Khushiyan tamaam ghum mein wo tabdeel kar gaya,
Aakhir mere khuloos ki tazleel kar gaya...
Wo ek shakhs dosto'n mar to gaya magar,
Raushan jahaan mein pyar ki qindeel kar gaya...
Likh kar wafa ka naam wo saada waraq pe aaj,
Poori har ek kitaab ki tafseel kar gaya...
Shola-bayaan tha kitna khatarnaak dosto,
Lafzon ka zahar jism mein tahleel kar gaya...
'Saifi' ki aaj maut pe dushman bhi kah uthe,
Achchha tha wo hayat ki takmeel kar gaya.!!
"Saifi Saronji"
No comments:
Post a Comment