Showing posts with label Waseem Barelwi. Show all posts
Showing posts with label Waseem Barelwi. Show all posts

Tuesday, July 3, 2018

* Qitaa *

Meri tanhaaiyan bhi shayer hain,
Nazr-e-ash'aar-o-jaam rahti hain...

Apni yaadon ka silsila roko,
Meri neendein haraam rahti hain.!!

"Waseem Barelwi"

Deewane Ki Jannat

* Nazm *
__________

Mera ye khwab ke tum mere qareeb aai ho.!

Apne saaye se jhijakti hui ghabraati hui..
Apne ahsaas ki tahreek pe sharmaati hui..
Apne qadmon ki bhi aawaz se katraati hui..

Apni saanson ke mahakte hue andaaz liye..
Apni khamoshi mein gahnaye hue raaz liye..
Apne honthon pe ek anjaam ka aaghaaz liye..

Dil ki dhadkan ko bahut rokti samjhaati hui..
Apni payel ki ghazal-khwani pe jhallaati hui..

Narm shaanon pe jawani ka naya baar liye..
Shokh aankhon mein hijabaat se inkaar liye..
Tez nabzo'n mein mulaqaat ke aasaar liye..

Kaale baalon se bikharti hui champa ki mahak..
Surkh aariz pe damakte hue shaalon ki chamak..
Neechi nazro'n mein samaai hui khuddaar jhijak..

Nuqrai jism pe wo chaand ki kirno'n ki phuwaar..
Chandni raat mein bujhta hua palkon ka sitaar..
Fart-e-jazbaat se mahki hui saanson ki qataar..

Door maazi ki bad-anjaam riwayaat liye..
Neechi nazrein wahi ahsaas-e-mulaqaat liye..
Wahi maahaul wahi taaro'n bhari raat liye..

Aaj tum aai ho dohraati hui mazi ko.!

Mera ye khwab ke tum mere qareeb aai ho..

Kaash ek khwab rahe talkh haqeeqat na bane..
Ye mulaqaat bhi deewane ki jannat na bane.!!

"Waseem Barelwi"

Zindagi Tujh Pe Ab Ilzaam Koi Kya Rakkhe

Zindagi tujh pe ab ilzaam koi kya rakkhe,
Apna ahsaas hi aisa hai jo tanha rakkhe...

Kin shikaston ke shab-o-roz se guzra hoga,
Wo musawwir jo har ek naqsh adhoora rakkhe...

Khushk mitti hi ne jab paanw jamaane na diye,
Bahte dariya se phir ummid koi kya rakkhe...

Aa ghum-e-dost usi mod pe ho jaaun juda,
Jo mujhe mera hi rahne de na tera rakkhe...

Aarzuon ke bahut khwaab to dekho ho 'Waseem',
Jaane kis haal mein be-dard zamana rakkhe.!!

"Waseem Barelwi"

Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai

Zara sa qatra kahin aaj agar ubharta hai... 
Samndaron hi ke lahje mein baat karta hai.!

Khuli chhaton ke diye kab ke bujh gaye hote...
Koi to hai jo hawaon ke par katarta hai.!

Sharafaton ki yahaan koi ahmiyat hi nahin...
Kisi ka kuchh na bigaado to kaun darta hai.!

Ye dekhna hai ke sahra bhi hai samandar bhi...
Wo meri tishna-labi kis ke naam karta hai.!

Tum aa gaye ho to kuchh chandni si baatein hon...
Zameen pe chaand kahaan roz roz utarta hai.!

Zameen ki kaisi wakalat ho phir nahin chalti...
Jab aasman se koi faisla utarta hai.!!

"Waseem Barelwi"

Ye Hai To Sab Ke Liye Ho Ye Zid Humari Hai

Ye hai to sab ke liye ho ye zid humari hai,
Is ek baat pe duniya se jang jaari hai...

Udaan waalo udaanon pe waqt bhaari hai,
Paro'n ki ab ke nahin hauslon ki baari hai...

Main qatra ho ke bhi tufaan se jang leta hun,
Mujhe bachana samandar ki zimmedaari hai...

Isi se jalte hain sahra-e-aarzu mein charaagh,
Ye tishnagi to mujhe zindagi se pyari hai...

Koi bataye ye us ke ghuroor-e-beja ko,
Wo jang main ne ladi hi nahin jo haari hai...

Har ek saans pe pahra hai be-yaqeeni ka,
Ye zindagi to nahin maut ki sawaari hai...

Dua karo ke salamat rahe meri himmat,
Ye ek charaagh kayi aandhiyon pe bhaari hai.!!

"Waseem Barelwi"
__________

Ghuroor-e-beja = excessive pride,

Yahi Bazm-e-aish Hogi Yahi Daur-e-jaam Hoga

Yahi bazm-e-aish hogi yahi daur-e-jaam hoga,
Magar aaj ka tasawwur yahaan kal haraam hoga..

Main kuchh is tarah jiya hun ke yaqeen ho gaya hai,
Mere baad zindagi ka bada ahtiraam hoga..

Meri zeest ek janaza hai jo raah-e-waqt mein hai,
Jo thakenge din ke kaandhe to supurd-e-shaam hoga..

Yahi hadsaat-e-ghum hain to ye darr hai jeene waalo,
Koi din mein zindagi ka koi aur naam hoga.!!

"Waseem Barelwi"

Wo Mujh Ko Kya Batana Chahta Hai

Wo mujh ko kya batana chahta hai..
Jo duniya se chhupana chahta hai.!

Mujhe dekho ke main us ko hi chaahun..
Jise saara zamana chahta hai.!

Qalam karna kahaan hai us ka mansha.. 
Wo mera sar jhukana chahta hai.!

Shikayat ka dhuan aankhon se dil tak..
Ta'alluq toot jaana chahta hai.!

Taqaza waqt ka kuchh bhi ho ye dil..
Wahi qissa purana chahta hai.!!

"Waseem Barelwi"

Wo Mere Ghar Nahin Aata Main Us Ke Ghar Nahin Jaata

Wo mere ghar nahin aata main us ke ghar nahin jaata...

Magar in ahtiyaaton se ta'alluq mar nahin jaata.!

Bure achchhe hon jaise bhi hon sab rishte yahin ke hain...

Kisi ko saath duniya se koi le kar nahin jaata.!

Gharo'n ki tarbiyat kya aa gayi TV ke haathon mein...

Koi bachcha ab apne baap ke upar nahin jaata.!

Khule the shahr mein sau dar magar ek had ke andar hi...

Kahaan jaata agar main laut ke phir ghar nahin jaata.!

Mohabbat ke ye aansu hain unhein aankhon mein rahne do...

Shareefon ke gharo'n ka mas'ala baahar nahin jaata.!

'Waseem' us se kaho duniya bahut mahdood hai meri...

Kisi dar ka jo ho jaaye wo phir dar dar nahin jaata.!!

"Waseem Barelwi"

Wo Mere Baalon Mein Yoon Ungliyan Phiraata Tha

Wo mere baalon mein yoon ungliyan phiraata tha,
Ke aasman ke farishton ko pyaar aata tha...

Use gulaab ki patti ne qatl kar daala,
Wo sab ki raahon mein kaante bahut bichhata tha...

Tumhaare saath nigaahon ka karobaar gaya,
Tumhaare baad nigaahon mein kaun aata tha...

Safar ke saath safar ke naye masaail the,
Gharo'n ka zikr to raste mein chhoot jaata tha.!!

"Waseem Barelwi"

Us Ne Meri Raah Na Dekhi Aur Wo Rishta Tod Liya

Us ne meri raah na dekhi aur wo rishta tod liya,

Jis rishte ki khaatir mujh se duniya ne munh mod liya...

Badi badi khushiyon ko haan nazdeek se ja kar dekha to,

Main ne raah ke chalte-phirte dukh se naata jod liya...

Main kitne rango'n mein dhhalta kab tak khud se lad paata,

Jiwan ek safar tha jis ne roz naya ek mod liya...

Aise shakhs ko meer banaya jo bas khwab dikhata tha,

Basti ke logon ne apna aap muqaddar phod liya...

Main to bhola-bhaala 'Waseem' aur wo fankaar siyasat ka,

Us ke jab ghatne ki baari aai mujh ko jod liya.!!

"Waseem Barelwi"

Use Samajhne Ka Koi To Raasta Nikle

Use samajhne ka koi to raasta nikle,
Main chahta bhi yahi tha wo bewafa nikle...

Kitaab-e-maazi ke auraaq ulat ke dekh zara,
Na jaane kaun sa safha muda hua nikle... 

Main tujh se milta to tafseel mein nahin jaata,
Meri taraf se tere dil mein jaane kya nikle... 

Jo dekhne mein bahut hi qareeb lagta hai,
Usi ke baare mein socho to faasla nikle... 

Tamaam shahr ki aankhon mein surkh shole hain,
'Waseem' ghar se ab aise mein koi kya nikle.!!

"Waseem Barelwi"

Udaasiyon Mein Bhi Raste Nikaal Leta Hai

Udaasiyon mein bhi raste nikaal leta hai,
Ajeeb dil hai girun to sambhaal leta hai...

Ye kaisa shakhs hai kitni hi achchhi baat kaho,
Koi buraai ka pahlu nikaal leta hai...

Dhhale to hoti hai kuchh aur ahtiyaat ki umr,
Ke bahte bahte ye dariya uchhaal leta hai...

Bade bado'n ki tarah-daariyan nahin chaltin,
Urooj teri khabar jab zawaal leta hai...

Jab us ke jaam mein ek boond tak nahin hoti,
Wo meri pyas ko phir bhi sambhaal leta hai.!!

"Waseem Barelwi"
__________

Tarah-daariyan = foppish mannerisms,

Tumhaari Raah Mein Mitti Ke Ghar Nahin Aate

Tumhaari raah mein mitti ke ghar nahin aate,
Isi liye to tumhein hum nazar nahin aate...

Mohabbaton ke dino'n ki yahi kharabi hai,
Ye rooth jaayen to phir laut kar nahin aate...

Jinhein saleeqa hai tahzeeb-e-ghum samajhne ka,
Unhin ke rone mein aansu nazar nahin aate...

Khushi ki aankh mein aansu ki bhi jagah rakhna,
Bure zamane kabhi poochh kar nahin aate...

Bisaat-e-ishq pe badhna kise nahin aata,
Ye aur baat ki bachne ke ghar nahin aate...

'Waseem' zehn banate hain to wahi akhbaar,
Jo le ke ek bhi achchhi khabar nahin aate.!!

"Waseem Barelwi"

Tujh Ko Socha To Pata Ho Gaya Ruswaai Ko

Tujh ko socha to pata ho gaya ruswaai ko,
Main ne mahfooz samajh rakkha tha tanhaai ko...

Jism ki chaah lakeeron se ada karta hai, 
Khaak samjhega musawwir teri angdaai ko...

Apni dariyaai pe itra na bahut ai dariya,
Ek qatra hi bahut hai teri ruswaai ko...

Chaahe jitna bhi bigad jaaye zamane ka chalan,
Jhooth se haarte dekha nahin sachchaai ko...

Saath maujon ke sabhi hon jahaan bahne waale,
Kaun samjhega samandar teri gahraai ko... 

Apni tanhaai bhi kuchh kam na thi masroof 'Waseem',
Is liye chhod diya anjuman-aaraai ko.!!

"Waseem Barelwi"

Tamaam Umr Bade Sakht Imtihaan Mein Tha

Tamaam umr bade sakht imtihaan mein tha,
Wo faasla jo tere mere darmiyaan mein tha...

Paro'n mein simta to thokar mein tha zamane ki,
Uda to ek zamana meri udaan mein tha... 

Usi pe ho gaya qurbaan do dilo'n ka milaap,
Wo jayedaad ka jhagda jo khandaan mein tha...

Tujhe ganwa ke kayi baar ye khyaal aaya,
Teri ana hi mein kuchh tha na meri aan mein tha.!!

"Waseem Barelwi"

Tahreer Se Warna Meri Kya Ho Nahin Sakta

Tahreer se warna meri kya ho nahin sakta,
Ek tu hai jo lafzon mein ada ho nahin sakta...

Aankhon mein khyalaat mein saanson mein basa hai,
Chaahe bhi to mujh se wo juda ho nahin sakta...

Jeena hai to ye jabr bhi sahna hi padega,
Qatra hun samandar se KHafa ho nahin sakta

Gumraah kiye honge kayi phool se jazbe,
Aise to koi raah-numa ho nahin sakta...

Qad mera badhane ka use kaam mila hai, 
Jo apne hi pairo'n pe khada ho nahin sakta...

Ai pyaar tere hisse mein aaya teri qismat, 
Wo dard jo chehro'n se ada ho nahin sakta.!!

"Waseem Barelwi"

Sirf Tera Naam Le Kar Rah Gaya

Sirf tera naam le kar rah gaya,
Aaj deewana bahut kuchh kah gaya...

Kya meri taqdeer mein manzil nahin,
Faasla kyun muskura kar rah gaya...

Zindagi duniya mein aisa ashk thi,
Jo zara palkon pe thehra bah gaya...

Aur kya tha us ki pursish ka jawaab,
Apne hi aansu chhupa kar rah gaya...

Us se poochh ai kaamyab-e-zindagi,
Jis ka afsana adhoora rah gaya...

Haye kya deewangi thi ai 'Waseem',
Jo na kahna chahiye tha kah gaya.!!

"Waseem Barelwi"

Shaam Tak Subah Ki Nazron Se Utar Jaate Hain

Shaam tak subah ki nazron se utar jaate hain,
Itne samjhauton pe jeete hain ke mar jaate hain...

Phir wahi talkhi-e-haalaat muqaddar thehri,
Nashshe kaise bhi hon kuchh din mein utar jaate hain...

Ek judaai ka wo lamha ke jo marta hi nahin,
Log kahte the ke sab waqt guzar jaate hain...

Ghar ki girti hui deewarein hi mujh se achchhi,
Raasta chalte hue log thehar jaate hain... 

Hum to be-naam iraadon ke musafir hain 'Waseem',
Kuchh pata ho to batayen ke kidhar jaate hain.!!

"Waseem Barelwi"

Monday, July 2, 2018

Sabhi Ka Dhoop Se Bachne Ko Sar Nahin Hota

Sabhi ka dhoop se bachne ko sar nahin hota,
Har aadmi ke muqaddar mein ghar nahin hota...

Kabhi lahu se bhi tareekh likhni padti hai, 
Har ek ma'arka baaton se sar nahin hota...

Main us ki aankh ka aansu na ban saka warna,
Mujhe bhi khaak mein milne ka darr nahin hota...

Mujhe talaash karoge to phir na paaoge,
Main ek sada hun sadaon ka ghar nahin hota...

Humari aankh ke aansu ki apni duniya hai,
Kisi faqeer ko shaahon ka darr nahin hota...

Main us makaan mein rahta hun aur zinda hun,
'Waseem' jis mein hawa ka guzar nahin hota.!!

"Waseem Barelwi"

Sab Ne Milaye Haath Yahaan Teergi Ke Saath

Sab ne milaye haath yahaan teergi ke saath,
Kitna bada mazaaq hua raushni ke saath...

Shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath,
Kijiye mujhe qubool meri har kami ke saath...

Tera khyaal, teri talab teri aarzu,
Main umr bhar chala hun kisi raushni ke saath...

Duniya mere khilaaf khadi kaise ho gayi, 
Meri to dushmani bhi nahin thi kisi ke saath...

Kis kaam ki rahi ye dikhawe ki zindagi,
Waade kiye kisi se guzaari kisi ke saath...

Duniya ko bewafaai ka ilzaam kaun de,
Apni hi nibh saki na bahut din kisi ke saath...

Qatre wo kuchh bhi paayen ye mumkin nahin 'Waseem',
Badhna jo chahte hain samundar-kashi ke saath.!!

"Waseem Barelwi"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...