Har-chand gaam gaam hawadis safar mein hain,
Wo khush-naseeb hain jo teri rahguzar mein hain..
Takeed-e-zabt, ahd-e-wafa, izn-e-zindagi..
Kitne payaam ek nigah-e-mukhtasar mein hain..
Maazi shareek-e-haal hai koshish ke bawajood,
Dhundhle se kuchh nuqoosh abhi tak nazar mein hain..
Lillah is khuloos se pursish na kijiye,
Tufaan kab se band meri chashm-e-tar mein hain..
Manzil to khush-naseebon mein taqseem ho chuki,
Kuchh khush-khyaal log abhi tak safar mein hain..
Mahfil mein un ki samt nigaahein na uth sakin,
Hum bil-khusoos ahl-e-nazar ki nazar mein hain..
Ye kaise rah-rau the ke har naqsh-e-pa ke saath,
Sajdo'n ke kuchh nishaan bhi is rahguzar mein hain.!!
"Iqbal Azeem"
No comments:
Post a Comment