Aag hai paani hai mitti hai hawa hai mujh mein,
Aur phir maanna padta hai khuda hai mujh mein..
Ab to le de ke wahi shakhs bacha hai mujh mein,
Mujh ko mujh se jo juda kar ke chhupa hai mujh mein..
Jitne mausam hain sabhi jaise kahin mil jaayen,
In dinon kaise bataaun jo faza hai mujh mein..
Aaina ye to batata hai main kya hun lekin,
Aaina is pe hai khamosh ke kya hai mujh mein..
Ab to bas jaan hi dene ki hai baari ai 'noor',
Main kahaan tak karun saabit ki wafa hai mujh mein.!!
"Krishn Bihari Noor"
No comments:
Post a Comment