Dastak hawa ki sun ke kabhi darr nahin gaya,
Lekin main chaand-raat mein baahar nahin gaya...
Aankhon mein ud raha hai abhi tak ghubaar-e-hijr,
Ab tak wida-e-yaar ka manzar nahin gaya...
Ai shaam-e-hijr-e-yaar meri tu gawahi de,
Main tere saath saath raha ghar nahin gaya...
Tu ne bhi saare zakhm kisi taur sah liye,
Main bhi bichhad ke ji hi liya mar nahin gaya...
Saada faseel-e-shahar mujhe dekhti rahi,
Lekin main tera naam bhi likh kar nahin gaya...
Bakhsha shab-e-firaaq ko dil ne abad ka tool,
Shab bhar lahuluhaan raha mar nahin gaya.!!
"Ahmad Azeem"
No comments:
Post a Comment