Posts

Showing posts from November, 2017

Kisi Bewafa Ki Khaatir

Image
Kisi Bewafa Ki Khaatir Ye junoo'n "Faraz" Kab Tak... Jo Tumhein Bhula Chuka Hai Use Tum Bhi Bhool Jaao... Ye Udaasiya'n Ke Mausam Yunhi Raayegaa'n Na Jaayein... Kisi Yaad Ko Pukaaro Kisi Dard Ko Jagaao..!! ________________________

Kahaan Ho Tum, Chaley Aao

Image
Kahaan Ho Tum, Chaley Aao Mohabbat Ka Taqaaza Hai... Ghum-e-Duniya Se Ghabra Kar Tumhein Dil Se Pukaara Hai... Ye Tumhaari Be-rukhi Ek Din Humaari Jaan Le Legi... Qasam Tum Ko Zara Socho Ke.. Dastoor-e-Wafa Kya Hai..!! ____________________________ کہاں ہو تم چلے آو محبت کا تقاضا پے غم دنیا سے گھبرا کر تمہیں دل نے پکارا ہے یہ تمهاری بےرخی اک دن ہماری جان لے لے گی قسم تم کو زرا سوچو کہ دستور وفا کیا ہے...

Jo Mujh Se Poochha Hai Aaj Tum Ne

Jo Mujh Se Poochha Hai Aaj Tum Ne Ke Main Tumhaara Hoon Kya, Bataaun.! To Khud Hi Socho...Tum Ek Pal Ko Bhala Main Kaise Tumhein Bataaun, Hai Tum Se Mera Wahi Ta'alluq..... Jo Apne Saaye Se Hai Shajar Ka Wahi Jo Khursheed Se Qamar Ka Gulo'n Se Hota Hai Jo Mahak Ka, Kisi Ki Aankho'n Ke Mast Doro'n Se Us Ke Mahboob Ki Jhalak Ka..... Main Hoon Badan To Tum Us Ki Jaa'n Ho, Bahaar Mausam Ke Tarjumaa'n Ho, Lahoo Ki Soorat Meri Rago'n Mein Har Ek Lamhey Rawaa'n Rawaa'n Ho, Namaaz Hoon Main To Tum Azaa'n Ho, Makeen Hoon Main To Tum Makaa'n Ho, Zameen Hoon Main Tum Aasmaa'n Ho, Wahi Hai Ta'alluq Tum Se Mera Jo Dil Se Hota Hai Dhadkano'n Ka Khumaar Se Hai Jo May-kasho'n Ka Jo Shaayero'n Se Hai Mahwisho'n Ka Jo Husn Waalon Se Diljalo'n Ka Hai Zahd Se Bhi Jo Zaahido'n Ka Jo Raasto'n Se Hai Manzilo'n Ka Jo Manzilo'n Se Hai Rahbaro'n Ka Azal Se Dharti Se Parwato'n Ka Wahi Jo Saag

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Ke

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Ke Chaahat Ke Kashkaul Utha Ke Dar Dar Phirna Theek Nahi Suno Mohabbat Bheekh Nahi.. رنج و الم کے ڈھول بجا کے چاھت کے کشکول اٹھا کے در در پھرنا ٹھیک نہیں سنو محبت بھیک نہیں..

Mainey Is Taur Se Chaaha Hai Tujhey

Mainey Is Taur Se Chaaha Hai Tujhey Aksar Jaanaa, Jaisey Mahtaab Ko Be-ant Samandar Chaahey, Jaisey Sooraj Ki Kiran Seep Ke Dil Mein Utrey, Jaisey Khushboo Ko Hawa Rang Se Hatt Kar Chaahey, Jaisey Patthar Ke Kalejey Se Kiran Phoot'ti Hai, Jaisey Gunchey Khiley Mausam Se Hina Maangtey Hain, Jaisey Khwaabo'n Mein Khyaalo'n Ki Kamar Toot’ti Hai, Jaisey Baarish Ki Dua Aabla-paa Maangtey Hain, Mera Har Khwaab Mere Sach Ki Gawaahi Dega, Was'at-e-deed Ne Tujh Se Teri Khwaahish Ki Hai, Meri Socho'n Mein Kabhi Dekh Saraapa Ban Kar, Mainey Duniya Se Alag Teri Parastish Ki Hai, Kashish-e-deed Ka Mausam Jo Kabhi Dhundhla Hua, Nauch Daali Hain Zamaane Ki Naqaabein Mainey, Teri Palko'n Pe Utarti Hui Subaho'n Ke Liye, Tod Daali Hain Sitaaro'n Ki Tanaabein Mainey, Mainey Chaaha Ke Tere Husn Ki Gulnaar Fizaa, Meri Ghazlo'n Ki Qataaro'n Se Dahakti Jaaye, Mainey Chaaha Ke Mere Fun Ke Gulistaa'n Ki Hawa, Teri Aankho'n Ke Gulaabo'n Se M

Ek To Husn Balaa Ka Us Pe Banawat Aafat

Ek To Husn Balaa Ka Us Pe Banaawat Aafat, Ghar Bigadenge Hazaaron Ke, Sanwarne Waale... Hashr Mein Lutf Ho Jo In Se Hon Do Do Baatein, Wo Kahein, Kaun Ho Tum.?..Hum Kahein, Marne Waale, Qatl Hongey Tere Haathon, Se Khushi Is Ki Hai, Aaj Itraaye Hue Phirte Hain, Marne Waale..!! ایک تو حسن بلا کا اس پہ بناوٹ آفت گھر بگاڑیں گے ہزاروں کے سنورنے والے.. حشر میں لطف ہو جب ان سے ہوں دو دو باتیں وہ کہیں، کون ہو تم؟ ہم کہیں، مرنے والے.. قتل ہوں گے ترے ہاتھوں سے خوشی اس کی ہے آج اترائے ہوئے پھرتے ہیں مرنے والے... ______________________________

Churaao Nazrein Chhudaao Daaman

Churaao Nazrein, Chhudaao Daaman, Badal Ke Rasta Badhaao Uljhan, Tumhein Duaao'n Se Phir Bhi Mainey Jo Pa Liya, To Kya Karoge.?.. ﭼُﺮﺍﺅ ﻧﻈﺮﯾﮟ، ﭼُﮭﮍﺍﺅ ﺩﺍﻣﻦ ﺑﺪﻝ ﮐﮯ ﺭﺳﺘﮧ ، ﺑﮍﮬﺎﺅ ﺍُﻟﺠﮭﻦ ﺗﻤﮭﯿﮟ ﺩﻋﺎﺅﮞ ﺳﮯ ﭘﮭﺮ ﺑﮭﯽ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ، ﺟﻮ ﭘﺎﻟﯿﺎ،ﺗﻮ ﮐﯿﺎ ﮐﺮﻭ ﮔﮯ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ _____________________________

Ye Jo Mujh Par Nikhaar Hai Saai'n

Ye Jo Mujh Par Nikhaar Hai Saai'n, Aap Hi Ki Bahaar Hai Saai'n, Aap Chaahein To Jaan Bhi Le Lein, Aap Ko Ikhtiyaar Hai Saai'n Tum Milaate Ho Bichhade Logo'n Ko Ek Mera Bhi Yaar Hai Saai'n, Kisi Khoonte Se Baandh Dijiye Ise Dil Shatar Hai Muhaar Hai Saai'n, Ishq Mein Laghzisho'n Pe Kijiye Muaaf Saai'n.!  Ye Pahli Baar Hai Saai'n, Kul Mila Kar Hai Jo Bhi Kuch Mera Aap Se Musta'aar Hai Saai'n, Ek Kashti Bana Hi Dijiye Mujhe Koi Dariya Ke Paar Hai Saai'n, Roz Aansu Kamaa Ke Laata Hoon Ghum Mera Rozgaar Hai Saai'n, Was'at-e-rizq Ki Duaa Dijiye Dard Ka Kaarobaar Hai Saai'n, Khaar-Zaaro'n Se Ho Ke Aaya Hoon Pairahan Taar Taar Hai Saai'n, Kabhi Aa Kar To Dekhiye Ke Ye Dil Kaisa Ujda Dayaar Hai Saai'n..!! یہ جو مُجھ پر نکھار ہے سائیں آپ ہی کی بہار ہے سائیں.. آپ چاہیں تو جان بھی لے لیں آپ کو اختیار ہے سائیں.. تُم مِلاتے ہو بچھڑے لوگوں کو ایک میرا بھی یار ہے سائیں.. کسی کھونٹے سے باندھ دیجے اِسے د

Safar Mein Shaam Hone Tak

Safar Mein Shaam Hone Tak To Mere Saath Rah Jaao, Naya Manzar Ubharne Tak To Mere Saath Rah Jaao..... Lahoo Roti Hui Aankhen Tere Qadmo'n Se Lipti Hain Mere Aansu Theharne Tak.. To Mere Saath Rah Jaao, Tumhein Ma'aloom Hai Mujh Ko Khizaa'n Se Khauf Aata Hai So Ye Mausam Guzarne Tak To Mere Saath Rah Jaao, Phir Is Ke Baad Dekho Jahaa'n Chaahe Chale Jaana Meri Saansein Bikharne Tak To Mere Saath Rah Jaao..!! _____________________________

Mohabbat Ek Jazba Hai

Mohabbat Ek Jazba Hai, Jo Bas Mahsoos Hota Hai, Bhala Batlaaye Us Ko Kaun Aur Kab Ye Bayaa'n Hogi, Magar Hum Tum Jahaan Honge Mohabbat Darmiyaa'n Hogi..!! محبت ایک جزبہ ہے جو بس محسوس ہوتا ہے بهلا بتلائے اس کو کون اور کب یہ بیاں ہو گی مگر ہم تم جہاں ہوں گے محبت درمیاں ہو گی..

Tumhaare Paas Jaane Ka Iraada

Tumhaare Paas Jaane Ka Iraada Jab Bhi Karta Hoon, Mujhe..... Baarish, Hawa, Ye Jharney, Aabshaarein Bhi Hamesha Rok Deti Hain..!.. Na Jaane In Ko Kya Darr Hai.?.. Inhein Shayad Gumaa'n Hai Ye Tumhaare Paas Aate Hi Main Sab Kuch Bhool Jaaunga... Faqat Jo Yaad Rakhunga Wo Chehra Tumhaara Hai Wo Baatein Tumhaari Hain Meri In Nigaaho'n Mein Wo Aankhein Tumhaari Hain... Na Jaane In Ko Darr Hai Kyoon.?.. Ke Main Jab Bhi...Tum Tak Aaunga To Sab Kuch Bhool Jaaunga..!! ______________________________

Mujhe Mahsoos Hota Hai

Mujhe Mahsoos Hota Hai Wo Bilkul Mere Jaisa Hai... Ke Jaise Aks Paani Mein Ya Saaya Ru-ba-ru Mere, Wahi Lahja Wahi Baatein, Wahi Aankho'n Se Hans Dena, Kabhi Jo Roothna To Be-rukhi Ki Hadd Hi Kar Dena... Kabhi Aankho'n Ke Raste Se Kahi'n Dil Mein Utar Jaana, Kabhi Be-chain Rakhna Khud Ko Mujh Ko Bhi Saza Dena... Kabhi Ek Pal Mein Hans Dena Meri Duniya Saja Dena Kabhi To Barf Sa Lahja Nigaah Bhi Sard Kar Lena... Kabhi Titli Ke Saare Rang Mere Daaman Mein Bhar Dena Mujhe Aksar Ye Lagta Hai Wo Bilkul Mere Jaisa Hai..!! __________________________ مجهے محسوس ہوتا ہے وہ بلکل میرے جیسا ہے کہ جیسے عکس پانی میں یا سایہ روبرو میرے وہی لہجہ وہی باتیں وہی آنکهوں سے ہنس دینا کبهی جو روٹهنا تو بے رخی کی حد ہی کر دینا کبهی آنکهوں کے رستے سے کہیں دل میں اتر جانا کبهی بے چین رکهنا خود کو مجهکو بهی سزا دینا کبهی اک پل میں ہنس دینا مری دنیا سجا دینا کبهی تو برف سا لہجہ نگاہ بهی سرد کر لینا کبهی تتلی کے سارے رنگ مرے دامن میں بهر دینا مجهے اکثر یہ لگتا ہے

Suno...Tum Se Ye Kahna Hai

Suno..!... Tum Se Ye Kahna Hai... Ke Tum Meri Mohabbat Se Kabhi Mat Bad-Gumaa'n Hona..... Ke Meri Zindgaani Ke Sabhi Raste...Jo Sach Poochho Tumhari Simt Aate Hain, Main Tum Se Door Rah Paau'n Ye Ab Mumkin Nahi Jaanaa... Suno..!.... Ahd-e-Mohabbat Ki Mujhe Tajdeed Karni Hai... Puraani Baat Hai Lekin Mujhe Phir Bhi Ye Kahni Hai, Mujhe Tum Se Mohabbat Thi Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Har Ek Mausam Tumhaara Hai, Tumhaara Saath Pyaara Hai..!! ____________________________ ﺳﻨﻮ !!۔۔۔۔۔۔۔۔، ﺗﻢ ﺳﮯ ﯾﮧ ﮐﮩﻨﺎ ﮬﮯ ﮐﮧ ﺗﻢ ﻣﯿﺮﯼ ﻣﺤﺒﺖ ﺳﮯ ﮐﺒﮭﯽ ﻣﺖ ﺑﺪﮔﻤﺎﮞ ﮬﻮﻧﺎ ﮐﮧ ﻣﯿﺮﯼ ﺯﻧﺪﮔﺎﻧﯽ ﮐﮯ ﺳﺒﮭﯽ ﺭﺳﺘﮯ...ﺟﻮﺳﭻ ﭘﻮﭼﮭﻮ ﺗﻤﮭﺎﺭﯼ ﺳﻤﺖ ﺁﺗﮯ ﮬﯿﮟ ﻣﯿﮟ ﺗﻢ ﺳﮯ ﺩﻭﺭ ﺭﻩ ﭘﺎﺅﮞ ﯾﮧ ﺍﺏ ﻣﻤﮑﻦ ﻧﮩﯿﮟ ﺟﺎﻧﺎﮞ ﺳﻨﻮ !!۔۔۔۔۔، ﻋﻬﺪ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﯽ ﻣﺠﮭﮯ ﺗﺠﺪﯾﺪ ﮐﺮﻧﯽ ﮬﮯ ﭘﺮﺍﻧﯽ ﺑﺎﺕ ﮬﮯ ﻟﯿﮑﻦ ﻣﺠﮭﮯ ﭘﮭﺮ ﺑﮭﯽ ﯾﮧ ﮐﮩﻨﯽ ﮬﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﺗﮭﯽ، ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﮬﮯ ﮬﺮ ﺍﮎ ﻣﻮﺳﻢ ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﮬﮯ ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﺳﺎﺗﮫ ﭘﯿﺎﺭﺍ ﮬﮯ!!۔۔۔،

Tum Der Se Aaye Mujhe Samjhane

Tum Der Se Aaye Mujhe Samjhane Azeezaa'n... Us Shakhs Ko To Apna Khuda Kar Bhi Chuka Main... Ye Ishq Nahi Zaayeqa-tul-Maut Hai Saahab... Aur Main To Ise Chakh Bhi Chuka, Mar Bhi Chuka Main..!! _________________________

Koi Atka Hua Hai Pal Shayad

Koi Atka Hua Hai Pal Shayad Waqt Mai Pad Gaya Bal Shayad, Dil Agar Hai To Dard Bhi Hoga Is Ka Koi Nahi Hai Hal Shayad, Chaand Doobey To Chaand Hi Nikley Aap Ke Paas Hoga Hal Shayad, Aa Rahi Hai Jo Chaap Qadmo'n Ki Khil Rahey Hain Kahi'n Kanwal Shayad..!! کوئ اٹکا ہوا ہے پل شاید وقت میں پڑ گیا بل شاید دل اگر ہے تو درد بھی ہو گا اس کا کوئ نہیں ہے حل شاید چاند ڈوبے تو چاند ہی نکلے آپ کے پاس ہو گا حل شاید آ رہی ہے جو چاپ قدموں کی کھِل رہے ہیں کہیں کنول شاید.. _______________________

Bahut Chhoti Si Hasrat Hai

Bahut Chhoti Si Hasrat Hai Bahut Paakeeza Chaahat Hai Gawaah Kar Ke Sitaaro'n Ko Gagan Ke Sab Kinaaro'n Ko Faqat Itna Sa Kahna Hai Mujhe Tum Se Mohabbat Hai..!! بہت چھوٹی سی حسرت ھے، بہت پاکیزہ چاھت ھے، گواہ کرکے ستاروں کو، گگن کے سب کناروں کو، فقط اتنا سا کہنا ھے، مجھے تم سے محبت ھے.....!

Sitaarey Jo Damaktey Hain

Sitaarey Jo Damaktey Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairaa'n Mein Mulaqaatein Jo Hoti Hain Jamaal-e-Abr-o-Baaraa'n Mein Ye Na-aabaad Waqto'n Mein Dil-e-nashaad Mein Hongi Mohabbat Ab Nahi Hogi Ye Kuch Din Baad Mein Hogi Guzar Jaayenge Jab Ye Din Ye Un Ki Yaad Mein Hogi..!! -Muneer Niyaazi- ستا رے جو دمکتے ہیں کِسی کی چشمِ حیراں میں ملا قاتیں جو ہوتی ہیں جمال ابر و باراں میں یہ نا آباد وقتوں میں دل نا شاد میں ہوں گی محبت اب نہیں ہو گی یہ کچھ دن بعد میں ہو گی گزر جائیں گے جب یہ دن یہ اُن کی یاد میں ہو گی "منیر نیازی"

Mujhe Achcha Lagta Hai

Mujhe Achcha Lagta Hai.!.. Tumhaare Sang Sang Chalna... Wafa Ki Aag Mein Jalna... Tumhein Naraaz Kar Dena... Kabhi Naraaz Ho Jaana... Tumhaari Be-rukhi Par Bhi Tumhaari Aarzoo Karna... Khud Apne Dil Ki Dhadkan Se Tumhaari Guftugoo Karna... Mujhe Achcha Lagta Hai.!.. Tumhi'n Ko Dekhte Rahna, Tumhi'n Ko Sochte Rahna, Bahut Gahre Khyaalo'n Mein, Sawaalo'n Mein Jawaabo'n Mein, Mohabbat Ke Hawaalo'n Mein Tumhaare Naam Ka Aana Mujhe Achcha Lagta Hai..!! ___________________________ ﻣﺠﮭﮯ ﺍﭼﮭﺎ ﻟﮕﺘﺎ ﮬﮯ " ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺳﻨﮓ ﺳﻨﮓ ﭼﻠﻨﺎ .. ﻭﻓﺎ ﮐﯽ ﺁﮒ ﻣﯿﮟ ﺟﻠﻨﺎ ....... ﺗﻤﮩﯿﮟ ﻧﺎﺭﺍﺽ ﮐﺮ ﺩﯾﻨﺎ ..... ﮐﺒﮭﯽ ﻧﺎﺭﺍﺽ ﮬﻮ ﺟﺎﻧﺎ ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺑﮯﺭﺧﯽ ﭘﺮ ﺑﮭﯽ ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺁﺭﺯﻭ ﮐﺮﻧﺎ ﺧﻮﺩ ﺍﭘﻨﮯ ﺩﻝ ﮐﯽ ﺩﮬﮍﮐﻦ ﺳﮯ ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﮔﻔﺘﮕﻮ ﮐﺮﻧﺎ" ﻣﺠﮭﮯ ﺍﭼﮭﺎ ﻟﮕﺘﺎ ﮬﮯ " ﺗﻤﮩﯽ ﮐﻮ ﺩﯾﮑﮭﺘﮯ ﺭﮬﻨﺎ ﺗﻤﮩﯽ ﮐﻮ ﺳﻮﭼﺘﮯ ﺭﮬﻨﺎ ﺑﮩﺖ ﮔﮩﺮﮮ ﺧﯿﺎﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﺍﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺟﻮﺍﺑﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﮯ ﺣﻮﺍﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﻧﺎﻡ ﮐﺎ ﺁﻧﺎ" ﻣﺠﮭﮯ ﺍﭼﮭﺎ ﻟﮕﺘﺎ ﮬﮯ !!!! _______________________

Baarish Ki Barasti Boondo'n Ne

Baarish Ki Barasti Boondo'n Ne Jab Dastak Di Darwaazey Par Mahsoos Hua Tum Aaye Ho Andaaz Tumhaare Jaisa Tha..... Hawa Ke Halke Jhounke Ki Jab Aahat Paayi Khidki Par Mahsoos Hua Tum Guzre Ho Ahsaas Tumhaare Jaisa Tha..... Maine Girti Boondo'n Ko Rokna Chaaha Haatho'n Par Ek Sard Sa Phir Ahsaas Hua Wo Lams Tumhaare Jaisa Tha..... Tanha Main Chala Phir Baarish Mein Tab Ek Jhounke Ne Saath Diya Main Samjha Tum Ho Saath Mere Wo Saath Tumhaare Jaisa Tha..!! ﺑﺎﺭﺵ ﮐﯽ ﺑﺮﺳﺘﯽ ﺑﻮﻧﺪﻭﮞ ﻧﮯ ﺟﺐ ﺩﺳﺘﮏ ﺩﯼ ﺩﺭﻭﺍﺯﮮ ﭘﺮ ﻣﺤﺴﻮﺱ ﮨﻮﺍ ﺗﻢ ﺁﺋﮯ ﮨﻮ ﺍﻧﺪﺍﺯ ﺗﻤﮭﺎﺭﮮ ﺟﯿﺴﺎ ﺗﮭﺎ... ﮨﻮﺍ ﮐﮯ ﮨﻠﮑﮯ ﺟﮭﻮﻧﮑﮯ ﮐﯽ ﺟﺐ ﺁﮨﭧ ﭘﺎﺋﯽ ﮐﮭﮍﮐﯽ ﭘﺮ ﻣﺤﺴﻮﺱ ﮨﻮﺍ ﺗﻢ ﮔﺰﺭﮮ ﮨﻮ ﺍﺣﺴﺎﺱ ﺗﻤﮭﺎﺭﮮ ﺟﯿﺴﺎ ﺗﮭﺎ... ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﮔﺮﺗﯽ ﺑﻮﻧﺪﻭﮞ ﮐﻮ ﺭﻭﮐﻨﺎ ﭼﺎﮨﺎ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﭘﺮ ﺍﯾﮏ ﺳﺮﺩ ﺳﺎ ﭘﮭﺮ ﺍﺣﺴﺎﺱ ﮨﻮﺍ ﻭﮦ ﻟﻤﺲ ﺗﻤﮭﺎﺭﮮ ﺟﯿﺴﺎ ﺗﮭﺎ... ﺗﻨﮩﺎ ﻣﯿﮟ ﭼﻼ ﭘﮭﺮ ﺑﺎﺭﺵ ﻣﯿﮟ ﺗﺐ ﺍﯾﮏ ﺟﮭﻮﻧﮑﮯ ﻧﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﺩﯾﺎ ﻣﯿﮟ ﺳﻤﺠﮭﺎ ﺗﻢ ﮨﻮ ﺳﺎﺗﮫ ﻣﯿﺮﮮ ﻭﮦ ﺳﺎﺗﮫ ﺗﻤﮭﺎﺭﮮ ﺟﯿﺴﺎ ﺗﮭﺎ... ____________________

Chalo Hum Maan Jaatey Hain

Chalo Hum Maan Jaatey Hain Tera Jaana Zaroori Hai..... To Kya Ye Bhi Zaroori Hai.?.. Ke Rishtey Tod Ke Jaao, Chalo Ye Farz Bhi Kar Lein..... Humein Tum Chhod Jaaogey, To Kya Aisa Bhi Mumkin Hai.?.. Humein Tum Bhool Bhi Jaao, Ta'alluq Tod Deney Se... Kisi Ko Chhod Deney Se... Rafaaqat Darr Nahi Jaati, Mohabbat Mar Nahi Jaati..!! ﭼﻠﻮ ﮨﻢ ﻣﺎﻥ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﺗﺮﺍ ﺟﺎﻧﺎ ﺿﺮﻭﺭﯼ ﮬﮯ ﺗﻮ ﮐﯿﺎ ﯾﮧ ﺑﮭﯽ ﺿﺮﻭﺭﯼ ﮬﮯ ﮐﮧ ﺭﺷﺘﮯ ﺗﻮﮌ ﮐﮯ ﺟﺎﺅ ﭼﻠﻮ ﯾﮧ ﻓﺮﺽ ﺑﮭﯽ ﮐﺮ ﻟﯿﮟ ﮨﻤﯿﮟ ﺗﻢ ﭼﮭﻮﮌ ﺟﺎﺅ ﮔﮯ ﺗﻮ ﮐﯿﺎ ﺍﯾﺴﺎ ﺑﮭﯽ ﻣﻤﮑﻦ ﮬﮯ ﮨﻤﯿﮟ ﺗﻢ ﺑﮭﻮﻝ ﺑﮭﯽ ﺟﺎﺅ ﺗﻌﻠﻖ ﺗﻮﮌ ﺩﯾﻨﮯ ﺳﮯ ،،، ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﭼﮭﻮﮌ ﺩﯾﻨﮯ ﺳﮯ ﺭﻓﺎﻗﺖ ﮈﺭ ﻧﮩﯿﮟ ﺟﺎﺗﯽ ﻣﺤﺒﺖ ﻣﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺟﺎﺗﯽ..

Udaas Lamho'n, Kabhi Bataao

Udaas Lamho'n... Kabhi Bataao, Ke Mere Haatho'n Ki Ghum Mein Doobi Hui Lakeero'n Mein Kya Khushi Ki Koi Ghadi Hai, Hai Ret Aankho'n Mein, Khaar Dil Mein Thakan Kalejey Se Aa Lagi Hai, Udaas Lamho'n... Mein Thak Gaya Hoon, Khushi Ka Thoda Sa Daan De Do, Mujhe Mohabbat Ka Maan De Do..!! ﺍﺩﺍﺱ لمحو ﮐﺒﮭﯽ ﺑﺘﺎﺅ ﮐﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﮐﯽ ﻏﻢ ﻣﯿﮟ ﮈﻭﺑﯽ ﮨﻮﺋﯽ ﻟﮑﯿﺮﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﮐﯿﺎ ﺧﻮﺷﯽ ﮐﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﮔﮭﮍﯼ ﮨﮯ ﮨﮯ ﺭﯾﺖ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ, ﺧﺎﺭ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﺗﮭﮑﻦ ﮐﻠﯿﺠﮯ ﺳﮯ ﺁ ﻟﮕﯽ ﮨﮯ ﺍﺩﺍﺱ ﻟﻤﺤﻮ ﻣﯿﮟ ﺗﮭﮏ ﮔﯿﺎ ﮨﻮﮞ ﺧﻮﺷﯽ ﮐﺎ ﺗﮭﻮﮌﺍ ﺳﺎ ﺩﺍﻥ ﺩﮮ ﺩﻭ ﻣﺠﮭﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﻣﺎﻥ ﺩﮮ ﺩﻭ..!! ________________________

Wo Aksar Mujh Se Kahti Hai

Wo Aksar Mujh Se Kahti Hai Mujhe Mat Is Qadar Chaaho Ke Main Ek Aam Si Ladki Hoon Tumhaari Aadato'n Si Koi Bhi Aadat Nahi Mujh Mein, Na Sheyr-o-shayeri Se Koi shaghaf Hai Aur Na Mausam Mere Dil Ko Bahut Be-chain Kartey Hai, Na Boondo'n Mein Mujhe Mauseeqiyat Mahsoos Hoti Hai, Na Mujh Ko Chaad-Raato'n Ka Fusoo'n Paagal Banaata Hai, Tumhaari Aadato'n Si Koi Bhi Aadat Nahi Mujh Mein, Mujhe Mat Is Qadar Chaaho Wo Aksar Mujh Se Kahti Hai Magar Us Ki Nigaaho'n Se Ye Sachchaai Chhalakti Hai Agarche Ek Bhi Aadat Meri Us Ki Nahi Milti, Magar Ek Mushtarak Jazba Jo Hum Mein Saans Leta Hai, Usey Mahsoos Hota Hai Usey Meri, Mere Honey, Meri Chaahat Ki Aadat Hai, Usey Mujh Se Bahut Zyaada, Bahut Zyaada Mohabbat Hai, Mujhe Wo Aam Si Ladki Bahut Hi Khaas Lagti Hai, Jisey Na Shayeri Se Kuch Shaghaf Hai Aur Na Mausam Usey Be-chain Rakhtey Hain, Usey Kaise Bataaun Main, Ke Main Lafzo'n Mein Us Ki Har Adaa Tasweer Karta Hoon, Main Jo Tahreer Karta Hoon Us

Meri Rooh Ka Teri Zaat Tak

Meri Rooh Ka Teri Zaat Tak..... Ye Mera Safar...Nahi Mukhtasir... Mere Ajnabi, Mere Aashna, Mere Be-khabar, Yahaan Har Qadam Pe Hain Wahshatein, Yahaan Saans Saans Mein Khaar Hain... Teri Sard-mehri O Be-rukhi Ke Hazaaro'n Teer Zahar Bujhey... Jo Jigar Se Rooh Ke Paar Hain.!.. Mera Bas Nahi Ke Palat Sakoo'n Kisi Mod Par... Kuch Pal Ruk Ke Hi Soch Loo'n, Tujhey Jazb-e-dil Se Pukaar Loo'n Tujhey Door Jaaney Se Rok Loo'n... Tujhey Apne Dil Ke Tamaam Rang Haseen Jazbey, Khuloos-e-pal Jo Amaanatan Mere Paas Hain Sab Ek Baar Hi Saunp Doo'n..... Par Kya Karoo'n.?..... Teri Zaat Se Meri Zaat Tak... Ye Mera Safar...Nahi Mukhtasir..!! ﻣﯿﺮﯼ ﺭﻭﺡ ﮐﺎ ﺗﯿﺮﯼ ﺫﺍﺕ ﺗﮏ۔۔۔۔ ﯾﮧ ﻣﺮﺍ ﺳﻔﺮ۔۔۔۔ﻧﮩﯿﮟ ﻣﺨﺘﺼﺮ۔۔۔۔ ﻣﺮﮮ ﺍﺟﻨﺒﯽ، ﻣﺮﮮ آﺷﻨﺎ، ﻣﺮﮮ بیخبر۔۔۔ ﯾﮩﺎﮞ ﮬﺮ ﻗﺪﻡ ﭘﮧ ﮬﯿﮟ ﻭﺣﺸﺘﯿﮟ... ﯾﮩﺎﮞ ﺳﺎﻧﺲ ﺳﺎﻧﺲ ﻣﯿﮟ ﺧﺎﺭ ﮬﯿﮟ۔۔۔ ﺗﯿﺮﯼ ﺳﺮﺩ ﻣﮩﺮﯼ ﻭ ﺑﮯ ﺭﺧﯽ ﮐﮯ۔۔۔ ﮬﺰﺍﺭﻭﮞ ﺗﯿﺮ۔۔۔۔۔ ﺯﮨﺮ ﺑﺠﮭﮯ۔۔۔۔ ﺟﻮ ﺟﮕﺮ ﺳﮯ ﺭﻭﺡ ﮐﮯ ﭘﺎﺭ ﮬﯿﮟ۔۔۔ ﻣﺮﺍ ﺑﺲ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﮯ ﭘﻠﭧ ﺳﮑﻮﮞ۔۔۔۔۔ ﮐﺴﯽ ﻣﻮﮌ ﭘﺮ۔۔۔۔ ﮐﭽﮫ ﭘﻞ ﮐﻮ ﺭﮎ ﮐﮯ ﮬﯽ ﺳﻮﭺ ﻟ

Oonchey Parwat Neeley Saagar

Oonchey Parwat Neeley Saagar Paagal Baarish, Tum Aur Main... Kaaley Baadal Rimjhim Baarish Neela Aanchal, Tum Aur Main... Mehndi, Khushboo, Kaajal, Aanchal Band Hatheli, Tum Aur Main... Door Kahi'n Baarish Mein Bheegi Peeli Sarso'n, Tum Aur Main... Jab Tu Chhede Zulfein Meri Chandan, Khushboo, Tum Aur Main... Jangal Mein Koi Chhota Sa Ghar Mitti, Chulha, Tum Aur Main... Har Raah Har Soo Phaili Khushboo Baarish, Baadal, Tum Aur Main... Kandha Tera Aur Sar Mera Paagal Si Chup, Tum Aur Main..!! ________________________________ اونچے پربت نیلے ساگر پاگل بارش تُم اور میں کالے بادل رم جھم بارش نیلا آنچل تُم اور میں مہندی خوشبو کاجل آنچل بند ہتھیلی تُم اور میں دُور کہیں بارش میں بھیگی پیلی سرسوں تُم اور میں جب تُو چھیڑے زُلفیں میری چندن خوشبو تُم اور میں جنگل میں کوئی چھوٹا سا گھر مٹی چولہا تُم اور میں ہر راہ ہر سُو پھیلی خوشبو بارش بادل، تُم اور میں کندھا تیرا اور سر میرا پاگل سی چُپ تُم اور میں.. ______________________

Raat Ki Zulfein Barham Barham

Raat Ki Zulfein Barham Barham Dard Ki Lau Hai Maddham Maddham Mere Qisse Galiyo'n Galiyo'n Tera Charcha Aalam Aalam Ek Jazaa Jannat Jannat Ek Khata Hai Aadam Aadam Ek Azaab Hai Basti Basti Ek Sadaa Hai Maatam Maatam Saari Laashein Tukde Tukde Saari Aankhain Purnam Purnam Hijr Ke Lamhe Zakhmi Zakhmi Us Ki Yaadein Marham Marham..!! رات کی زلفیں برہم برہم درد کی لو ہے مدھم مدھم میرے قصے گلیوں گلیوں تیرا چرچا عالم عالم ایک جزا ہے جنت جنت ایک خطا ہے آدم آدم ایک عزاب ہے بستی بستی ایک صدا ہے ماتم ماتم ساری لاشیں ٹکڑے ٹکڑے ساری آنکھیں پرنم پرنم ہجر کے لمحے زخمی زخمی اس کی یادیں مرہم مرہم..

Teri Aankhein Badi Gahri

Teri Aankhein Badi Gahri, Bahut Hi Khoobsurat Hai Ijaazat Ho To Main Kuch Der In Mein Jhaank Kar Dekhoo'n Ke Mujh Ko Chaand Ki Maanind Jheelo'n Mein Utarna Lutf Deta Hai..!! _ Parween Shakir تیری آنکھیں بڑی گہری بہت ہی خوبصورت ہیں اجازت ہو تو میں کچھ دیر ان میں جھانک کر دیکھوں کہ مجھکو چاند کی مانند جھیلوں میں اترنا لطف دیتا ہے _ پروین شاکر

Dil Ki Dehleez Pe Baitha Hoon

Dil Ki Dehleez Pe Baitha Hoon Talab Teri Liye... Ye Makaa'n Ghar Mein Badal Jaaye Agar Tu Aaye..!! ‏دل کی دہلیز پہ بیٹھا ہوں، طلب تیری لئے ‏یہ مکاں گھر میں بدل جائے اگر تُو آئے۔۔

Apne Dukhte Dil Se Kah Do

Image
Apne Dukhte Dil Se Kah Do..... Neend Ke Jangal Mein Kho Jaaye, Phail Chale Sannaate Saaye..... Kaafi Jaag Liya, So Jaaye.!... Zakhmo'n Ki Hariyaali Chup Hai Dard Ke Perh Aaseb-Zada Hain Soch Ki Daali Daali Chup Hai, Apne Dukhte Dil Se Kah Do..... Neend Ke Jangal Mein Kho Jaaye Phail Chale Sannaate Saaye Kaafi Jaag Liya, So Jaaye..!! _____________________________

Jin Ke Hum Muntazir Rahe Un Ko

Jin Ke Hum Muntazir Rahe Un Ko Mil Gaye Aur Humsafar Shayad... . Jo Bhi Bichhde Wo Kab Mile Hain Faraz Phir Bhi Tu Intezaar Kar...Shayad..!! __________________________

Yoon To Kisi Phool Se Rangat Na Gayi

Yoon To Kisi Phool Se Rangat Na Gayi Bu Na Gayi, Ai Mohabbat.! Mere Pahloo Se Magar Tu Na Gayi... Mit Chale Meri Ummeedo'n Ki Tarah Harf Magar, Aaj Tak Tere Khato'n Se Teri Khushboo Na Gayi..!! Akhtar Shiraani یوں تو کس پھول سے رنگت نہ گئی بُو نہ گئی اے محبت! مرے پہلو سے مگر تُو نہ گئی مٹ چلے میری اُمیدوں کی طرح حرف مگر آج تک تیرے خطوں سے تیری خوشبو نہ گئی اختر شیرانی

Jaayez Thi Ya Nahi, Tere Haq Mein Thi

Jaayez Thi Ya Nahi, Tere Haq Mein Thi Magar, Karta Tha Jo Kabhi Wo Wakaalat Tamaam Shud... Wo Roz Roz Marney Ka Qissa Hau Khatm, Wo Roz Dil Ko Cheerti Wahshat Tamaam Shud..!! Mohsin Naqwi جائز تھی یا نہیں، ترے حق میں تھی مگر کرتا تھا جو کبھی وہ وکالت تمام شُد وہ روز روز مرنے کا قصہ ہوا تمام وہ روز دِل کو چِیرتی وحشت تمام شُد محسن نقوی

Aao Us Ke Paas Chalte Hain

Aao Us Ke Paas Chalte Hain Us Ko Kahte Hain Kuch Dawa Kar De, Apni Fitrat Ko Chhod Kar Ek Pal Koi Waada To Wo Wafa Kar De..!!

Azaab Ye Bhi Kisi Aur Par Nahi Aaya

Azaab Ye Bhi Kisi Aur Par Nahi Aaya, Ke Ek Umr Chale Aur Ghar Nahi Aaya... Karein To Kis Se Karein Narsaaiyo'n Ka Gilaa, Safar Tamaam Huaa, Humsafar Nahi Aaya..!! Iftikhaar Aarif عذاب یہ بھی کسی اور پر نہیں آیا کہ ایک عمر چلے اور گھر نہیں آیا کریں تو کس سے کریں نارسائیوں کا گلہ سفر تمام ہوا ہمسفر نہیں آیا.. افتخار عارف

Daagh Duniya Ne Diye

Daagh Duniya Ne Diye Zakhm Zamaane Se Mile, Hum Ko Tohfe Ye Tumhein Dost Banaane Se Mile, Kaise Maanein Ke Unhein Bhool Gaya Tu Ai Kaif, Un Ke Khat Aaj Humein Tere Sirhaane Se Mile..!! Kaif Bhopali داغ دنیا نے دیے زخم زمانے سے ملے ہم کو تحفے یہ تمہیں دوست بنانے سے ملے کیسے مانیں کہ انہیں بھول گیا تو اے کیف ان کے خط آج ہمیں تیرے سرہانے سے ملے کیف بھوپالی

Meri Nakaam Mohabbat Mujhe Waapas Kar Di

Meri Nakaam Mohabbat Mujhe Waapas Kar Di, Yoon Mere Haath Meri Laash Thama Di Us Ne... Jaanta Tha Ke Mujhe Maut Sukoo'n Bakhshegi, Wo Sitamgar Tha So Jeene Ki Duaa Di Us Ne..!! _Mohsin Naqwi میری ناکام محبت مجھے واپس کر دی یوں مرے ہاتھ میری لاش تھما دی اُس نے جانتا تھا کہ مجھے موت سکون بخشے گی وہ ستمگر تھا سو جینے دی دُعا دی اُس نے _محسن نقوی

Tu Kahi'n Bheegta Na Ho Tanha

Tu Kahi'n Bheegta Na Ho Tanha Ek Dhadka Laga Gayi Baarish.! Band Khidki Ke Saaf Sheesho'n Par Aks Tera Bana Gayi Baarish.! Waqt-e-Rukhsat Tujhe Nahi Ma'aloom Kitne Aansu Chhupa Gayi Baarish.! Qatra Qatra Giri Magar Phir Bhi Zakhm Gahra Laga Gayi Baarish.! تو کہیں بھیگتا نہ ہو تنہا ایک دھڑکا لگا گئی بارش.. بند کھڑکی کے صاف شیشوں پر عکس تیرا بنا گئی بارش.. وقتِ رُخصت تجھے نہیں معلوم کتنے آنسو چھپا گئی بارش.. قطرہ قطرہ گِری مگر پھر بھی زخم گہرا لگا گئی بارش..!! ______________________

Bichhad Rahe To Palkon Pe Kyun Sitare Hain

Bichhad Rahe To Palko'n Pe Kyun Sitaare Hain, Qubool-o-radd Ke Sabhi Faisle Tumhaare Hain... Tumhaari Baat Pe Kaise Yaqeen Kar Loo'n Main, Tumhaare Saath Bahut Roz-o-shab Guzaare Hain..!! بچھڑ رہے تو پلکوں پہ کیوں ستارے ہیں قبول و رد کے سبھی فیصلے تمھارے ہیں تمھاری بات پہ کیسے یقین کرلوں میں تمھارے ساتھ بہت روز و شب گزارے ہیں.. ____________________________

Wahi Huaa Na.! Kaha Nahi Tha

Wahi Huaa Na.! Kaha Nahi Tha... Ke Ahad-e-Ulfat, Samajh Ke Baandho, Nibha Sakoge.?.. Mujhe Samay Ki Timaazato'n Se Bacha Sakoge.?.. Bahut Kaha Tha, Subaahato'n Mein Bahal Na Jaana... Mujhe Gira Ke Sanbhal Na Jaana... Badalti Rut Mein Badal Na Jaana... Bahut Kaha Tha.!.. Bahal Gaye Na, Kaha Nahi Tha, Sanbhal Gaye Na, Wahi Hua Na, Badal Gaye Na.!! وہی ہوا نا کہا نہیں تھا کہ عہد الفت، سمجھ کے باندھو نبھا سکو گے؟ مجھے سمے کی تمازتوں سے بچا سکو گے؟ بہت کہا تھاصباحتوں میں بہل نہ جانا مجھے گرا کے سنبھل نہ جانا بدلتی رت میں بدل نہ جانا بہت کہا تھا بہل گئے نا کہا نہیں تھا، سنبھل گئے نا وہی ہوا نا بدل گئے نا..!! _________________________

Wo Kahti Hai... Suno Jaanaa,

Wo Kahti Hai... Suno Jaanaa, Mohabbat Maum Ka Ghar Hai, Tapish Ye Bad-gumaani Ki Kahi'n Pighla Na De Is Ko..... Main Kahta Hoon Ke Jis Dil Mein Zara Bhi Bad-gumaani Ho Wahaan Kuch Aur Ho To Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti..... Wo Kahti Hai, Sadaa Aise Hi Kya Tum Mujh Ko Chaahoge, Ke Main Is Mein Kami Koi Gawaara Kar Nahi Sakti..... Main Kahta Hoon, Mohabbat Kya Hai.?.. Ye Tum Ne Sikhaya Hai, Mujhe Tum Se Mohabbat Ke Siwaa Kuch Bhi Nahi Aata..... Wo Kahti Hai, Judaai Se Bahut Darta Hai Mera Dil, Ke Khud Ko Tum Se Hatt Ke Dekhna Mumkin Nahi Hai Ab..... Main Kahta Hoon, Yahi Khadshe Bahut Mujh Ko Sataate Hain, Magar Sach Hai Mohabbat Mein Judaai Saath Chalti Hai, Wo Kahti Hai, Bataao Kya Mere Bin Ji Sakoge Tum, Meri Baatein, Meri Yaadein, Meri Aankhein Bhula Doge, Main Kahta Hoon, Kabhi Is Baat Par  Socha Nahi Maine, Magar Ek Pal Ko Bhi Sochun To Ye Saansein Rukne Lagti Hain..... Wo Kahti Hai, Tumhein Mujh Se Mohabbat Is Qadar Kyoon Hai, Ke Mai Ek Aam Si Ladki

Zawaal-e-shab Mein Sitaron Ne Saath Chhorh Diya

Zawaal-e-shab main sitaroon ne saath chhorr diya, Saba chali to chiraagon ne saath chhorr diya, Mila jo mouqa mujhe un se baat karne ka, Mere naseeb k lafzon ne saath chhorr diya, Woh ru-ba-ru thi magar uss ko dekhte kaise, Woh rang-o-noor thi aankh'n ne saath chhorr diya.!! ______________________________

Mohabbat Ka Asar Hoga

Mohabbat Ka Asar Hoga, Galat-Fahmi Mein Mat Rahna.! Wo Badlega Chalan Apna, Galat-Fahmi Mein Mat Rahna.! Tasalli Bhi Use Dena Ye Mumkin Hai Main Laut Aaun, Magar Ye Bhi Use Kahna, Galat-Fahmi Mein Mat Rahna.! Tumhaara Tha, Tumhaara Hoon, Tumhaara Hi Rahunga Main, Mere Baare Mein Is Darja Galat-Fahmi Mein Mat Rahna.! Mohabbat Ka Bharam Toota To Ab Chhup Chhup Ke Rote Ho, Tumhein Maine Kaha Tha Naa, Galat-Fahmi Mein Mat Rahna..!! ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﺍﺛﺮ ﮨﻮ ﮔﺎ , ﻏﻠﻂﻓﮩﻤﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﺖ ﺭﮨﻨﺎ ﻭﮦ ﺑﺪﻟﮯ ﮔﺎ ﭼﻠﻦ ﺍﭘﻨﺎ , ﻏﻠﻂﻓﮩﻤﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﺖ ﺭﮨﻨﺎ ﺗﺴﻠﯽ ﺑﮭﯽ ﺍﺳﮯ ﺩﯾﻨﺎ , ﯾﮧﻣﻤﮑﻦ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﻟﻮﭦ ﺁﺅﮞ ﻣﮕﺮ ﯾﮧ ﺑﮭﯽ ﺍﺳﮯ ﮐﮩﻨﺎ ,  ﻏﻠﻂﻓﮩﻤﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﺖ ﺭﮨﻨﺎ.. ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﺗﮭﺎ , ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﮨﻮﮞ , ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﮨﯽ ﺭﮨﻮﮞ ﮔﺎ ﻣﯿﮟ ﻣﯿﺮﮮ ﺑﺎﺭﮮ ﻣﯿﮟ ﺍﺱ ﺩﺭﺟﮧ غلطﻓﮩﻤﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﺖ ﺭﮨﻨﺎ. ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﺑﮭﺮﻡ ﭨﻮﭨﺎ تو ﺍﺏﭼﮭﭗ ﭼﮭﭗ ﮐﮯ ﺭﻭﺗﮯ ﮨﻮ ﺗﻤﮭﯿﮟ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﺗﮭﺎ ﻧﺎں ' ﻏﻠﻂﻓﮩﻤﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﺖ ﺭﮨﻨﺎ' _____________________________

Poochha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye

Poochha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye, Paani Mein Aks Chaand Ka Dekha To Ro Diye, Naghma Kisi Ne Saaz Pe Chheda To Ro Diye, Guncha Kisi Ne Shaakh Se Toda To Ro Diye, Udta Hua Ghubaar Sar-e-Raah Dekh Kar Anjaam Hum Ne Ishq Ka Socha To Ro Diye, Baadal Fizaa Mein Aap Ki Tasweer Ban Gaye, Saaya Koi Khyaal Se Guzra To Ro Diye, Rang-e-shafaq Se Aag Shagoofo'n Mein Lag Gayi, Saaghar Humaare Haath Se Chhalka To Ro Diye..!! پوچھا کسی نے حال کسی کا تو رو دئیے پانی میں عکس چاند کا دیکھا تو رو دئیے نغمہ کسی نے ساز پہ چھیڑا تو رو دئیے غنچہ کسی نے شاخ سےتو ڑا تورو دئیے اڑتا ہوا غبار سر راہ دیکھ کر انجام ہم نے عشق کا سوچا تو رو دئیے بادل فضا میں آپ کی تصویر بن گئے سایہ کوئی خیال سے گزرا تو رو دئیے رنگ شفق سے آگ شگوفوں میں لگ گئی سا غر ہمارے ہاتھ سے چھلکا تو رو دئیے..!! ______________________________

Kabhi Tum Bhi Nazar Aao

Image
Kabhi Tum Bhi Nazar Aao... Subah Se Shaam Tak Hum Ko Bahut Se Log Milte Hain Nigaaho'n Se Guzarte Hain... Koi Andaaz Tum Jaisa Koi Hum-Naam Tum Jaisa Magar Tum Hi Nahi Milte... Bahut Be-chain Rahte Hain Duaa Ko Haath Uthte Hain Duaa Mein Yahi Kahte Hai... Lagi Hai Bheed Logo'n Ki Magar Is Bheed Mein "Mohsin" Kabhi Tum Bhi Nazar Aao Kabhi Tum Bhi Nazar Aao..!! ________________________ کبھی تم بھی نظر آؤ۔۔ صبح سے شام تک ہم کو۔۔ بہت سے لوگ ملتے ہیں۔۔ نگاہوں سے گزرتے ہیں۔۔ کؤی انداز تم جیسا۔۔ کؤی ہم نام تم جیسا۔۔ مگر تم ہی نہیں ملتے۔۔ بہت بے چین رہتے ہیں۔۔ دعا کو ہاتھ اٹھتے ہیں۔۔ دعا میں یہی کہتے ہیں۔۔ لگی ہے بھیڑ لوگوں کی۔۔ مگر اس بھیڑ میں محسن۔۔ کبھی تم بھی نظر آؤ۔۔ کبھی تم بھی نظر آؤ۔۔ _____________________