Thursday, June 28, 2018

Hum Bahut Door Nikal Aaye Hain Chalte Chalte

Hum bahut door nikal aaye hain chalte chalte,
Ab thehar jaayen kahin shaam ke dhhalte dhhalte...

Ab ghum-e-zeest se ghabra ke kahaan jayenge,
Umr guzri hai isi aag mein jalte jalte..

Raat ke baad sahar hogi magar kis ke liye,
Hum hi shayad na rahein raat ke dhhalte dhhalte...

Raushni kam thi magar itna andhera to na tha,
Shamm-e-ummid bhi gul ho gayi jalte jalte...

Aap waade se mukar jayenge rafta rafta, 
Zehn se baat utar jaati hai talte talte...

Tooti deewar ka saaya bhi bahut hota hai, 
Paanw jal jaayen agar dhoop mein chalte chalte...

Din abhi baaqi hai 'Iqbal' zara tez chalo, 
Kuchh na soojhega tumhein shaam ke dhhalte dhhalte.!!

"Iqbal Azeem"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...