Jab kabhi un ki tawajjoh mein kami paai gayi,
Az-sar-e-nau dastaan-e-shauq dohraai gayi..
Bik gaye jab tere lab phir tujh ko kya shikwa agar,
Zindagani baada o saghar se bahlaai gayi..
Ai ghum-e-duniya tujhe kya ilm tere waaste,
Kin bahaanon se tabiyat raah par laai gayi..
Hum karein tark-e-wafa achchha chalo yoon hi sahi,
Aur agar tark-e-wafa se bhi na ruswaai gayi..
Kaise kaise chashm o aariz gard-e-ghum se bujh gaye,
Kaise kaise paikaro'n ki shaan-e-zebaai gayi..
Dil ki dhadkan mein tawazun aa chala hai khair ho,
Meri nazrein bujh gayin ya teri raanaai gayi..
Un ka ghum un ka tasawwur un ke shikwe ab kahaan,
Ab to ye baatein bhi ai dil ho gayin aai gayi..
Jur'at-e-insaan pe go taadeeb ke pahre rahe,
Fitrat-e-insaan ko kab zanjeer pahnaai gayi..
Arsa-e-hasti mein ab tesha-zano'n ka daur hai,
Rasm-e-changezi uthi tauqeer-e-daraai gayi.!!
"Sahir Ludhianwi"
__________
Az-sar-e-nau = anew, afresh, over again, नये सिरे से, फिर से,
Taadeeb = discipline, admonition, correction,
Arsa-e-hasti = a life-time,
Tesha-zano'n = those who wield spade,
Rasm-e-changezi = tradition of Changez,
Tauqeer-e-daraai = value of being Dara-allusion to King Dara,
No comments:
Post a Comment