Posts

Showing posts from September, 2018

Chashm-e-nam Dhundh Rahi Hai Tum Ko

Chashm-e-nam Dhundh Rahi Hai Tum Ko, Kaash Duniya Mein Tum Hi Tum Hote.!  چشمِ نم ڈھونڈ رہی ہے تم کو کاش دنیا میں تم ہی تم ہوتے..

Teri Chaahat Ka Mukhtasar Mausam

Teri Chaahat Ka Mukhtasar Mausam, Rizq Ki Justuju Mein Beet Gaya.!! تیری چاہت کا مختصر موسم رزق کی جستجو میں بیت گیا..

Amjad Wo Saaneha To Use Yaad Bhi Nahi

Amjad Wo Saaneha To Use Yaad Bhi Nahi, Jo Hum Ne Umr Bhar Ki Nishaani Bana Liya.! ‏امجد وہ سانحہ تو اسے یاد بھی نہیں ‏جو ہم نے عُمر بھر کی نشانی بنا  لیا.

Kahne Ko Ji Rahe Hain Badi Shaan Se Magar

Kahne Ko Ji Rahe Hain Badi Shaan Se Magar, Hum Hasraton Ke Qarz Mein Doobe Faqeer Hain.! کہنے کو جی رہے ہیں بڑی شان سے مگر ہم حسرتوں کے قرض میں ڈوبے فقیر ہیں..

Ye Jo Har mod Pe Aa Milti Hai Mujh Se Farhat

Ye Jo Har Mod Pe Aa Milti Hain Mujh Se "Farhat", Bad-naseebi Bhi Kahin Meri Deewani To Nahi.!  " Farhat Abbas Shah" یہ جو ہر موڑ پہ آ ملتی ہے مُجھ سے فرحت بدنصیبی بھی کہیں میری دیوانی تو نہیں... "فرحت عباس شاہ"

Tumhaari Yaad Hai Maatam-kunaa'n Abhi Mujh Mein

Tumhaari Yaad Hai Maatam-kunaa'n Abhi Mujh Mein, Tumhaara Dard Abhi Tak Siyaah Libaas Mein Hai.!  تمہاری یاد ہے ماتم کناں ابھی مجھ میں تمہارا درد ابھی تک سیاہ لباس میں ہے۔۔

Mere Kamre Ki Chand Kitaabon Par

Mere Kamre Ki Chand Kitaabon Par, Tere Haathon Ko Lams Rota Hai.!  میرے کمرے کی چند کتابوں پر تیرے ہاتھوں کا لمس روتا ہے۔۔

Phir Yoon Hua Ke Kat Gayi Tere Baghair Bhi

Phir Yoon Hua Ke Kat Gayi Tere Baghair Bhi, Ujdi Hui, Luti Hui, Veeraan Zindagi.!  پھر یوں هوا کہ کٹ گئی تیرے بغیر بھی.... اُجڑی هوئی ، لُٹی هوئی ، ویران زندگی ....

Khat, Kalaam, Salaam, Shayeri, Ghazlein

Khat, Kalaam, Salaam, Shayeri, Ghazlein, Un Se Mansoob Thi Meri Aadatein Kya Kya.! خط ،  کلام  ،  سلام  ، شاعری ، غزلیں اُن سے منسوب تھی میری عادتیں کیا کیا....

Tu Hai Suraj Tujhe Maloom Kahaan Raat Ka Dukh

Tu Hai Suraj Tujhe Maloom Kahaan Raat Ka Dukh, Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Shaam Ke Baad.. Laut Aaye Na Kisi Roz Wo Aawara-Mizaaj, Khol Rakhte Hain Isi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad.! تو ہے سورج تجھے معلوم کہاں رات کا دکھ تو کسی روز میرے گھر میں اتر شام کے بعد لوٹ آئے نہ کسی روز وہ آوارہ مزاج کھول رکھتے ہیں اسی آس پہ در شام کے بعد..