Do Gaz Sahi Magar Ye Meri Milkiyat To Hai,
Ae Maut Tu Ne Mujh Ko Zamindaar Kar Diya.!
"Rahat Indori"
ﺩﻭ ﮔﺰ ﺳﮩﯽ ﻣﮕﺮ ﯾﮧ ﻣﯿﺮﯼ ﻣﻠﮑﯿﺖ ﺗﻮ ﮨﮯ،
ﺍﮮ ﻣﻮﺕ ﺗﻮﻧﮯ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﺯﻣﯿﻨﺪﺍﺭ ﮐﺮﺩﯾﺎ...
"ﺭﺍﺣﺖ ﺍﻧﺪﻭﺭﯼ"
Do Gaz Sahi Magar Ye Meri Milkiyat To Hai,
Ae Maut Tu Ne Mujh Ko Zamindaar Kar Diya.!
"Rahat Indori"
ﺩﻭ ﮔﺰ ﺳﮩﯽ ﻣﮕﺮ ﯾﮧ ﻣﯿﺮﯼ ﻣﻠﮑﯿﺖ ﺗﻮ ﮨﮯ،
ﺍﮮ ﻣﻮﺕ ﺗﻮﻧﮯ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﺯﻣﯿﻨﺪﺍﺭ ﮐﺮﺩﯾﺎ...
"ﺭﺍﺣﺖ ﺍﻧﺪﻭﺭﯼ"
Zindagi ko zakhm ki lazzat se mat mahroom kar,
Raaste ke pattharon se khairiyat maloom kar,
Toot kar bikhri hui talwaar ke tukde samet,
Aur apne haar jaane ka sabab maloom kar,
Jaagti aankhon ke khwaabon ko ghazal ka naam de,
Raat bhar ki karwaton ka zaaiqa manzoom kar,
Shaam tak laut aaunga haathon ka khaali-pan liye,
Aaj phir nikla hun main ghar se hatheli choom kar,
Mat sikha lahje ko apni barchhiyon ke paintare,
Zinda rahna hai to lahje ko zara masoom kar..!!
"Rahat Indori"
___
Manzoom = versified, joined, threaded, arranged in order,
Zindagi ki har kahaani be-asar ho jayegi,
Hum na honge to ye duniya dar-ba-dar ho jayegi...
Paaon patthar kar ke chhodegi agar ruk jaaiye,
Chalte rahiye to zameen bhi hum-safar ho jayegi...
Jugnuon ko saath le kar raat raushan kijiye,
Raasta sooraj ka dekha to sahar ho jayegi...
Zindagi bhi kaash mere saath rahti umr-bhar,
Khair ab jaise bhi honi hai basar ho jayegi,
Tum ne khud hi sar chadhaai thi so ab chakkho maza,
Main na kahta tha ki duniya dard-e-sar ho jayegi...
Talkhiyaan bhi laazmi hain zindagi ke waaste,
Itna meetha ban ke mat rahiye shakar ho jayegi.!!
"Rahat Indori"
Yoon sada dete hue tere khyaal aate hain,
Jaise kaabe ki khuli chhat pe bilaal aate hain,
Roz hum ashkon se dho aate hain deewar-e-haram,
Pagdiyaan roz farishton ki uchhaal aate hain,
Haath abhi peechhe bandhe rahte hain chup rahte hain,
Dekhna ye hai tujhe kitne kamaal aate hain,
Chand sooraj meri chaukhat pe kayi sadiyon se,
Roz likkhe hue chehre pe sawaal aate hain,
Be-hisi, murda-dili, raqs, sharabein, naghme,
Bas isi raah se qaumo'n pe zawaal aate hain..!!
"Rahat Indori"
Ye khaak-zaade jo rahte hain be-zabaan pade,
Ishaara kar dein to sooraj zameen pe aan pade,
Sukoot-e-zeest ko aamada-e-baghawat kar,
Lahu uchhaal ke kuchh zindagi mein jaan pade,
Humare shahar ki beenaiyon pe rote hain,
Tamaam shahar ke manzar lahu-luhaan pade,
Uthe hain haath mere hurmat-e-zameen ke liye,
Maza jab aaye ke ab paanw aasman pade,
Kisi makeen ki aamad ke intezaar mein hain,
Mere mohalle mein khaali kayi makaan pade..!!
"Rahat Indori"
Wo ek ek baat pe rone laga tha,
Samandar aabru khone laga tha,
Lage rahte the sab darwaaze phir bhi,
Main aankhein khol kar sone laga tha,
Churaata hun ab aankhein aainon se,
Khuda ka saamna hone laga tha,
Wo ab aaine dhota phir raha hai,
Use chehre pe shak hone laga tha,
Mujhe ab dekh kar hansti hai duniya,
Main sab ke saamne rone laga tha.!!
"Rahat Indori"
Uthi nigaah to apne hi ru-ba-ru hum the,
Zameen aaina-khana thi chaar-su hum the,
Dinon ke baad achanak tumhaara dhyaan aaya,
Khuda ka shukr ki us waqt ba-wazu hum the,
Wo aaina to nahin tha par aaine sa tha,
Wo hum nahin the magar yaar hu-ba-hu hum the,
Zameen pe ladte hue aasman ke narghe mein,
Kabhi kabhi koi dushman kabhu kabhu hum the,
Humara zikr bhi ab jurm ho gaya hai wahaan,
Dinon ki baat hai mahfil ki aabru hum the,
Khyaal tha ki ye pathraaw rok dein chal kar,
Jo hosh aaya to dekha lahu lahu hum the..!!
"Rahat Indori"
Use ab ke wafaaon se guzar jaane ki jaldi thi,
Magar is baar mujh ko apne ghar jaane ki jaldi thi,
Irada tha ki main kuchh der tufaan ka maza leta,
Magar bechaare dariya ko utar jaane ki jaldi thi,
Main apni mutthiyon mein qaid kar leta zameenon ko,
Magar mere qabeele ko bikhar jaane ki jaldi thi,
Main aakhir kaun sa mausam tumhaare naam kar deta,
Yahaan har ek mausam ko guzar jaane ki jaldi thi,
Wo shaakhon se juda hote hue patton pe hanste the,
Bade zinda-nazar the jin ko mar jaane ki jaldi thi,
Main saabit kis tarah karta ki har aaina jhootha hai,
Kayi kam-zarf chehron ko utar jaane ki jaldi thi..!!
"Rahat Indori"
Tumhaare naam par main ne har aafat sar pe rakkhi thi,
Nazar sholon pe rakkhi thi zabaan patthar pe rakkhi thi,
Humare khwaab to shahron ki sadkon par bhatakte the,
Tumhaari yaad thi jo raat bhar bistar pe rakkhi thi,
Main apna azm le kar manzilon ki samt nikla tha,
Mashaqqat haath pe rakkhi thi qismat ghar pe rakkhi thi,
Inhin saanson ke chakkar ne humein wo din dikhaye the,
Humare paanw ki mitti humare sar pe rakkhi thi,
Sahar tak tum jo aa jaate to manzar dekh sakte the,
Diye palkon pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhi thi..!!
"Rahat Indori"
Teri har baat mohabbat mein gawaara kar ke,
Dil ke bazaar mein baithe hain khasaara kar ke...
Aate jaate hain kayi rang mere chehre par,
Log lete hain maza zikr tumhaara kar ke...
Ek chingaari nazar aai thi basti mein use,
Wo alag hat gaya aandhi ko ishaara kar ke...
Aasmaanon ki taraf phenk diya hai main ne,
Chand mitti ke charaghon ko sitaara kar ke...
Main wo dariya hun ki har boond bhanwar hai jis ki,
Tum ne achchha hi kiya mujh se kinaara kar ke...
Muntazir hun ki siataron ki zara aankh lage,
Chaand ko chhat pur bula lunga ishaara kar ke..!!
"Rahat Indori"
Sisakti rut ko mahakta gulaab kar dunga,
Main is bahaar mein sab ka hisaab kar dunga,
Main intezaar mein hun tu koi sawaal to kar,
Yaqeen rakh main tujhe la-jawaab kar dunga,
Hazaar pardon mein khud ko chhupa ke baith magar,
Tujhe kabhi na kabhi be-naqaab kar dunga,
Mujhe bharosa hai apne lahu ke qatron par,
Main neze neze ko shaakh-e-gulaab kar dunga,
Mujhe yaqeen ke mahfil ki raushni hun main,
Use ye khauf ki mahfil kharaab kar dunga,
Mujhe gilaas ke andar hi qaid rakh warna,
Main saare shahar ka paani sharaab kar dunga,
Mahajanon se kaho thoda intezaar karein,
Sharaab-khane se aa kar hisaab kar dunga..!!
"Rahat Indori"
Sirf sach aur jhooth ki mizaan mein rakkhe rahe,
Hum bahadur the magar maidaan mein rakkhe rahe,
Jugnuon ne phir andheron se ladaai jeet li,
Chaand sooraj ghar ke raushan-daan mein rakkhe rahe,
Dheere dheere saari kirnein khud-kushi karne lagin,
Hum saheefa the magar juzdaan mein rakkhe rahe,
Band kamre khol kar sachchaiyan rahne lagin,
Khwaab kachchi dhoop the dalaan mein rakkhe rahe,
Sirf itna faasla hai zindagi se maut ka,
Shaakh se tode gaye gul-daan mein rakkhe rahe,
Zindagi bhar apni goongi dhadkanon ke saath saath,
Hum bhi ghar ke qeemti samaan mein rakkhe rahe.!!
"Rahat Indori"
Sirf khanjar hi nahin aankhon mein paani chahiye,
Ai khuda dushman bhi mujh ko khandaani chahiye,
Shahar ki saari alif-laila'en boodhi ho chukin,
Shahzaade ko koi taaza kahaani chahiye,
Main ne ai sooraj tujhe puja nahin samjha to hai,
Mere hisse mein bhi thodi dhoop aani chahiye,
Meri qeemat kaun de sakta hai is bazaar mein,
Tum zulekha ho tumhein qeemat lagaani chahiye,
Zindagi hai ek safar aur zindagi ki raah mein,
Zindagi bhi aaye to thokar lagaani chahiye,
Main ne apni khushk aankhon se lahu chhalka diya,
Ek samandar kah raha tha mujh ko paani chahiye.!!
"Rahat Indori"
Shajar hain ab samar-aasaar mere,
Chale aate hain daawe'daar mere,
Muhajir hain na ab ansaar mere,
Mukhaalif hain bahut is baar mere,
Yahaan ek boond ka mohtaaj hun main,
Samandar hain samandar paar mere,
Abhi murdon mein roohein phoonk Daalein,
Agar chaahein to ye beemar mere,
Hawa'en odh kar soya tha dushman,
Gaye bekaar saare waar mere,
Main aa kar dushmanon mein bas gaya hun,
Yahaan humdard hain do-chaar mere,
Hansi mein taal dena tha mujhe bhi,
Khafa kyun ho gaye sarkaar mere,
Tasawwur mein na jaane kaun aaya,
Mahak utthe dar-o-deewar mere,
Tumhaara naam duniya jaanti hai,
Bahut ruswa hain ab ash'aar mere,
Bhanwar mein ruk gayi hai naaw meri,
Kinaare rah gaye is paar mere,
Main khud apni hifazat kar raha hun,
Abhi soye hain pahre-daar mere.!!
"Rahat Indori"
Sawaal, ghar nahin buniyaad par uthaya hai,
Humare paanw ki mitti ne sar uthaya hai,
Hamesha sar pe rahi ek chattaan rishton ki,
Ye bojh wo hai jise umr-bhar uthaya hai,
Meri ghulail ke patthar ka kaar-nama tha,
Magar ye kaun hai jis ne samar uthaya hai,
Yahi zameen mein dabayega ek din hum ko,
Ye aasman jise dosh par uthaya hai,
Bulandiyon ko pata chal gaya ke phir main ne,
Hawa ka toota hua ek par uthaya hai,
Maha-bali se baghawat bahut zaroori hai,
Qadam ye hum ne samajh soch kar uthaya hai.!!
"Rahat Indori"
Saath manzil thi magar khauf-o-khatar aisa tha,
Umr-bhar chalte rahe log, safar aisa tha,
Jab wo aaye to main khush bhi hua sharminda bhi,
Meri taqdir thi aisi mera ghar aisa tha,
Hifz thin mujh ko bhi chehron ki kitabein kya kya,
Dil shikasta tha magar tez nazar aisa tha,
Aag odhe tha magar baant raha tha saaya,
Dhoop ke shahar mein ek tanha shajar aisa tha,
Log khud apne charaghon ko bujha kar soye,
Shahar mein tez hawaaon ka asar aisa tha..!!
"Rahat Indori"
Sar par saat aakaash zameen par saat samandar bikhre hain,
Aankhein chhoti pad jaati hain itne manzar bikhre hain,
Zinda rahna khel nahin hai is aabaad kharaabe mein,
Wo bhi aksar toot gaya hai hum bhi aksar bikhre hain,
Us basti ke logon se jab baatein ki'n to ye jaana,
Duniya bhar ko jodne waale andar andar bikhre hain,
In raaton se apna rishta jaane kaisa rishta hai,
Neendein kamron mein jaagi hain khwaab chhaton par bikhre hain,
Aangan ke masoom shajar ne ek kahaani likkhi hai,
Itne phal shaakhon pe nahin the jitne patthar bikhre hain,
Saari dharti saare mausam ek hi jaise lagte hain,
Aankhon aankhon qaid hue the manzar manzar bikhre hain.!!
"Rahat Indori"
Sabab wo poochh rahe hain udaas hone ka,
Mera mizaaj nahin be-libaas hone ka,
Naya bahana hai har pal udaas hone ka,
Ye faaida hai tere ghar ke paas hone ka,
Mahakti raat ke lamho nazar rakho mujh par,
Bahana dhoondh raha hun udaas hone ka,
Main tere paas bata kis gharaz se aaya hun,
Suboot de mujhe chehra-shanaas hone ka,
Meri ghazal se bana zehn mein koi tasveer,
Sabab na poochh mere dewdas hone ka,
Kahaan ho aao meri bhooli-bisri yaadon aao,
Khush-aamdeed, hai mausam udaas hone ka,
Kayi dino'n se tabiyat meri udaas na thi,
Yahi jawaaz bahut hai udaas hone ka,
Main ahmiyat bhi samajhta hun qahqaho'n ki magar,
Maza kuchh apna alag hai udaas hone ka,
Mere labo'n se tabassum mazaaq karne laga,
Main likh raha tha qaseeda udaas hone ka,
Pata nahin ye parinde kahaan se aa pahunche,
Abhi zamana kahaan tha udaas hone ka,
Main kah raha hun ke ai dil idhar-udhar na bhatak,
Guzar na jaaye zamana udaas hone ka.!!
"Rahat Indori"
Sab ko ruswa baari baari kiya karo,
Har mausam mein fatwe jaari kiya karo,
Raaton ka neendon se rishta toot chuka,
Apne ghar ki pahre-daari kiya karo,
Qatra qatra shabnam gin kar kya hoga,
Dariyaaon ki daawe-daari kiya karo,
Roz qaseede likkho goonge bahron ke,
Fursat ho to ye begaari kiya karo,
Shab bhar aane waale din ke khwaab buno,
Din bhar fikr-e-shab-bedaari kiya karo,
Chaand zyada raushan hai to rahne do,
Jugnu-bhayya, ji mat bhaari kiya karo,
Jab ji chaahe maut bichha do basti mein,
Lekin baatein pyaari pyaari kiya karo,
Raat badan-dariya mein roz utarti hai,
Is kashti mein khoob sawaari kiya karo,
Roz wahi ek koshish zinda rahne ki,
Marne ki bhi kuchh tayyaari kiya karo,
Khwaab lapete sote rahna theek nahin,
Fursat ho to shab-bedaari kiya karo,
Kaaghaz ko sab saunp diya ye theek nahin,
Sheyr kabhi khud par bhi taari kiya karo..!!
"Rahat Indori"
Roz taaron ko numaaish mein khalal padta hai,
Chaand paagal hai andhere mein nikal padta hai,
Ek deewana musaafir hai meri aankhon mein,
Waqt-be-waqt thehar jaata hai chal padta hai,
Apni taabeer ke chakkar mein mera jaagta khwaab,
Roz sooraj ki tarah ghar se nikal padta hai,
Roz patthar ki himayat mein ghazal likhte hain,
Roz sheeshon se koi kaam nikal padta hai,
Us ki yaad aai hai saanso zara aahista chalo,
Dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai.!!
"Rahat Indori"
Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar, Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...