Friday, June 29, 2018

Ahl-e-ulfat Ke Hawaalon Pe Hansi Aati Hai

Ahl-e-ulfat ke hawaalon pe hansi aati hai,
Laila majnun ki misaalon pe hansi aati hai...

Jab bhi takmeel-e-mohabbat ka khyaal aata hai,
Mujh ko apne hi khyaalon pe hansi aati hai...

Log apne liye auron mein wafa dhundhte hain,
Un wafa dhundhne waalon pe hansi aati hai...

Dekhne waalo tabassum ko karam mat samjho,
Unhein to dekhne waalon pe hansi aati hai...

Chandni raat mohabbat mein haseen thi 'Faakir',
Ab to beemaar ujaalon pe hansi aati hai.!!

"Sudarshan Faakir"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...