Tuesday, June 26, 2018

Hiraas

* Nazm *
__________

Tere honthon pe tabassum ki wo halki si lakeer,
Mere takh'eel mein rah rah ke jhalak uthti hai...

Yoon achanak tere aariz ka khyaal aata hai,
Jaise zulmat mein koi shama bhadak uthti hai...

Tere pairahan-e-rangeen ki junoon-khez mahak,
Khwab ban ban ke mere zehn mein lahraati hai...

Raat ki sard khamoshi mein har ek jhonke se,
Tere anfaas tere jism ki aanch aati hai...

Main sulagte hue raazo'n ko ayaan to kar dun,
Lekin un raazo'n ki tash'heer se ji darta hai...

Raat ke khwaab ujaale mein bayaan to kar dun,
Un haseen khwaabon ki tabeer se ji darta hai...

Teri saanson ki thakan teri nigaahon ka sukoot,
Dar-haqeeqat koi rangeen shararat hi na ho...

Main jise pyaar ka andaaz samajh baitha hun,
Wo tabassum wo takallum teri aadat hi na ho...

Sochta hun ke tujhe mil ke main jis soch mein hun,
Pahle us soch ka maqsoom samajh lun to kahun...

Main tere shahr mein anjaan hun pardesi hun,
Tere altaaf ka mafhoom samajh lun to kahun...

Kahin aisa na ho paanw mere tharra jaayen,
Aur teri marmareen baanhon ka sahaara na mile...

Ashk bahte rahein khamosh siyaah raaton mein,
Aur tere reshmi aanchal ka kinara na mile.!!

"Sahir Ludhianwi"
__________

Takh'eel = imagination,
Junoon-khez = frenzy enhancing,
Anfaas = breath, plof nafs,
Tash'heer = publicity,
Takallum = conversation, talking, speaking,
Maqsoom = divided, distributed, allotted, a portion,
Altaaf = favours, kindness, pity,
Mafhoom = meaning, sense, tenor,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...