dosti kar ke,  Aap ki be-rukhi ko samjhungi.!  Main charaghon ko taaq par rakh kar,  Haasil-e-zindagi ko samjhungi.!  Is badan ka tilism toote to,  Phool ki taazgi ko samjhungi.!  Log kahte hain jab mujhe behis,  Main bhala kyun kisi ko samjhungi.!  Phone par baat hogi fursat se,  Aur ek ajnabi ko samjhungi.!  Uujh se ummeed mat lagao tum,  Main nahin jo sabhi ko samjhungi.!  Ja ke dariya kinaare baithungi,  Shor mein khamushi ko samjhungi.!  Main suhulat-pasand hun 'zahra',  Aapsi dushmani ko samjhungi.!  ______________________________  چاند کی بے بسی کو سمجھوں گی  روشنی کی کمی کو سمجھوں گی  ایک پتھر سے دوستی کر کے  آپ کی بے رخی کو سمجھوں گی  میں چراغوں کو طاق پر رکھ کر  حاصل زندگی کو سمجھوں گی  اس بدن کا طلسم ٹوٹے تو  پھول کی تازگی کو سمجھوں گی  لوگ کہتے ہیں جب مجھے بے حس  میں بھلا کیوں کسی کو سمجھوں گی  فون پر بات ہوگی فرصت سے  اور اک اجنبی کو سمجھوں گی  مجھ سے امید مت لگاؤ تم  میں نہیں جو سبھی کو

Justuju Jis Ki Thi Us Ko To Na Paya Hum Ne

Justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne,  Is bahane se magar dekh li duniya hum ne.!  Sab ka ahwaal wahi hai jo humara hai aaj,  Ye alag baat ki shikwa kiya tanha hum ne.!  Khud pasheman hue ney usey sharminda kiya,  Ishq ki waz'a ko kya Khoob nibhaya hum ne.!  Kaun sa qahr ye aankhon pe hua hai naazil,  Ek muddat se koi Khwab na dekha hum ne.!  Umr bhar sach hi kaha sach ke siwa kuchh na kaha,  Ajr kya is ka milega ye na socha hum ne.!  ______________________________  جستجو جس کی تھی اس کو تو نہ پایا ہم نے  اس بہانے سے مگر دیکھ لی دنیا ہم نے  سب کا احوال وہی ہے جو ہمارا ہے آج  یہ الگ بات کہ شکوہ کیا تنہا ہم نے  خود پشیمان ہوئے نے اسے شرمندہ کیا  عشق کی وضع کو کیا خوب نبھایا ہم نے  کون سا قہر یہ آنکھوں پہ ہوا ہے نازل  ایک مدت سے کوئی خواب نہ دیکھا ہم نے  عمر بھر سچ ہی کہا سچ کے سوا کچھ نہ کہا  اجر کیا اس کا ملے گا یہ نہ سوچا ہم نے  ______________________________  जुस्तुजू जिस की थी उस को तो न पाया हम ने  इस बहाने से मगर देख ली दुनिया हम ने  सब का अहवाल वही है जो हमारा है आज  ये

Seene Mein Jalan Aankhon Mein Tufaan Sa Kyun Hai

Seene mein jalan aankhon mein tufaan sa kyun hai,  Is shahr mein har shakhs pareshaan sa kyun hai..  Dil hai to dhadakne ka bahana koi Dhundhe,  Patthar ki tarah be-his o be-jaan sa kyun hai..  Tanhaai ki ye kaun si manzil hai rafeeqo,  Ta-hadd-e-nazar ek bayabaan sa kyun hai..  Hum ne to koi baat nikali nahin ghum ki,  Wo zood-pashemaan pashemaan sa kyun hai..  Kya koi nati baat nazar aati hai hum mein,  Aaina humein dekh ke hairaan sa kyun hai.!  ______________________________  سینے میں جلن آنکھوں میں طوفان سا کیوں ہے  اس شہر میں ہر شخص پریشان سا کیوں ہے  دل ہے تو دھڑکنے کا بہانہ کوئی ڈھونڈے  پتھر کی طرح بے حس و بے جان سا کیوں ہے  تنہائی کی یہ کون سی منزل ہے رفیقو  تا حد نظر ایک بیابان سا کیوں ہے  ہم نے تو کوئی بات نکالی نہیں غم کی  وہ زود پشیمان پشیمان سا کیوں ہے  کیا کوئی نئی بات نظر آتی ہے ہم میں  آئینہ ہمیں دیکھ کے حیران سا کیوں ہے  ______________________________  सीने में जलन आँखों में तूफ़ान सा क्यूँ है  इस शहर में हर शख़्स परेशान सा क्यूँ है  दिल है तो धड़कने का बहाना कोई ढूँड

Aaghaaz To Hota Hai Anjaam Nahi Hota

Aaghaaz to hota hai anjaam nahin hota,  Jab meri kahani mein wo naam nahin hota..  Jab zulf ki kaalak mein ghul jaye koi raahi,  Badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota..  Hans hans ke jawaan dil ke hum kyun na chunein tukde,  Har shakhs ki qismat mein inaam nahin hota..  Dil tod diya us ne ye kah ke nigaahon se,  Patthar se jo takraye wo jaam nahin hota..  Din doobe hai ya doobi baraat liye kashti,  Sahil pe magar koi kohraam nahin hota.!  "Meena Kumari Naaz" ______________________________  آغاز تو ہوتا ہے انجام نہیں ہوتا  جب میری کہانی میں وہ نام نہیں ہوتا  جب زلف کی کالک میں گھل جائے کوئی راہی  بدنام سہی لیکن گمنام نہیں ہوتا  ہنس ہنس کے جواں دل کے ہم کیوں نہ چنیں ٹکڑے  ہر شخص کی قسمت میں انعام نہیں ہوتا  دل توڑ دیا اس نے یہ کہہ کے نگاہوں سے  پتھر سے جو ٹکرائے وہ جام نہیں ہوتا  دن ڈوبے ہے یا ڈوبی بارات لیے کشتی  ساحل پہ مگر کوئی کہرام نہیں ہوتا  ______________________________  आग़ाज़ तो होता है अंजाम नहीं होता  जब मेरी कहानी में वो नाम नहीं होता  जब ज़ुल्फ़ की कालक में घुल जा

Chaad Tanha Hai Aasmaan Tanha

Chaand tanha hai aasmaan tanha,  Dil mila hai kahaan kahaan tanha.!  Bujh gai aas chhup gaya taara,  Thartharaata raha dhuaan tanha.!  Zindagi kya isi ko kahte hain,  Jism tanha hai aur jaan tanha.!  Hum-safar koi gar mile bhi kahin,  Donon chalte rahe yahaan tanha.!  Jalti-bujhti si raushni ke pare,  Simta simta sa ek makaan tanha.!  Raah dekha karega sadiyon tak,  Chhorh jayenge ye jahaan tanha.!  "Meena Kumari Naaz" ______________________________  چاند تنہا ہے آسماں تنہا  دل ملا ہے کہاں کہاں تنہا  بجھ گئی آس چھپ گیا تارہ  تھرتھراتا رہا دھواں تنہا  زندگی کیا اسی کو کہتے ہیں  جسم تنہا ہے اور جاں تنہا  ہم سفر کوئی گر ملے بھی کہیں  دونوں چلتے رہے یہاں تنہا  جلتی بجھتی سی روشنی کے پرے  سمٹا سمٹا سا اک مکاں تنہا  راہ دیکھا کرے گا صدیوں تک  چھوڑ جائیں گے یہ جہاں تنہا  ______________________________  चाँद तन्हा है आसमाँ तन्हा  दिल मिला है कहाँ कहाँ तन्हा  बुझ गई आस छुप गया तारा  थरथराता रहा धुआँ तन्हा  ज़िंदगी क्या इसी को कहते हैं  जिस्म तन्हा है और जाँ तन्हा  हम-सफ़र कोई गर मिले

Ayadat Hoti Jaati Hai Ibadat Hoti Jaati Hai

Ayaadat hoti jaati hai ibaadat hoti jaati hai,  Mere marne ki dekho sab ko aadat hoti jaati hai..  Nami si aankh mein aur honth bhi bheege hue se hain,  Ye bheega-pan hi dekho muskurahat hoti jaati hai..  Tere qadmon ki aahat ko ye dil hai Dhundhta har dam,  Har ek aawaz par ek thartharahat hoti jaati hai..  Ye kaisi yaas hai rone ki bhi aur muskurane ki,  Ye kaisa dard hai ki jhunjhunahat hoti jaati hai..  Kabhi to khoob-surat apni hi aankhon mein aise the,  Kisi ghum-khaana se goya mohabbat hoti jaati hai..  Khud hi ko tez naakhun'on se haye nochte hain ab,  Humein Allah Khud se kaisi ulfat hoti jaati hai.!  "Meena Kumari Naaz" ______________________________ عیادت ہوتی جاتی ہے عبادت ہوتی جاتی ہے  مرے مرنے کی دیکھو سب کو عادت ہوتی جاتی ہے  نمی سی آنکھ میں اور ہونٹ بھی بھیگے ہوئے سے ہیں  یہ بھیگا پن ہی دیکھو مسکراہٹ ہوتی جاتی ہے  تیرے قدموں کی آہٹ کو یہ دل ہے ڈھونڈتا ہر دم  ہر اک آواز پر اک تھرتھراہٹ ہوتی جاتی ہے  یہ کیسی یاس ہے رونے کی بھی اور مسکرانے کی  یہ کیسا درد ہے

Aap Heera, Sadaf, Nageen Kyun Hain

Aap Heera, Sadaf, Nageen Kyun Hain?  Aap Be-inteha Haseen Kyun Hain?  Aap Ki Kaakulo'n Ke Jungle Mein,  Itni Mausiqiyan Makeen Kyun Hain?  Chaand Khud Bhi Nahi Samajh Paya,  Aap Is Darja Mahjabeen Kyun Hain?  Shams-e-hairaan Hain Aap Ke Aariz,  Phool Ho Kar Bhi Aatisheen Kyun Hain?  Aap Itne Duroogh Go Ho Kar,  Is Qadar Qaabil-e-yaqeen Kyun Hain?  Shayeron Ke Dilon Pe Aap Chalein,  Gaamzan Bar'sar-e-zameen Kyun Hain?  Jitney Be-raham Dilruba Hain 'Adam',  Itney Mahboob Dil-nasheen Kyun Hain.??  "Abdul-Hameed Adam" ______________________________ آپ ہیرا، صدف، نگیں، کیوں ہیں ؟ آپ بے انتہا حسیں کیوں ہیں ؟ آپ کی کاکلوں کے جنگل میں، اتنی موسیقیاں مکیں کیوں ہیں؟ چاند خود بھی نہیں سمجھ پایا آپ اس درجہ مہ جبیں کیوں ہیں؟ شمس حیراں ہے آپ کے عارض، پھول ہو کر بھی آتشیں کیوں ہیں؟ آپ اتنے دروغ گو ہو کر اس قدر قابلِ یقیں کیوں ہیں؟ شاعروں کے دلوں پہ آپ چلیں گامزن برسرِ زمیں کیوں ہیں؟ جتنے بے رحم دلربا ہیں عدم اتنے محبوب دلنشیں کیوں ہیں؟ عبدالحمید عدم  ________________________

Ghar Laut-te Hain Jab Bhi Koi Yaar Ganwa Kar

Ghar laut-te hain jab bhi koi yaar ganwa kar,  Ro lete hain ham-zaad ko seene se laga kar..  Kis ko thi khabar is mein tadakh jayega dil bhi,  Hum khush the bahut sehn mein deewar utha kar..  Kuchh aur bhi badh jaati hain hairaniyaan dil ki,  Sau baar kaha hai ke na aaina taka kar..  saawan mein to khud-sozi bhi ho jaati hai nakaam,  Rela sa guzar jaata hai sab azm bujha kar..  Main tark-e-taalluq pe bhi aamada hun lekin,  Tu bhi to mera qarz-e-ghum-e-hijr ada kar..  Ye tay hai ke ab hum ne nahin milna dobara,  Ye baat magar aur kisi se na kaha kar..  Is kaar-e-mohabbat mein to hota hai khasara,  Ai saahib-e-zar tu ye tijarat na kiya kar..  Ek shahad sa ghulta chala jaata hai dahan mein,  Leta hun main jab saans teri saans mila kar.!  ______________________________ گھر لوٹتے ہیں جب بھی کوئی یار گنوا کر  رو لیتے ہیں ہم زاد کو سینے سے لگا کر  کس کو تھی خبر اس میں تڑخ جائے گا دل بھی  ہم خوش تھے بہت صحن میں دیوار اٹھا کر  کچھ اور بھی بڑھ جاتی ہیں حیرانیاں دل کی  سو بار کہا ہے کہ نہ آئینہ ت

Ankhon Se Khwab Dil Se Tamanna Tamam-shud

Aankhon se khwab dil se tamanna tamam-shud,  Tum kya gaye ke shauq-e-nazara tamam-shud.  Kal tere tishnagaan se ye kya moajaza hua,  Dariya pe honth rakkhe to dariya tamam-shud.  Duniya to ek barf ki sil se siwa na thi,  Pahunchi dukhon ki aanch to duniya tamam-shud.  Shahr-e-dil-e-tabah mein pahunchun to kuchh khule,  Kya bach gaya hai raakh mein aur kya tamam-shud.  Ushshaaq par ye ab ke ajab waqt aa pada,  Majnun ke dil se hasrat-e-laila tamam-shud.  Hum shahr-e-jaan mein aakhiri naghma suna chale,  Samjho ke ab humara tamasha tamam-shud.  Ek yaad-e-yaar hi to pas-andaaz hai 'hasan',  Warna wo kaar-e-ishq to kab ka tamam-shud.!  ____________________________________ آنکھوں سے خواب دل سے تمنا تمام شد  تم کیا گئے کہ شوق نظارہ تمام شد  کل تیرے تشنگاں سے یہ کیا معجزہ ہوا  دریا پہ ہونٹ رکھے تو دریا تمام شد  دنیا تو ایک برف کی سل سے سوا نہ تھی  پہنچی دکھوں کی آنچ تو دنیا تمام شد  شہر دل تباہ میں پہنچوں تو کچھ کھلے  کیا بچ گیا ہے راکھ میں اور کیا تمام شد  عشاق پر یہ اب کے عجب وقت آ