Wednesday, June 27, 2018

Ab Aayen Ya Na Aayen Idhar Puchhte Chalo

Ab aayen ya na aayen idhar puchhte chalo,
Kya chaahti hai un ki nazar puchhte chalo..

Hum se agar hai tark-e-ta'alluq to kya hua,
Yaaro koi to un ki khabar puchhte chalo..

Jo khud ko kah rahe hain ke manzil-shanaas hain,
Un ko bhi kya khabar hai magar puchhte chalo..

Kis manzil-e-muraad ki jaanib rawaa'n hain hum,
Ai rah-rawaan-e-khaak-basar puchhte chalo.!!

"Sahir Ludhianwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...