Taseer-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi, 
Ek larzish-e-khafi mere saare badan mein thi.. 
Waan se nikal ke phir na faraghat hui naseeb, 
Aasoodgi ki jaan teri anjuman mein thi.. 
Ek rang-e-iltifaat bhi us be-rukhi mein tha, 
Ek saadgi bhi us nigah-e-sahar fan mein thi.. 
Mohtaaj-e-bu-e-itr na tha jism-e-khoob-e-yaar, 
Khushbu-e-dilbari thi jo us pairahan mein thi.. 
Kuchh dil hi bujh gaya hai mera warna aaj kal, 
Kaifiyat-e-bahaar ki shiddat chaman mein thi.. 
Maloom ho gayi mere dil ko raah-e-shauq, 
Wo baat pyar ki jo hunooz us dahan mein thi.. 
Ghurbat ki subah mein bhi nahin hai wo raushni, 
Jo raushni ke shaam-e-sawaad-e-watan mein thi.. 
Aish gudaaz-e-dil bhi ghum-e-aashiqi mein tha, 
Ek raahat-e-lateef bhi zimn-e-mehan mein thi.. 
Achchha hua ke khaatir-e-'Hasrat' se hat gayi, 
Haibat si ek jo khatra-e-daar-o-rasan mein thi.!!
"Hasrat Mohani" 
__________ 
Taseer-e-barq-e-husn = effect of the lightening of beauty, 
Larzish-e-khafi = hidden trembling, 
Aasoodgi = satisfaction, contentement, comfort, 
Rang-e-iltifaat = colour of love, colour of affection, 
Hunooz = yet, 
Dahan = mouth, 
Gudaaz-e-dil = softness of heart, 
Raahat-e-lateef = subtle pleasure, 
Zimn-e-mehan = context of work, 
Khatra-e-daar-o-rasan = Danger of gallows and rope, 
No comments:
Post a Comment