Tuesday, June 26, 2018

Dil Abhi

* Nazm *
__________

Zindagi se uns hai,
Husn se lagaao hai..

Dhadkanon mein aaj bhi,
Ishq ka alaao hai..

Dil abhi bujha nahin.!

Rang bhar raha hun main,
Khaaka-e-hayat mein..

Aaj bhi hun munhamik,
Fikr-e-kayenaat mein..

Ghum abhi luta nahin.!

Harf-e-haq azeez hai,
Zulm nagawaar hai..

Ahd-e-nau se aaj bhi,
Ahd-e-ustuwaar hai..

Main abhi mara nahin.!!

"Sahir Ludhianwi"
__________

Munhamik = absorbed, engaged, engrossed,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...