Showing posts with label Hakeem Nasir. Show all posts
Showing posts with label Hakeem Nasir. Show all posts

Sunday, January 19, 2020

Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi

Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi, 

is Qadar Uljhan Mein Pahle Zindagi Dekhi Na Thi.. 

Ye Tamasha Bhi Ajab Hai Un Ke Uth Jaane Ke Baad, 

Main Ne Din Mein Is Se Pahle Teergi Dekhi Na Thi.. 

Aap Kya Aaye Ke Rukhsat Sab Andhere Ho Gaye, 

Is Qadar Ghar Mein Kabhi Bhi Raushni Dekhi Na Thi.. 

Aap Se Aankhein Mili Thin Phir Na Jaane Kya Hua, 

Log Kahte Hain Ke Aisi Be-khudi Dekhi Na Thi.. 

Mujh Ko Rukhsat Kar Rahe Hain Wo Ajab Andaaz Se, 

Aankh Mein Aansu Labon Par Ye Hansi Dekhi Na Thi.. 

Kis Qadar Khush Hun Main 'Nasir' Un ko Pa Lene Ke Baad, 

Aisa Lagta Hai Kabhi Aisi khushi Dekhi Na Thi.!! 


"Hakeem Nasir" 

______________________________

عشق کر کے دیکھ لی جو بے بسی دیکھی نہ تھی

اس قدر الجھن میں پہلے زندگی دیکھی نہ تھی

یہ تماشا بھی عجب ہے ان کے اٹھ جانے کے بعد

میں نے دن میں اس سے پہلے تیرگی دیکھی نہ تھی

آپ کیا آئے کہ رخصت سب اندھیرے ہو گئے

اس قدر گھر میں کبھی بھی روشنی دیکھی نہ تھی

آپ سے آنکھیں ملی تھیں پھر نہ جانے کیا ہوا

لوگ کہتے ہیں کہ ایسی بے خودی دیکھی نہ تھی

مجھ کو رخصت کر رہے ہیں وہ عجب انداز سے

آنکھ میں آنسو لبوں پر یہ ہنسی دیکھی نہ تھی

کس قدر خوش ہوں میں ناصرؔ ان کو پا لینے کے بعد

ایسا لگتا ہے کبھی ایسی خوشی دیکھی نہ تھی

______________________________ 

इश्क़ कर के देख ली जो बेबसी देखी थी

इस क़दर उलझन में पहले ज़िंदगी देखी थी

ये तमाशा भी अजब है उन के उठ जाने के बाद

मैं ने दिन में इस से पहले तीरगी देखी थी

आप क्या आए कि रुख़्सत सब अंधेरे हो गए

इस क़दर घर में कभी भी रौशनी देखी थी

आप से आँखें मिली थीं फिर जाने क्या हुआ

लोग कहते हैं कि ऐसी बे-ख़ुदी देखी थी

मुझ को रुख़्सत कर रहे हैं वो अजब अंदाज़ से

आँख में आँसू लबों पर ये हँसी देखी थी

किस क़दर ख़ुश हूँ मैं 'नासिर' उन को पा लेने के बाद

ऐसा लगता है कभी ऐसी ख़ुशी देखी थी.



Thursday, June 8, 2017

Jab Se Tu Ne Mujhe Deewana Bana Rakha Hai

Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai,
Sang har shakhs ne haatho'n main
utha rakha hai,

Us ke dil par bhi kadi ishq main guzri ho gi,
Naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hai,

Patthro'n aaj mere sar pe baraste kyoon ho,
Main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai,

Ab meri deed ki duniya bhi tamashaai hai,
Tu ne kya mujh ko mohabbat main bana rakha hai,

Pi ja ayyaam ki talkhi ko bhi hans kar "Nasir",
Ghum ko sahne main bhi qudrat ne maza rakha hai..!!

"Hakeem Nasir"

جب سے تو نے مجھے دیوانہ بنا رکھا ہے
سنگ ہر شخص نے ہاتھوں میں اٹھا رکھا ہے

اس کے دل پر بھی کڑی عشق میں گزری ہوگی
نام جس نے بھی محبت کا سزا رکھا ہے

پتھرو آج مرے سر پہ برستے کیوں ہو
میں نے تم کو بھی کبھی اپنا خدا رکھا ہے

اب مری دید کی دنیا بھی تماشائی ہے
تو نے کیا مجھ کو محبت میں بنا رکھا ہے

پی جا ایام کی تلخی کو بھی ہنس کر ناصرؔ
غم کو سہنے میں بھی قدرت نے مزا رکھا ہے..!!

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...