Mere chehre se ghum aashkara nahin,
Ye na samjho ki mein ghum ka maara nahin..
Chashm-e-saaqi pe bhi haq humara nahin,
Ab ba-juz tark-e-may koi chaara nahin..
Bahr-e-ghum mein kisi ka sahaara nahin,
Ye koi aasman ka sitara nahin..
Doobne ko to doobe magar naaz hai,
Ahl-e-saahil ko hum ne pukara nahin..
Ghuncha-o-gul ko chaunka gayi hai khizaa'n,
Fasl-e-gul ne chaman ko sanwara nahin..
Ghair ke saath kis tarah dekhun tujhe,
Apni qurbat bhi mujh ko gawara nahin..
Yun dikhata hai aankhein humein baghbaan,
Jaise gulshan pe kuchh haq humara nahin..
Zikr-e-saaqi hi kaafi nahin ai 'Fana',
Be-piye may-kade mein guzara nahin.!!
"Fana Nizami Kanpuri"