Posts

Showing posts from May, 2021

Be-rabt Si Tahreer

Be'Rabt Si Tehreer “Ibarat Nahi Hoti” Hathon ki Lakeero'n Main To “Qismat Nahi hoti” Sajday Main Dikhawa Ho To …”Sajda Nahi Hota” Gardan Ke Jhukanay Se “Ibadat Nahi Hoti” Woh Shakhs Mohabbat Se “Hamesha Raha Mehroom” Auron Ke Liye Jis Main “Mohabbat Nahi Hoti” Chehrey Ka Sanwarna Kabhi “Kaam Na Aaya” Seerat Ke Bina Koi Bhi “Soorat Nahi Hoti” Shahkaar Ki Takmeel Main Shaamil Na Ho Gar Fikr,  Tasveer To Ban Jati Hai “Moorat Nahi Hoti” _________________________

Is Tarah Nahi Kartey Raabta To Rakhtey Hain

Is tarah nahi kartey raabta to rakhte hain, Thorha milne julne ka silsila to rakhte hain, manzilein buland ho’n to mushkilein bhi aati hain, mushkilo’n se ladne ka hausla to rakhte hain, Jo tumharey apne ho’n tum se pyar kartey ho’n, Un ka haal kaisa hai kuch pata to rakhte hain, Dosti ke rishtey ko tod te nahi aisey, roothey dosto’n se bhi waasta to rakhte hain, chhorh jaane waley aksar laut ke bhi aate hain, laut kar wo aane ka raasta to rakhte hain.!  _________________________ اِس طرح نہیں کرتے، رابطہ تو رکھتے ہیں.؛ تھوڑا مِلنے جُلنے کا، سِلسلہ تو رکھتے ہیں منزلیں بُلند ہوں تو، مُشکلیں بھی آتی ہیں.؛ مُشکلوں سے لڑنے کا، حوصلہ تو رکھتے ہیں جو تُمہارے اپنے ہوں، تُم سے پیار کرتے ہوں.؛ اُن کا حال کیسا ہے، کُچھ پتہ تو رکھتے ہیں دوستی کے رِشتے کو، توڑتے نہیں ایسے.؛ رُوٹھے دوستوں سے بھی، واسطہ تو رکھتے ہیں چھوڑ جانے والے اکثر، لوٹ کر بھی آتے ہیں.؛ لوٹ کر وہ آنے کا، راستہ تو رکھتے ہیں