Wednesday, June 27, 2018

Bhadka Rahe Hain Aag Lab-e-naghma-gar Se Hum

Bhadka rahe hain aag lab-e-naghma-gar se hum,
Khamosh kya rahenge zamane ke darr se hum..

Kuchh aur badh gaye jo andhere to kya hua,
Mayoos to nahin hain tulu-e-sahar se hum..

Le de ke apne paas faqat ek nazar to hai,
Kyun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se hum..

Maana ke is zamin ko na gulzaar kar sake,
Kuchh khaar kam to kar gaye guzre jidhar se hum.!!

"Sahir Ludhianwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...