Showing posts with label Abdul Hameed Adam. Show all posts
Showing posts with label Abdul Hameed Adam. Show all posts

Saturday, January 23, 2021

Aap Heera, Sadaf, Nageen Kyun Hain

Aap Heera, Sadaf, Nageen Kyun Hain? 
Aap Be-inteha Haseen Kyun Hain? 

Aap Ki Kaakulo'n Ke Jungle Mein, 
Itni Mausiqiyan Makeen Kyun Hain? 

Chaand Khud Bhi Nahi Samajh Paya, 
Aap Is Darja Mahjabeen Kyun Hain? 

Shams-e-hairaan Hain Aap Ke Aariz, 
Phool Ho Kar Bhi Aatisheen Kyun Hain? 

Aap Itne Duroogh Go Ho Kar, 
Is Qadar Qaabil-e-yaqeen Kyun Hain? 

Shayeron Ke Dilon Pe Aap Chalein, 
Gaamzan Bar'sar-e-zameen Kyun Hain? 

Jitney Be-raham Dilruba Hain 'Adam', 
Itney Mahboob Dil-nasheen Kyun Hain.?? 

"Abdul-Hameed Adam"
______________________________

آپ ہیرا، صدف، نگیں، کیوں ہیں ؟
آپ بے انتہا حسیں کیوں ہیں ؟

آپ کی کاکلوں کے جنگل میں،
اتنی موسیقیاں مکیں کیوں ہیں؟

چاند خود بھی نہیں سمجھ پایا
آپ اس درجہ مہ جبیں کیوں ہیں؟

شمس حیراں ہے آپ کے عارض،
پھول ہو کر بھی آتشیں کیوں ہیں؟

آپ اتنے دروغ گو ہو کر
اس قدر قابلِ یقیں کیوں ہیں؟

شاعروں کے دلوں پہ آپ چلیں
گامزن برسرِ زمیں کیوں ہیں؟

جتنے بے رحم دلربا ہیں عدم
اتنے محبوب دلنشیں کیوں ہیں؟

عبدالحمید عدم 
_________________________

आप हीरा, सदफ़, नगीं क्यूँ हैं? 
आप बेइंतेहा हसीं क्यूँ हैं? 

आप की काकुलों के जंगल में, 
इतनी मौसीक़ियाँ मकीं क्यूँ हैं? 

चाँद ख़ुद भी नहीं समझ पाया, 
आप इस दरजा महजबीं क्यूँ हैं? 

शम्स-ए-हैराँ हैं आपके आरिज़, 
फूल हो कर भी आतिशीं क्यूँ हैं? 

आप इतने दुरूग़ गो हो कर, 
इस क़दर क़ाबिल-ए-यक़ीं क्यूँ हैं? 

शाइरों के दिलों पे आप चलें, 
गामज़न बरसर-ए-ज़मीं क्यूँ हैं? 

जितने बेरहम दिलरुबा हैं 'अदम', 
इतने महबूब दिलनशीं क्यूँ हैं? 

"अब्दुल-हमीद अदम" 


Friday, May 18, 2018

Zindagi Hai Ke Ek Haseen Saza

Zindagi hai ke ek haseen saza,
Zeest apni hai ghum paraye hain..

Hum bhi kin muflison ki duniya mein,
Qarz ki saans lene aaye hain..!!

"Abdul Hameed Adam"

Dil Ki Hasti Bikhar Gayi Hoti

Dil ki hasti bikhar gayi hoti,
Rooh ke zakhm bhar gaye hote..

Zindagi aap ki nawazish hai,
Warna hum log mar gaye hote..!!

"Abdul Hameed Adam"

Aagahi Mein Ek Khala Maujood Hai

Aagahi mein ek khala maujood hai,

Is ka matlab hai khuda maujood hai..


Hai yaqeenan kuchh magar waazeh nahin,

Aap ki aankhon mein kya maujood hai..


Baankpan mein aur koi shay nahin,

Saadgi ki intiha maujood hai..


Hai mukammal baadshahi ki daleel,

Ghar mein gar ek boriya maujood hai..


Shauqiya koi nahin hota ghalat,

Is mein kuchh teri raza maujood hai..


Is liye tanha hun main garm-e-safar,

Qaafile mein rahnuma maujood hai..


Har mohabbat ki bina hai chashni,

Har lagan mein muddaa maujood hai..


Jar jagah har shahar har iqleem mein,

Dhoom hai us ki jo na-maujood hai..


Jis se chhupna chahta hun main 'Adam',

Wo sitamgar ja-ba-ja maujood hai..!!


"Abdul Hameed Adam"
______________________________


آگہی میں اک خلا موجود ہے 

اس کا مطلب ہے خدا موجود ہے 


ہے یقیناً کچھ مگر واضح نہیں 

آپ کی آنکھوں میں کیا موجود ہے 


بانکپن میں اور کوئی شے نہیں 

سادگی کی انتہا موجود ہے 


ہے مکمل بادشاہی کی دلیل 

گھر میں گر اک بوریا موجود ہے 


شوقیہ کوئی نہیں ہوتا غلط 

اس میں کچھ تیری رضا موجود ہے 


اس لیے تنہا ہوں میں گرم سفر 

قافلے میں رہنما موجود ہے 


ہر محبت کی بنا ہے چاشنی 

ہر لگن میں مدعا موجود ہے 


ہر جگہ ہر شہر ہر اقلیم میں 

دھوم ہے اس کی جو ناموجود ہے 


جس سے چھپنا چاہتا ہوں میں عدمؔ 

وہ ستم گر جا بہ جا موجود ہے 

___________________________


आगही में इक ख़ला मौजूद है 

इस का मतलब है ख़ुदा मौजूद है 


है यक़ीनन कुछ मगर वाज़ेह नहीं 

आप की आँखों में क्या मौजूद है 


बाँकपन में और कोई शय नहीं 

सादगी की इंतिहा मौजूद है 


है मुकम्मल बादशाही की दलील 

घर में गर इक बोरिया मौजूद है 


शौक़िया कोई नहीं होता ग़लत 

इस में कुछ तेरी रज़ा मौजूद है 


इस लिए तन्हा हूँ मैं गर्म-ए-सफ़र 

क़ाफ़िले में रहनुमा मौजूद है 


हर मोहब्बत की बिना है चाशनी 

हर लगन में मुद्दआ' मौजूद है 


हर जगह हर शहर हर इक़्लीम में 

धूम है उस की जो ना-मौजूद है 


जिस से छुपना चाहता हूँ मैं 'अदम' 

वो सितमगर जा-ब-जा मौजूद है ! 

__________________________

Aagahi = awareness,
Khala = hollow, vacuum,
Waazeh = evident, obvious, clear, ap-parent,
Garm-e-safar = eager to travel,
Bina = foundation, basis,
Iqleem = realm,

Aaj Phir Rooh Mein Ek Barq Si Lahraati Hai

Aaj phir rooh mein ek barq si lahraati hai,
Dil ki gahraai se rone ki sada aati hai,

Yun chatakti hain kharabaat mein jaise kaliyan,
Tishnagi saaghar-e-labrez se takraati hai,

Shola-e-ghum ki lapak aur mera naazuk sa mizaaj,
Mujh ko fitrat ke rawayye pe hansi aati hai,

Maut ek amr-e-musallam hai to phir ai saaqi,
Rooh kyun zeest ke aalaam se ghabraati hai,

So bhi ja ai dil-e-majrooh bahut raat gayi,
Ab to rah rah ke sitaron ko bhi neend aati hai,

Aur to dil ko nahin hai koi takleef 'Adam',
Haan zara nabz kisi waqt thehar jaati hai.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________

Amr-e-musallam = univesally accepted; complete; sound; preserved action; order; command; matter; point,
Dil-e-majrooh = bruised heart,

Aankhon Se Teri Zulf Ka Saaya Nahin Jaata

Aankhon se teri zulf ka saaya nahin jaata,
Aaram jo dekha hai bhulaya nahin jaata,

Allah-re nadaan jawani ki umangein!
Jaise koi bazaar sajaya nahin jaata,

Aankhon se pilate raho saaghar mein na daalo,
Ab hum se koi jaam uthaya nahin jaata,

Bole koi hans kar to chhidak dete hain jaan bhi,
Lekin koi roothe to manaya nahin jaata,

Jis taar ko chhedein wahi fariyaad-ba-lab hai,
Ab hum se 'Adam' saaz bajaya nahin jaata.!!

"Abdul Hameed Adam"

Aankhon Se Teri Zulf Ka Saaya Nahin Jaata

Aankhon se teri zulf ka saaya nahin jaata,
Aaram jo dekha hai bhulaya nahin jaata,

Allah-re nadaan jawani ki umangein!
Jaise koi bazaar sajaya nahin jaata,

Aankhon se pilate raho saaghar mein na daalo,
Ab hum se koi jaam uthaya nahin jaata,

Bole koi hans kar to chhidak dete hain jaan bhi,
Lekin koi roothe to manaya nahin jaata,

Jis taar ko chhedein wahi fariyaad-ba-lab hai,
Ab hum se 'Adam' saaz bajaya nahin jaata.!!

"Abdul Hameed Adam"

Aap Ki Aankh Agar Aaj Gulabi Hogi

Aap ki aankh agar aaj gulabi hogi,
Meri sarkaar badi sakht kharabi hogi,

Mohtasib ne hi padha hoga maqala pahle,
Meri taqreer ba-har-haal jawabi hogi,

Aankh uthane se bhi pahle hi wo honge ghayeb,
Kya khabar thi ki unhein itni shitabi hogi,

Har mohabbat ko samajhta hai wo nowel ka waraq,
Us pari-zaad ki ta'aleem kitabi hogi,

Shaikh-ji hum to jahannam ke parinde thehre,
Aap ke paas to firdaus ki chaabi hogi,

Kar diya musa ko jis cheez ne behosh 'Adam',
Ne-naqabi nahin wo neem-hijabi hogi.!!

"Abdul Hameed Adam"

Aata Hai Kaun Dard Ke Maaron Ke Shahr Mein

Aata hai kaun dard ke maaron ke shahr mein,
Rahte hain log chaand sitaron ke shahr mein,

Milta to hai khushi ki haqeeqat ka kuchh suraagh,
Lekin nazar-fareb ishaaron ke shahr mein,

Un ankhdiyon ko dekh ke hota hai ye gumaan,
Hum aa base hain baada-gusaron ke shahr mein,

Ai dil tere khuloos ke sadqe! zara sa hosh,
Dushman bhi be-shumaar hain yaaron ke shahr mein,

Dekhein 'Adam' naseeb mein hai kya likha hua,
Dil bechne chale hain nigaaron ke shahr mein.!!

"Abdul Hameed Adam"

Afsana Chahte The Wo Afsana Ban Gaya

Afsana chahte the wo afsana ban gaya,
Main husn-e-ittifaaq se deewana ban gaya,

Wo ek nigaah dekh ke khud bhi hain sharmsaar,
Na-aagahi mein yunhi ek afsana ban gaya,

Mauj-e-hawa se zulf jo lahra gayi teri,
Mera shaoor laghzish-e-mastana ban gaya,

Husn ek ikhtiyaar-e-mukammal hai aap ne,
Deewana kar diya jise deewana ban gaya,

Zikr us ka guftugu mein jo shaamil hua 'Adam',
Jo sheyr kah diya wo pari-khana ban gaya.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________
Husn-e-ittifaaq = beauty of co-incidence,
Na-aagahi = the state of being unaware,
Shaoor = consciousness,
Laghzish-e-mastana = Drunken Stagger,

Bahut Se Logon Ko Ghum Ne Jila Ke Maar Diya

Bahut se logon ko ghum ne jila ke maar diya,
Jo bach rahe the unhein may pila ke maar diya,

Ye kya ada hai ke jab un ki barhami se hum,
Na mar sake to humein muskura ke maar diya,

Na jaate aap to aaghosh kyun tahi hoti,
Gaye to aap ne pahlu se ja ke maar diya,

Mujhe gila to nahin aap ke taghaful se,
Magar huzoor ne himmat badha ke maar diya,

Na aap aas bandhate na ye sitam hota,
Humein to aap ne amrit pila ke maar diya,

Kisi ne husn-e-taghaful se jaan talab kar li,
Kisi ne lutf ke dariya baha ke maar diya,

Jise bhi main ne zyaada tapaak se dekha,
Usi haseen ne patthar utha ke maar diya,

Wo log maangenge ab zeest kis ke aanchal se?
Jinhein huzoor ne daaman chhuda ke maar diya,

Chale to khanda-mizaaji se ja rahe the hum,
Kisi haseen ne raste mein aa ke maar diya,

Rah-e-hayat mein kuchh aise pech-o-kham to na the,
Kisi haseen ne raste mein aa ke maar diya,

Karam ki surat-e-awwal to jaan-gudaaz na thi,
Karam ka dusra pahlu dikha ke maar diya,

Ajeeb ras-bhara rahzan tha jis ne logon ko,
Tarah tarah ki adaa'en dikha ke maar diya,

Ajeeb khulq se ek ajnabi musafir ne,
Humein khilaaf-e-tawaqqo'a bula ke maar diya,

'Adam' bade adab-adaab se haseenon ne,
Humein sitam ka nishana bana ke maar diya,

Ta'ayyunaat ki had tak to ji raha tha 'Adam',
Ta'ayyunaat ke parde utha ke maar diya.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________

Taghaful = neglect,
Husn-e-taghaful = beauty of negligence,
Khanda-mizaaji = cheerful temperament,
Pech-o-kham = perplexity, difficulty,
Jaan-gudaaz = life-afflicting,
Khulq = nature, habit, disposition,
Khilaaf-e-tawaqqo'a = contrary to expectation,
Ta'ayyunaat = appointed, fixed, deputed,

Bas Is Qadar Hai Khulasa Meri Kahaani Ka

Bas is qadar hai khulasa meri kahaani ka,
Ke ban ke toot gaya ek habaab paani ka,

Mila hai saaqi to raushan hua hai ye mujh par,
Ke hazf tha koi tukda meri kahaani ka, 

Mujhe bhi chehre pe raunaq dikhaai deti hai,
Ye mo'ajaza hai tabeebo'n ki khush-bayani ka,

Hai dil mein ek hi khwahish wo doob jaane ki,
Koi shabaab koi husn hai rawaani ka,

Libaas-e-hashr mein kuchh ho to aur kya hoga,
Bujha sa ek chhanaka teri jawaani ka,

Karam ke rang nihayat ajeeb hote hain, 
Sitam bhi ek tareeqa hai mehrbaani ka,

'Adam' bahaar ke mausam ne khud-kushi kar li,
Khula jo rang kisi jism-e-arghawani ka.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________

Hazf = cutting off a letter ora syllable of a word, dropping, omission,
Jism-e-arghawani = Blushing (purple) body,

Be-sabab Kyun Tabah Hota Hai

Be-sabab kyun tabah hota hai,
Fikr-e-farda gunah hota hai,

Tujh ko kya dusron ke aibo'n se,
Kyun abas ru-siyah hota hai, 

Mujh ko tanha na chhorh kar jao,
Ye khala be-panah hota hai,

Zak usi se bahut pahunchti hai,
Jo mera khair-khwah hota hai,

Us ghadi us se maang lo sab kuchh,
Jab 'Adam' baadshah hota hai.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________

Fikr-e-farda = worry of tomorrow,
Abas = futile, profitless, purposeless,
Ru-siyah = black-faced,
Khala =  hollow, vacuum,
Zak = harm,

Bhoole Se Kabhi Le Jo Koi Naam Humara

Bhoole se kabhi le jo koi naam humara,
Mar jaaye khushi se dil-e-nakaam humara,

Le jaati hai us samt humein gardish-e-dauraa'n,
Ai dost kharabaat se kya kaam humara,

Kar lete hain takhleeq koi wajah-e-aziyat,
Bhaata nahin khud hum ko bhi aaram humara,

Ai gardish-e-dauraa'n ye koi soch ki rut hai,
Kam-bakht abhi daur mein hai jaam humara,

Is baar to aaya tha idhar qaasid-e-jaan khud,
Sarkaar ko pahuncha nahin paighaam humara,

Pahunchaai hai takleef bahut pahle hi tujh ko,
Ai rah-numa haath na ab thaam humara,

Ai qaafila-e-hosh ganwa waqt na apna,
Padta nahin kuchh theek abhi gaam humara,

Dekha hai haram tera magar haye-re zaahid,
Mahka hua wo kucha-e-asnaam humara,

Ghilmaan bhi jannat ke badi cheez hain lekin,
Tauba meri wo saaqi-e-gulfaam humara,

Gul nauha-kunaa'n o sanam-e-dast-ba-seena,
Allah ghani! lamha-e-anjaam humara,

Kar baithe hain hum bhool ke tauba jo sahar ko,
Shishe ko ta'aqub hai sar-e-shaam humara,

May peena 'Adam' aur qadam choomna un ke,
Hai shaghl yahi ab sahar-o-shaam humara.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________

Kharabaat = tavern, bar, casino,
Takhleeq = creation, compilation,
Ghilmaan = handsome boys who will attend on the virtuous in paradise,
Nauha-kunaa'n = grieving, mourning,
Sanam-e-dast-ba-seena = idol with hand on chest,
Shaghl = hobby,

Bhooli-bisri Baaton Se Kya Tashkeel-e-rudaad Karein

Bhooli-bisri baaton se kya tashkeel-e-rudaad karein,
Hum ko to kuchh yaad nahin hai aap hi kuchh irshaad karein,

Pahle-pahal jab aap ka joban itna shahar-aashob na tha,
Ek mushtaaq se sada-dil insaan ki parastish yaad karein,

Aap se mumkin hai dil-jui yazdaa'n ki ye reet nahin,
Jis ko sun kar chup rahna hai us se kya fariyaad karein,

Ishq ne saunpa hai kaam apna ab to nibhana hi hoga,
Main bhi kuchh koshish karta hun aap bhi kuchh imdaad karein,

Juzw-e-tabiyat ban jaayein to jaur karam ho jaate hain,
Lutf na ab raaij farmaayen sirf sitam ijaad karein.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________

Tashkeel-e-rudaad = structuring of report,
Shahar-aashob = one who disturbs the peace of a city, a poem describing a ruined city,
Mushtaaq = desirous/ eager,
Dil-jui = encourage,

Dekh Kar Dil-kashi Zamane Ki

Dekh kar dil-kashi zamane ki,
Aarzu hai fareb khaane ki...

Ai ghum-e-zindagi na ho naraaz,
Mujh ko aadat hai muskurane ki...

Zulmato'n se na darr ke raste mein,
Raushni hai sharab-khaane ki...

Aa tere gesuon ko pyaar karun,
Raat hai mish'alein jalaane ki...

Kis ne saaghar 'Adam' buland kiya,
Tham gayin gardishein zamane ki.!!

"Abdul Hameed Adam"

Dil Hai Badi Khushi Se Ise Payemaal Kar

Dil hai badi khushi se ise payemaal kar,
Lekin tere nisaar zara dekh-bhaal kar,

Itna to dil-fareb na tha daam-e-zindagi,
Le aaye aitebaar ke saanche mein dhhaal kar,

Saaqi mere khuloos ki shiddat ko dekhna,
Phir aa gaya hun gardish-e-dauraa'n ko taal kar,

Ai dost teri zulf-e-pareshaan ki khair ho,
Meri tabahiyon ka na itna khyaal kar,

Aaya hun yun bacha ke hawadis se zeest ko,
Laate hain jaise koh se chashma nikaal kar,

Thode se faasle mein bhi haail hain laghzishein,
Saaqi sambhaal kar mere saaqi sambhaal kar,

Hum se 'Adam' chhupao to KHud bhi na pi sako,
Rakkha hai tum ne kuchh to suraahi mein daal kar.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________

Payemaal = subdued, trampled under foot,
Hawadis = disasters,
Haail = obstacle/ intervening,
Laghzishein = errors, mistakes,

Dil Guzar Jayenge Sarkaar Koi Baat Nahin

Din guzar jayenge sarkaar koi baat nahin,
Zakhm bhar jayenge sarkaar koi baat nahin,

Aap ka shahar agar baar samajhta hai humein,
Kooch kar jayenge sarkaar koi baat nahin,

Aap ke jaur ka jab zikr chhida mahshar mein,
Mum mukar jayenge sarkaar koi baat nahin,

Ro ke jeene mein bhala kaun si sheerini hai,
Hans ke mar jayenge sarkaar koi baat nahin,

Nikal aaye hain 'Adam' se to jhijhakna kaisa,
Dar-ba-dar jayenge sarkaar koi baat nahin.!!

"Abdul Hameed Adam"

Ghum-e-mohabbat Sata Raha Hai Ghum-e-zamana Masal Raha Hai

Ghum-e-mohabbat sata raha hai ghum-e-zamana masal raha hai,
Magar mere din guzar rahe hain magar mera waqt tal raha hai,

Wo abr aaya wo rang barse wo kaif jaaga wo jaam khanke,
Chaman mein ye kaun aa gaya hai tamaam mausam badal raha hai,

Meri jawani ke garm lamhon pe daal de gesuon ka saaya,
Ye dopahar kuchh to mo'atadil ho tamaam mahaul jal raha hai,

Ye bheeni bheeni si mast khushbu ye halki halki si dil-nashin bu,
Yahin kahin teri zulf ke paas koi parwana jal raha hai,

Na dekh o mah-jabeen meri samt itni masti-bhari nazar se,
Mujhe ye mahsoos ho raha hai sharaab ka daur chal raha hai,

'Adam' kharabaat ki sahar hai ke baargah-e-rumooz-e-hasti,
Idhar bhi suraj nikal raha hai udhar bhi suraj nikal raha hai.!!

"Abdul Hameed Adam"
__________

Mo'atadil = temperate, moderate,
Baargah-e-rumooz-e-hasti = exalted court of life's secrets,

Girte Hain Log Garmi-e-bazaar Dekh Kar

Girte hain log garmi-e-bazaar dekh kar,
Sarkaar dekh kar meri sarkaar dekh kar,

Aawargi ka shauq bhadakta hai aur bhi,
Teri gali ka saaya-e-deewar dekh kar,

Taskeen-e-dil ki ek hi tadbeer hai faqat,
Sar phod lijiye koi deewar dekh kar,

Hum bhi gaye hain hosh se saaqi kabhi kabhi,
Lekin teri nigaah ke atwaar dekh kar,

Kya mustaqil ilaaj kiya dil ke dard ka,
Wo muskura diye mujhe beemar dekh kar,

Dekha kisi ki samt to kya ho gaya 'Adam',
Chalte hain rah-rau sar-e-bazaar dekh kar.!!

"Abdul Hameed Adam"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...