Thursday, June 28, 2018

Jo Bhi Mil Jaata Hai Ghar-baar Ko De Deta Hun

Jo bhi mil jaata hai ghar-baar ko de deta hun,
Ya kisi aur talabgaar ko de deta hun..

Dhoop ko deta hun tan apna jhulasne ke liye,
Aur saaya kisi deewaar ko de deta hun..

Jo dua apne liye maangni hoti hai mujhe,
Wo dua bhi kisi ghum-khwaar ko de deta hun..

Mutmaeen ab bhi agar koi nahin hai na sahi,
Haq to main pahle hi haqdaar ko de deta hun..

Jab bhi likhta hun main afsaana yahi hota hai,
Apna sab kuchh kisi kirdaar ko de deta hun..

Khud ko kar deta hun kaaghaz ke hawale aksar,
Apna chehra kabhi akhbaar ko deta hun..

Meri dukaan ki cheezein nahin bikti 'Nazmi',
Itni tafseel kharidaar ko de deta hun.!!

"Akhtar Nazmi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...