Wasl ki banti hain in baaton se tadbeeren kahin,
Aarzuon se phira karti hain taqdeeren kahin..
Be-zabaani tarjumaan-e-shauq behad ho to ho,
Warna pesh-e-yaar kaam aati hain taqreeren kahin..
Mit rahi hain dil se yaadein rozgaar-e-aish ki,
Ab nazar kaahe ko aayengi ye tasveeren kahin..
iltifaat-e-yaar tha ek khwab-e-aaghaaz-e-wafa,
Sach hua karti hain in khwabon ki tabeeren kahin..
Teri be-sabri hai 'Hasrat' khaam-kaari ki daleel,
Girya-e-ushshaaq mein hoti hain taseeren kahin.!!
"Hasrat Mohani"
__________
Tarjumaan-e-shauq = interpretors of love,
Rozgaar-e-aish = pleasurable employment,
iltifaat-e-yaar = love of beloved,
Khwab-e-aaghaaz-e-wafa = dream of the beginning of constancy,
Khaam-kaari = working with raw material,
Girya-e-ushshaaq = weeping of lovers,
No comments:
Post a Comment