Meri taqdeer mein jalna hai to jal jaaunga,
Tera waada to nahin hun jo badal jaaunga..
Soz bhar do mere sapne mein ghum-e-ulfat ka,
Main koi mom nahin hun jo pighal jaaunga..
Dard kahta hai ye ghabra ke shab-e-furqat mein,
Aah ban kar tere pahlu se nikal jaaunga..
Mujh ko samjhao na 'Sahir' main ek din khud hi,
Thokarein kha ke mohabbat mein sambhal jaaunga.!!
"Sahir Ludhianwi"
No comments:
Post a Comment