Posts

Showing posts from April, 2019

Gulaab Aankhein, Sharaab Aankhein

Image
Gullab Aankhein, Sharaab Aankhein, Yahi To Hain La-jawaab Aankhein.. Inhin Mein Ulfat, Inhin Mein Nafrat, Sabaab Aankhein, Azaab Aankhein.. Kabhi Nazar Mein Balaa Ki Shokhi, Kabhi Saraapa Hijaab Aankhein.. Kabhi Chhupaati Hain Raaz Dil Ka, Kabhi Hain Dil Ki Kitaab Aankhein.. Kisi Ne Dekhi To Jheel Jaisi, Kisi Ne Paayi Saraab Aankhein.. Wo Aaye To Log Mujh Se Bole, Huzoor Aankhein, Janaab Aankhein.. Ajeeb Tha Guftugu Ka Aalam, Sawaal Koi Jawaab Aankhein.. Ye Mast Mast Be-misaal Aankhein, Musawwari Ka Kamaal Aankhein.. Saraab Rab Ne Haraam Kar Di,  Magar Kyun Hain Halaal Aankhein.. Hazaaron In Par Qatl Honge, Khuda Ki Bandi Sambhaal Aankhein.!! گلاب آنکھیں، شراب آنکھیں یہی تو ہيں لا جواب آنکھیں انھی میں الفت،انھی میں نفرت ثواب آنکھیں، عذاب آنکھیں کبھی نظر میں بلا کی شوخی کبھی سراپا حجاب آنکھیں کبھی چھپاتی ہيں راز دل کے کبھی ہيں دل کی کتاب آنکھیں کسی نے دیکھی تو جھیل جیسی کسی نے پائى سراب آنکھیں .. وہ آئے تو لوگ مجھ سے بولے حضور آنکھیں، جناب آنکھیں عجیب تھا

Yaar Aa Ja Ke Teray Pahlu Mein

Yaar Aa Ja Ke Teray Pahlu Mein, Chain, Raahat, Qaraar, Sab Kuch Hai.! یار آ جا____ کہ تیرے پہلو میں چین، راحت، قرار سب کُچھ ھے

Hum Na Samjhe Teri Nazaron Ka Taqaza Kya Hai

Hum Na Samjhe Teri Nazron Ka Taqaza Kya Hai, Kabhi Jalwa Kabhi Parda Ye Tamasha Kya Hai.. Mujh Ko Mad'hosh Sa Kar Rakha Hai Teri Aankhon Ne, Warna Saaqi Tere May-khaane Main Rakkha Kya Hai.. Dekh Le, Laila Tere Majnu Ka Kaleja Kya Hai, Khaak Main Mil Ke Bhi Kahta Hai Bigda Kya Hai.. Ye Suraahi Sa Badan Le Kar Mere Saamne Na Aa, Main Sharabi Hoon Sharabi Ka Bharosa Kya Hai.. Apne Honton Ko Mere Honton Se Chhunay Na De, Ek Do Ghoont Se Botal Ka Bigadta Kya Hai.! ہم نا سمجھے تیری نظروں کا تقاضا کیا ہے کبھی جلوہ کبھی پردہ----- یہ تماشا کیا ہے مجھہ کو مدہوش سا کر رکھا ہے تیری آنکھوں نے ورنہ ساقی تیرے----- مے خانے میں رکھا کیا ہے دیکھ لے لیلی تیرے مجنوں کا کلیجہ کیا ہے خاک میں مل کے بھی کہتا ہے بگڑا کیا ہے یہ صراحی سا بدن لے کر میرے سامنے نا آ میں شرابی ہوں---- شرابی کا بھروسہ کیا ہے اپنے ہونٹوں کو میرے ہونٹوں سے چھونے نا دے ایک دو گھونٹ سے------- بوتل کا بگڑتا کیا ہے ،...!!!

Mere Naam Pe Rakh Ke Apne Bete Ka Naam

Mere Naam Pe Rakh Ke Apne Bete Ka Naam, Wo Samajhti Hai Ke Us Ne Pa Liya Mujh Ko.! میرے نام پے رکھ کے اپنی بیٹے کا نام وه سمجهتی ہے کے اُس نے پا لیا مجهے... 

Khushk Honton Se Hua Karti Hain Meethi Baatein

Image
Khushk Honton Se Hua Karti Hain Meethi Baatein, Pyaas Bujh Jaaye To Lahje Bhi Badal Jaate Hain.!  خشک ہونٹوں سے ہوا کرتی ہیں میٹھی باتیں پیاس بُجھ  جائے تو، لہجے بھی بدل جاتے ہیں.. 

Yaad Se Us Ki Nahi Khaali Koi Bhi Lamha

Yaad Se Us Ki Nahi Khaali Koi Bhi Lamha, Phir Bhi Darta Hun Kahin Bhool Na Jaaun Us Ko.! ﯾﺎﺩ ﺳﮯ ﺍُﺳﮑﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺧﺎﻟﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﺑﮭﯽ ﻟﻤﺤﮧ ﭘﮭﺮ ﺑﮭﯽ ﮈﺭتی ﮨﻮﮞ ﮐﮩﯿﮟ ﺑُﮭﻮﻝ ﻧﮧ ﺟﺎﺅﮞ ﺍُس کو۔

Be-rooh Sa Wajood Mere Paas Rah Gaya

Image
Be-rooh Sa Wajood Mere Paas Rah Gaya, Yaani Tumhaare Baad Mujhe Maut Aa Gayi.!  بے روح سا وجود میرے پاس رہ گیا... یعنی تُمہارے بعد مُجھے موت آ گئی...؟؟

Gar Siyah-bakht Hi Hona Tha Naseebon Mein Mere

Gar Siyah-bakht Hi Hona Tha Naseebon Mein Mere, Zulf Hota Ya Tere Rukhsaar Pe Main Til Hota.!! گر سیاہ بخت ہی ہونا تھا نصیبوں میں میرے زُلف ہوتا یا تیرے رخسار ____پہ میں تِل ہوتا... 

Maine Kaha Wo Pyar Ke Rishte Nahi Rahe

Maine Kaha Wo Pyar Ke Rishte Nahi Rahe, Kahne Lagi Ke Tum Bhi To Waise Nahi Rahe, Puchha Kahaan Gaye Mere Yaaraan-e-khush-khyaal, Kahne Lagi Ke Wo Bhi Tumhare Nahi Rahe, Go Aaj Tak Diya Nahi Tum Ne Mujhe Fareb, Par Ye Bhi Sach Hai Tum Kabhi Mere Nahi Rahe, Boli Kuredte Ho Tum Us Dhher Ko Jahaan, Bas Raakh Rah Gayi Hai Sharaare Nahi Rahe, Puchha Tumhein Kabhi Nahi Aaya Mera Khyaal, Kya Tum Ko Yaad, Yaar Puraane Nahi Rahe, Kahne Lagi Main Dhundhti Tera Pata Magar, Jin Par Nishaan Lage The Wo Naqshe Nahi Rahe, Tere Baghair Shahr-e-sukhan Sang Ho Gaya,  Honthon Pe Ab Wo Reshmi Lahje Nahi Rahe, Jin Se Utar Ke Aati Dabe Paanw Teri Yaad, Khwabon Mein Bhi Wo Kaasni Zeene Nahi Rahe, Hum Ne Kaha Jo Ho Sake Karna Humein Muaaf, Tum Jaisa Chahti Thi Hum Waise Nahi Rahe, Ab Ye Teri Raza Hai ke Jo Chaahe So Kare, Warna Kisi Ke Kya Ke Hum Apne Nahi Rahe.!!  میں نے کہا  وہ پیار کے رشتے نہیں رہے کہنے لگی کہ تم بهی تو ویسے نہیں رہے پُوچها کہاں گئے میرے یارانِ خوش خیال ؟ کہنے لگی کہ

Waqt Nay Khatm Kar Diye Saare Waseelay Shauq Kay

Waqt Nay Khatm Kar Diye Saare Waseelay Shauq Kay.. Dil Tha, Ulat Pulat Gaya,  Aankh Thi, Bujh Bujha Gayi.!

Tumhaare Baad Hum Bhi Is Jahaan Mein

Image
Tumhaare Baad Hum Bhi Is Jahaan Mein, Baraa-e-naam Baaqi Rah Gaye Hain.! تمھارے بعد ہم بھی اس جہاں میں برائے نام باقی ۔۔۔۔ رہ گئے ہیں.. 

Ban Gaye Dil Ke Fasane Kya Kya

Ban gaye dil ke fasane kya kya, Khul gaye raaz na jaane kya kya.. Kaun tha mere alawa us ka, Us ne dhundhe the thikane kya kya.. Rahmat-e-ishq ne bakhshe mujh ko, Us ki yaadon ke khazane kya kya.. Aaj rah rah ke mujhe yaad aaye, Us ke andaaz purane kya kya.. Raqs karti hui yaadein un ki, Aur dil gaye taraane kya kya.. Tera andaaz nirala sab se, Teer to ek nishane kya kya.. Aarzu meri wahi hai lekin, Us ko aate hain bahane kya kya.. Raaz-e-dil lakh chhupaya lekin, Kah diya us ki ada ne kya kya.. Dil ne to dil hi ki maani 'meeta', Aql deti rahi taane kya kya.!! "Ameeta Parsuram Meeta"

Zahr Ke Ghoont Bhi Hans Hans Ke Piye Jaate Hain

Zahr ke ghoont bhi hans hans ke piye jaate hain, Hum bahar-haal saleeqe se jiye jaate hain.. Ek din hum bhi bahut yaad kiye jayenge, Chand afsaane zamane ko diye jaate hain.. Hum ko duniya se mohabbat bhi bahut hai lekin, Laakh ilzaam bhi duniya ko diye jaate hain.. Bazm-e-aghyaar sahi az-rah-e-tanqeed sahi,  Shukr hai hum bhi kahin yaad kiye jaate hain.. Hum kiye jaate hain taqleed-e-riwayaat-e-junoon, Aur khud chaak-e-girebaan bhi siye jaate hain.. Ghum ne bakhshi hai ye mohtaat-mizaji hum ko, Zakhm bhi khaate hain aansu bhi piye jaate hain.. Haal ka theek hai 'Iqbaal' na farda ka yaqeen, Jaane kya baat hai hum phir bhi jiye jaate hain.!! "Iqbaal Azeem"