Showing posts with label Jigar Moradabadi. Show all posts
Showing posts with label Jigar Moradabadi. Show all posts

Wednesday, July 18, 2018

Ai Husn-e-yaar Sharm, Ye Kya Inqilaab Hai

Ai husn-e-yaar sharm, ye kya inqilaab hai,
Tujh se zyaada dard tera kaamyaab hai...

Aashiq ki be-dili ka taghaful nahin jawaab,
Us ka bas ek josh-e-mohabbat jawaab hai...

Teri inayatein ke nahin nazr-e-jaan qubool,
Teri nawazishein ke zamana kharaab hai... 

Ai husn apni hausla-afzaaiyan to dekh,
Maana ke chashm-e-shauq bahut be-hijaab hai...

Main ishq-e-be-niyaaz hun tum husn-e-be-panah,
Mera jawaab hai na tumhaara jawaab hai... 

May-khana hai usi ka ye duniya usi ki hai,
Jis tishna-lab ke haath mein jaam-e-sharaab hai...

Us se dil-e-tabah ki rudaad kya kahun,
Jo ye na sun sake ke zamana kharaab hai...

Ai mohtasib na phenk mere mohtasib na phenk,
Zaalim sharaab hai are zaalim sharaab hai...

Apne hudood se na badhe koi ishq mein,
Jo zarra jis jagah hai wahin aaftaab hai...

Wo laakh saamne hon magar is ka kya ilaaj,
Dil maanta nahin ke nazar kaamyaab hai...

Meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar,
Phir bhi tera shabaab tera hi shabaab hai...

Manoos-e-aitibaar-e-karam kyun kiya mujhe,
Ab har khata-e-shauq isi ka jawaab hai...

Main us ka aaina hun wo hai mera aaina,
Meri nazar se us ki nazar kaamyaab hai...

Tanhaai-e-firaaq ke qurbaan jaaiye,
Main hun khyaal-e-yaar hai chashm-e-pur-aab hai...

Sarmaya-e-firaaq 'Jigar' aah kuchh na poochh,
Ab jaan hai so apne liye khud azaab hai.!!

"Jigar Muradabadi"


اے حسن یار شرم یہ کیا انقلاب ہے
تجھ سے زیادہ درد ترا کامیاب ہے

عاشق کی بے دلی کا تغافل نہیں جواب
اس کا بس ایک جوش محبت جواب ہے

تیری عنایتیں کہ نہیں نذر جاں قبول
تیری نوازشیں کہ زمانہ خراب ہے

اے حسن اپنی حوصلہ افزائیاں تو دیکھ
مانا کہ چشم شوق بہت بے حجاب ہے

میں عشق بے نیاز ہوں تم حسن بے پناہ
میرا جواب ہے نہ تمہارا جواب ہے

مے خانہ ہے اسی کا یہ دنیا اسی کی ہے
جس تشنہ لب کے ہاتھ میں جام شراب ہے

اس سے دل تباہ کی روداد کیا کہوں
جو یہ نہ سن سکے کہ زمانہ خراب ہے

اے محتسب نہ پھینک مرے محتسب نہ پھینک
ظالم شراب ہے ارے ظالم شراب ہے

اپنے حدود سے نہ بڑھے کوئی عشق میں
جو ذرہ جس جگہ ہے وہیں آفتاب ہے

وہ لاکھ سامنے ہوں مگر اس کا کیا علاج
دل مانتا نہیں کہ نظر کامیاب ہے

میری نگاہ شوق بھی کچھ کم نہیں مگر
پھر بھی ترا شباب ترا ہی شباب ہے

مانوس اعتبار کرم کیوں کیا مجھے
اب ہر خطائے شوق اسی کا جواب ہے

میں اس کا آئینہ ہوں وہ ہے میرا آئینہ
میری نظر سے اس کی نظر کامیاب ہے

تنہائی فراق کے قربان جائیے
میں ہوں خیال یار ہے چشم پر آب ہے

سرمایۂ فراق جگرؔ آہ کچھ نہ پوچھ
اب جان ہے سو اپنے لیے خود عذاب ہے.. 

Wo Kaafir Aashna Na-aashna Yoon Bhi Hai Aur Yoon Bhi

Wo kaafir aashna na-aashna yoon bhi hai aur yoon bhi..

Humari ibtida ta intiha yoon bhi hai aur yoon bhi.!

Ta'ajjub kya agar rasm-e-wafa yoon bhi hai aur yoon bhi..

Ke husn o ishq ka har mas'ala yoon bhi hai aur yoon bhi.!

Kahin zarra kahin sahra kahin qatra kahin dariya..

Mohabbat aur us ka silsila yoon bhi hai aur yoon bhi.!

Wo mujh se poochhte hain ek maqsad meri hasti ka..

Bataaun kya ke mera muddaa yoon bhi hai aur yoon bhi.!

Hum un se kya kahein wo jaanein un ki maslahat jaane..

Humara haal-e-dil to barmala yoon bhi hai aur yoon bhi.!

Na pa lena tera aasan na kho dena tera mumkin..

Musibat mein ye jaan-e-mubtala yoon bhi hai aur yoon bhi.!

Laga de aag o barq-e-tajalli dekhti kya hai..

Nigah-e-shauq zaalim na-rasa yoon bhi hai aur yoon bhi.!

ilahi kis tarah aql o junoon ko ek ja kar loon..

Ke mansha-e-nigah ishwa-za yoon bhi hai aur yoon bhi.!

'Majazi' se 'Jigar' kah do are o aql ke dushman,

Muqir ho ya koi munkir khuda yoon bhi hai aur yoon bhi.!!

"Jigar Muradabadi"
_______________

Muqir = one who asserts or confirms,

Thursday, May 3, 2018

Wo Jo Roothein Yun Manana Chahiye

Wo jo roothein yun manana chahiye,
Zindagi se rooth jaana chahiye,

Himmat-e-qaatil badhana chahiye,
Zer-e-khanjar muskurana chahiye,

Zindagi hai naam jehd o jang ka,
Maut kya hai bhool jaana chahiye,

Hai inhin dhokhon se dil ki zindagi,
Jo haseen dhokha ho khana chahiye,

Lazzaten hain dushman-e-auj-e-kamaal,
Kulfato'n se ji lagana chahiye,

Un se milne ko to kya kahiye 'Jigar',
Khud se milne ko zamana chahiye..!!

"Jigar Muradabadi"
___
Dushman-e-auj-e-kamaal = enemy of zenith of perfection,
Kulfato'n = problems,

Tujhi Se Ibtida Hai Tu Hi Ek Din Intiha Hoga

Tujhi se ibtida hai tu hi ek din intiha hoga,
Sada-e-saaz hogi aur na saaz-e-be-sada hoga,

Humein maaloom hai hum se suno mahshar mein kya hoga,
Sab us ko dekhte honge wo hum ko dekhta hoga,

Sar-e-mahshar hum aise aasiyon ka aur kya hoga,
Dar-e-jannat na vaa hoga dar-e-rahmat to vaa hoga,

Jahannam ho ke jannat jo bhi hoga faisla hoga,
Ye kya kam hai humara aur un ka saamna hoga,

Azal ho ya abad donon aseer-e-zulf-e-hazrat hain,
Jidhar nazrein uthaoge yahi ek silsila hoga,

Ye nisbat ishq ki be-rang laaye rah nahin sakti,
Jo mahboob-e-khuda ka hai wo mahboob-e-khuda hoga,

Isi ummeed par hum talibaan-e-dard jeete hain,
Khosha dard de ke tera aur dard-e-la-dawa hoga,

Nigaah-e-qahr par bhi jaan-o-dil sab khoye baitha hai,
Nigaah-e-mehr aashiq par agar hogi to kya hoga,

Siyana bhej dega hum ko mahshar se jahannam mein,
Magar jo dil pe guzregi wo dil hi jaanta hoga,

Samajhta kya hai tu deewangaan-e-ishq ko zaahid,
Ye ho jayenge jis jaanib usi jaanib khuda hoga,

'Jigar' ka haath hoga hashr mein aur daaman-e-hazrat,
Shikayat ho ki shikwa jo bhi hoga barmala hoga..!!

"Jigar Muradabadi"

Sabhi Andaaz-e-husn Pyaare Hain

Sabhi andaaz-e-husn pyaare hain,
Hum magar saadgi ke maare hain,

Us ki raaton ka intiqaam na poochh,
Jis ne hans hans ke din guzaare hain,

Ai sahaaron ki zindagi waalo,
Kitne insaan be-sahaare hain,

Laala-o-gul se tujh ko kya nisbat,
Na-mukammal se istiaare hain,

Hum to ab doob kar hi ubhrenge,
Wo rahein shaad jo kinaare hain,

Shab-e-furqat bhi jagmaga utthi,
Ashk-e-ghum hain ki mah-paare hain,

Aatish-e-ishq wo jahannam hai,
Jis mein firdaus ke nazaare hain,

Wo humin hain ke jin ke haathon ne,
Gesu-e-zindagi sanwaare hain,

Husn ki be-niyaziyon pe na ja,
Be-ishaare bhi kuchh ishaare hain.!!

"Jigar Muradabadi"
___
Laala-o-gul = tulip and flowers,
Istiaare = metaphors,
Mah-paare = beautiful, pulchritudinous,
Be-niyaziyon = self-contained, free from want,

Sab Pe Tu Mehrbaan Hai Pyare

Sab pe tu mehrbaan hai pyare,
Kuchh humara bhi dhyaan hai pyare,

Aa ke tujh bin bahut dinon se ye dil,
Ek suna makaan hai pyare,

Tu jahaan naaz se qadam rakh de,
Wo zameen aasmaan hai pyare,

Mukhtasar hai ye shauq ki rudaad,
Har nafas dastaan hai pyare,

Apne ji mein zara to kar insaaf,
Kab se na-mehrbaan hai pyare,

Sabr toote hue dilon ka na le,
Tu yunhi dhaan paan hai pyare,

Hum se jo ho saka so kar guzre,
Ab tera imtihaan hai pyare,

Mujh mein tujh mein to koi farq nahin,
Ishq kyun darmiyaan hai pyare,

Kya kahe haal-e-dil ghareeb 'Jigar',
Tooti phooti zabaan hai pyare..!!

"Jigar Muradabadi"

Nigaahon Ka Markaz Bana Ja Raha Hun

Nigaahon ka markaz bana ja raha hun,
Mohabbat ke haathon luta ja raha hun,

Main qatra hun lekin ba-aghosh-e-dariya,
Azal se abad tak baha ja raha hun,

Mubarak mubarak meri ye fanaa'ein,
Do-aalam pe chhaya chala ja raha hun,

Wahi husn jis ke hain ye sab mazaahir,
Usi husn mein hal hua ja raha hun,

Ye kis ki taraf se ye kis ki taraf ko,
Main ham-dosh mauj-e-fana ja raha hun,

Na jaane kahaan se na jaane kidhar ko,
Bas ek apni dhun mein uda ja raha hun,

Mujhe rok sakta ho koi to roke,
Ke chhup kar nahin barmala ja raha hun,

Mere paas aao ye kya saamne hun,
Meri samt dekho ye kya ja raha hun,

Nigaahon mein manzil meri phir rahi hai,
Yunhi girta padta chala ja raha hun,

Teri mast nazrein ghazab dhha rahi hain,
Ye aalam hai jaise uda ja raha hun,

Kidhar hai tu ai ghairat-e-husn khud mein,
Mohabbat ke hathon bika ja raha hun,

Na auraak-e-hasti na ahsas-e-masti,
Jidhar chal pada hun chala ja raha hun,

Na soorat na maani na paida na pinhaa'n,
Ee kis husn mein gum hua ja raha hun..!!

"Jigar Muradabadi"

Nazar Mila Ke Mere Paas Aa Ke Loot Liya

Nazar mila ke mere paas aa ke loot liya,
Nazar hati thi ke phir muskura ke loot liya,

Shikast-e-husn ka jalwa dikha ke loot liya,
Nigaah neechi kiye sar jhuka ke loot liya,

Duhaai hai mere Allah ki duhaai hai,
Kisi ne mujh se bhi mujh ko chhupa ke loot liya,

Salaam us pe ke jis ne utha ke parda-e-dil,
Mujhi mein rah ke mujhi mein sama ke loot liya,

Unhin ke dil se koi us ki azmatein poochhe,
Wo ek dil jise sab kuchh luta ke loot liya,

Yahaan to khud teri hasti hai ishq ko darkaar,
Wo aur honge jinhein muskura ke loot liya,

Khusha wo jaan jise di gaui amaanat-e-ishq,
Rahe wo dil jise apna bana ke loot liya,

Nigaah daal di jis par haseen aankhon ne,
Use bhi husn-e-mujassam bana ke loot liya,

Bade wo aaye dil o jaan ke lootne waale,
Nazar se chhed diya gudguda ke loot liya,

Raha kharaab-e-mohabbat hi wo jise tu ne,
Khud apna dard-e-mohabbat dikha ke loot liya,

Koi ye loot to dekhe ke us ne jab chaha,
Tamaam hasti-e-dil ko jaga ke loot liya,

Karishma-saazi-e-husn-e-azal are tauba,
Mera hi aaina mujh ko dikha ke loot liya,

Na lut te hum magar un mast ankhdiyon ne 'Jigar',
Nazar bachaate hue dabdaba ke loot liya.!!

"Jigar Muradabadi"

Na Dekha Rukh Be-naqaab-e-mohabbat

Na dekha rukh be-naqaab-e-mohabbat,
Mohabbat hai shayad hijaab-e-mohabbat,

Barasta hai kaif-e-shabaab-e-mohabbat,
Har aansu hai jaam-e-sharaab-e-mohabbat,

Ajab josh par hai shabaab-e-mohabbat,
Mohabbat hai mast-e-sharaab-e-mohabbat,

Zahe khwaab o tabeer khwaab-e-mohabbat,
Mohabbat hi nikli jawaab-e-mohabbat,

Mujhe kya padi hai tere dar se utthun,
Theharne jo de iztiraab-e-mohabbat,

Dil-e-zarra zarra hai toor-e-tajalli,
Zahe jalwa-e-aftaab-e-mohabbat,

Sabhi uth gaye deeda o dil se parde,
Na uttha magar ek hijaab-e-mohabbat,

Na rakkho gharaz hum se itna hi kah do,
Halaak-e-tabassum kharaab-e-mohabbat,

Lahu ki har ek boond dil ban gayi hai,
Khusha lazzat-e-kaamyab-e-mohabbat,

Hudood-e-mohabbat se bhi badh gaye hum,
Salaamat rahe iztiraab-e-mohabbat..!!

"Jigar Muradabadi"

Laakhon Mein Intikhaab Ke Qaabil Bana Diya

Laakhon mein intikhaab ke qaabil bana diya,
Jis dil ko tum ne dekh liya dil bana diya,

Har-chand kar diya mujhe barbaad ishq ne,
Lekin unhein to shefta-e-dil bana diya,

Pahle kahaan ye naaz the ye ishwa o ada,
Dil ko dua'ein do tumhein qaatil bana diya.!!

"Jigar Muradabadi"
___
Shefta-e-dil = strongly inclined heart,

Koi Ye Kah De Gulshan Gulshan

Koi ye kah de gulshan gulshan,
Laakh bala'ein ek nasheman,

Qaatil rahbar qaatil rahzan,
Dil sa dost na dil sa dushman,

Phool khile hain gulshan gulshan,
Lekin apna apna daaman,

Ishq hai pyaare khel nahin hai,
Ishq hai kaare-sheesha-o-aahan,

Khair mizaaj-e-husn ki ya rab,
Tez bahut hai dil ki dhadkan,

Aa ke na jaane tujh bin kab se,
Rooh hai laasha jism hai madfan,

Aaj na jaane raaz ye kya hai,
Hijr ki raat aur itni raushan,

Umrein beetin sadiyaan guzrin,
Hai wahi ab tak ishq ka bachpan,

Tujh sa haseen aur khoon-e-mohabbat,
Wahm hai shayad surkhi-e-daaman,

Barq-e-hawadis Allah Allah
Jhoom rahi hai shaakh-e-nasheman,

Tu ne sulajh kar gesu-e-jaanaa,
Aur badha di shauq ki uljhan,

Rahmat hogi taalib-e-isyaan,
Rashk karegi paaki-e-daaman,

Dil ki mujassam aaina-saman,
Aur wo zaalim aaina-dushman,

Baithe hum har bazm mein lekin,
Jhaad ke utthe apna daaman,

Hasti-e-shayer Allah Allah,
Husn ki manzil ishq ka maskan,

Rangeen fitrat sada tabiyat,
Farsh-nasheen aur arsh-nasheman,

Kaam adhoora aur aazaadi,
Naam bade aur thode darshan,

Shama hai lekin dhundli dhundli,
Saaya hai lekin raushan raushan,

Kaanton ka bhi haq hai kuchh aakhir,
Kaun chhudaye apna daaman,

Chalti phirti chhanw hai pyaare,
Kis ka sahra kaisa gulshan..!!

"Jigar Muradabadi"

Jo Tufaanon Mein Palte Ja Rahe Hain

Jo tufaanon mein palte ja rahe hain,
Wahi duniya badalte ja rahe hain,

Nikharta aa raha hai rang-e-gulshan,
Khas o khashaak jalte ja rahe hain,

Wahin main khaak udti dekhta hun,
Jahaan chashme ubalte ja rahe hain,

Charagh-e-dair-o-kaaba Allah Allah,
Hawa ki zid pe jalte ja rahe hain,

Shabaab o husn mein bahas aa padi hai,
Naye pahlu nikalte ja rahe hain..!!

"Jigar Muradabadi"

Hum Ko Mita Sake Ye Zamane Mein Dum Nahin

Hum ko mita sake ye zamane mein dum nahin,
Hum se zamana khud hai zamane se hum nahin,

Be-fayeda alam nahin bekaar ghum nahin,
Taufeeq de khuda to ye nemat bhi kam nahin,

Meri zabaan pe shikwa-e-ahl-e-sitam nahin,
Mujh ko jaga diya yahi ahsaan kam nahin,

Ya rab hujoom-e-dard ko de aur wus'atein,
Daaman to kya abhi meri aankhein bhi nam nahin,

Shikwa to ek chhed hai lekin haqeeqatan,
Tera sitam bhi teri inaayat se kam nahin,

Ab ishq us maqaam pe hai justuju-naward,
Saaya nahin jahaan koi naqsh-e-qadam nahin,

Milta hai kyun maza sitam-e-rozgaar mein,
Tera karam bhi khud jo shareek-e-sitam nahin,

Marg-e-'Jigar' pe kyun teri aankhein hain ashk-rez,
Ek saaneha sahi magar itna aham nahin..!! 

"Jigar Muradabadi"
___
Justuju-naward = new search,

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Hi Wafa Yaad

Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad,
Ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad,

Main shikwa ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad,
Shayad ke mere bhoolne waale ne kiya yaad,

Chheda tha jise pahle-pahal teri nazar ne,
Ab tak hai wo ek naghma-e-be-saaz-o-sada yaad,

Jab koi haseen hota hai sargarm-e-nawazish,
Us waqt wo kuchh aur bhi aate hain siwa yaad,

Kya jaaniye kya ho gaya arbaab-e-junoon ko,
Marne ki ada yaad na jeene ki ada yaad,

Muddat hui ek haadsa-e-ishq ko lekin,
Ab tak hai tere dil ke dhadakne ki sada yaad,

Haan haan tujhe kya kaam meri shiddat-e-ghum se,
Haan haan nahin mujh ko tere daaman ki hawa yaad,

Main tark-e-rah-o-rasm-e-junoon kar hi chuka tha,
Kyun aa gayi aise mein teri laghzish-e-pa yaad,

Kya lutf ke main apna pata aap bataaun,
Kijiye koi bhooli hui khaas apni ada yaad.!!

"Jigar Muradabadi"

Dil Ko Sukoon Rooh Ko Aaraam Aa Gaya

Dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya,
Maut aa gayi ke dost ka paighaam aa gaya,

Jab koi zikr-e-gardish-e-ayyaam aa gaya,
Be-ikhtiyaar lab pe tera naam aa gaya,

Ghum mein bhi hai suroor wo hangaam aa gaya,
Shayad ki daur-e-baada-e-gulfaam aa gaya,

Deewangi ho aql ho ummeed ho ke yaas,
Apna wahi hai waqt pe jo kaam aa gaya,

Dil ke muaamlaat mein naaseh shikast kya,
Sau baar husn par bhi ye ilzaam aa gaya,

Sayyaad shadmaan hai magar ye to soch le,
Main aa gaya ke saaya tah-e-daam aa gaya,

Dil ko na poochh maarka-e-husn-o-ishq mein,
Kya jaaniye ghareeb kahaan kaam aa gaya,

Ye kya maqaam-e-ishq hai zaalim ke in dinon,
Aksar tere baghair bhi aaraam aa gaya,

Ahbab mujh se qat-e-talluq karein 'Jigar',
Ab aaftab-e-zeest lab-e-baam aa gaya..!!

"Jigar Muradabadi"
___
Hangaam = time, period, season, location,
Daur-e-baada-e-gulfaam = time of flower-colored wine,
Maarka-e-husn-o-ishq = quarrel between beauty and love,

Dil Ko Sukoon Rooh Ko Aaraam Aa Gaya

Dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya,
Maut aa gayi ke dost ka paighaam aa gaya,

Jab koi zikr-e-gardish-e-ayyaam aa gaya,
Be-ikhtiyaar lab pe tera naam aa gaya,

Ghum mein bhi hai suroor wo hangaam aa gaya,
Shayad ki daur-e-baada-e-gulfaam aa gaya,

Deewangi ho aql ho ummeed ho ke yaas,
Apna wahi hai waqt pe jo kaam aa gaya,

Dil ke muaamlaat mein naaseh shikast kya,
Sau baar husn par bhi ye ilzaam aa gaya,

Sayyaad shadmaan hai magar ye to soch le,
Main aa gaya ke saaya tah-e-daam aa gaya,

Dil ko na poochh marka-e-husn-o-ishq mein,
Kya jaaniye ghareeb kahaan kaam aa gaya,

Ye kya maqaam-e-ishq hai zaalim ke in dinon,
Aksar tere baghair bhi aaraam aa gaya,

Ahbab mujh se qat-e-talluq karein 'Jigar',
Ab aaftab-e-zeest lab-e-baam aa gaya..!!

"Jigar Muradabadi"

Dil Ko Mita Ke Daagh-e-tamanna Diya Mujhe

Dil ko mita ke daagh-e-tamanna diya mujhe,
Ai ishq teri khair ho ye kya diya mujhe,

Mahshar mein baat bhi na zabaan se nikal saki,
Kya jhuk ke us nigaah ne samjha diya mujhe,

Main aur aarzu-e-wisaal-e-pari-rukhaan,
Is ishq-e-sada-lauh ne bahka diya mujhe,

Har baar yaas hijr mein dil ki hui shareek,
Har martaba ummeed ne dhoka diya mujhe,

Allah re tegh-e-ishq ki barham-mazahiyaan,
Mere hi khoon-e-shauq mein nahla diya mujhe,

Khush hun ki husn-e-yaar ne khud apne haath se,
Ek dil-fareb daagh-e-tamanna diya mujhe,

Duniya se kho chuka hai mera josh-e-intizaar,
Aawaz-e-pa-e-yaar ne chaunka diya mujhe,

Daawa kiya tha zabt-e-mohabbat ka ai 'Jigar',
Zaalim ne baat baat pe tadpa diya mujhe..!!

"Jigar Muradabadi"
___
Aarzu-e-wisaal-e-pari-rukhaan = desire of union with fairy-faced,
Ishq-e-sada-lauh = simple-nature d love,
Yaas = Despair, desperation, hopelessness,
Barham-mazahiyaan = angry ridicule, humour,

Wednesday, May 2, 2018

Daastan-e-ghum-e-dil Un Ko Sunaai Na Gayi

Daastan-e-ghum-e-dil un ko sunaai na gayi,
Baat bigdi thi kuchh aisi ki banaai na gayi,

Sab ko hum bhool gaye josh-e-junoon mein lekin,
Ek teri yaad thi aisi jo bhulaai na gayi,

Ishq par kuchh na chala deeda-e-tar ka qaabu,
Us ne jo aag laga di wo bujhaai na gayi,

Pad gaya husn-e-rukh-e-yaar ka partaw jis par,
Khaak mein mil ke bhi us dil ki safaai na gayi,

Kya uthayegi saba khaak meri us dar se,
Ye qayamat to khud un se bhi uthaai na gayi..!!

"Jigar Muradabadi"

Be-kaif Dil Hai Aur Jiye Ja Raha Hun Main

Be-kaif dil hai aur jiye ja raha hun main,
Khaali hai sheesha aur piye ja raha hun main,

Paiham jo aah aah kiye ja raha hun main,
Daulat hai ghum zakaat diye ja raha hun main,

Majboori-e-kamaal-e-mohabbat to dekhna,
Jeena nahin qubool jiye ja raha hun main,

Wo dil kahaan hai ab ki jise pyaar kijiye,
Majbooriyan hain saath diye ja raha hun main,

Rukhsat hui shabaab ke humraah zindagi,
Kahne ki baat hai ke jiye ja raha hun main,

Pahle sharab zeest thi ab zeest hai sharab,
Koi pila raha hai piye ja raha hun main.!!

"Jigar Muradabadi"

Barabar Se Bach Kar Guzar Jaane Waale

Barabar se bach kar guzar jaane waale,
Ye naale nahin be-asar jaane waale..

Nahin jaante kuchh ke jaana kahaan hai,
Chale ja rahe hain magar jaane waale..

Mere dil ki betabiyaan bhi liye ja,
Dabe paanw munh pher kar jaane waale..

Tere ek ishaare pe saakit khade hain,
Nahin kah ke sab se guzar jaane waale..

Mohabbat mein hum to jiye hain jiyenge,
Wo honge koi aur mar jaane waale..!!

"Jigar Muradabadi"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...