Wednesday, June 27, 2018

Jurm-e-ulfat Pe Humein Log Saza Dete Hain

Jurm-e-ulfat pe humein log saza dete hain,
Kaise nadaan hain sholo'n ko hawa dete hain..

Hum se deewane kahin tark-e-wafa karte hain,
Jaan jaaye ke rahe baat nibha dete hain..

Aap daulat ke taraazu mein dilo'n ko taulein,
Hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain..

Takht kya cheez hai aur la'al-o-jawahar kya hain,
Ishq waale to khudaai bhi luta dete hain..

Hum ne dil de bhi diya ahd-e-wafa le bhi liya,
Aap ab shauq se de lein jo saza dete hain.!!

"Sahir Ludhianwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...