Is taraf se guzre the qaafile bahaaron ke, 
Aaj tak sulagte hain zakhm rahguzaron ke.. 
Khalwaton ke shaidaai khalwaton mein khulte hain, 
Hum se poochh kar dekho raaz parda-daaron ke.. 
Gesuon ki chhaanw mein dil-nawaaz chehre hain, 
Ya haseen dhundlakon mein phool hain bahaaron ke.. 
Pahle hans ke milte hain phir nazar churaate hain, 
Aashna-sifat hain log ajnabi dayaaron ke.. 
Tum ne sirf chaaha hai hum ne chhu ke dekhe hain, 
Pairahan ghataon ke jism barq-paaron ke..  
Shughl-e-mai-parasti go jashn-e-na-muraadi tha, 
Yoon bhi kat gaye kuchh din tere sogwaaron ke.!! 
"Sahir Ludhianwi" 
No comments:
Post a Comment