Sitam ho jaaye tamheed-e-karam aisa bhi hota hai,
Mohabbat mein bata ai zabt-e-ghum aisa bhi hota hai.. 
Bhula deti hain sab ranj o alam hairaniyan meri, 
Teri tamkeen-e-behad ki qasam aisa bhi hota hai.. 
Jafa-e-yaar ke shikwe na kar ai ranj-e-nakaami, 
Ummid o yaas dono'n hon baham aisa bhi hota hai.. 
Mere paas-e-wafa ki bad-gumaani hai baja tum se, 
Kahin be-wajah izhaar-e-karam aisa bhi hota hai.. 
Teri dildaariyon se surat-e-begaangi nikli, 
Khushi aisi bhi hoti hai alam aisa bhi hota hai.. 
Waqaar-e-sabr khoya girya-ha-e-be-qaraari ne, 
Kahin ai aitibaar-e-chashm-e-nam aisa bhi hota hai.. 
Ba-daawa-e-wafa kyun shikwa-sanj-e-jaur hai 'Hasrat', 
Dayaar-e-shauq mein ai mahw-e-ghum aisa bhi hota hai.!!
"Hasrat Mohani" 
__________ 
Tamheed-e-karam = preamble to kindness, 
Tamkeen-e-behad = absolute power, 
Baham = along with, 
Baja = right, correct, 
Surat-e-begaangi = form of unfriendliness, 
Waqaar-e-sabr = dignity of patience, 
Girya-ha-e-be-qaraari = weeping ; excessive cries of restlessness, 
Ba-daawa-e-wafa = with the assertion of constancy, 
Shikwa-sanj-e-jaur = orator; complainant of tyranny, 
No comments:
Post a Comment