Posts

Showing posts from December, 2020

Kisi Ke Hijr Mein Yun Toot Kar Roya Nahi Karte

Kisi ke hijr mein yun toot kar roya nahin karte,  Ye apna ranj hai aur ranj ka charcha nahin karte..  Judai ki ruton mein suratein dhundlaane lagti hain,  So aise mausamon mein aaina dekha nahin karte..  Ziyaada se ziyaada dil bichha dete hain raste mein,  Magar jis ne bichhadna ho use roka nahin karte..  Hamesha ek masafat ghoomti rahti hai panw mein,  Safar ke baad bhi kuchh log ghar pahuncha nahin karte..  Tani rassi pe dariya paar utarna hi muqaddar ho,  To phir seenon mein gharqaabi ka darr rakkha nahin karte..  Humein ruswa kiya is neend mein chalne ki aadat ne,  Wagarna jaagte mein hum kabhi aisa nahin karte..  'Hasan' jab ladkhada kar apne hi panw pe girna ho,  To phir edi pe itni der tak ghooma nahin karte.!  _________________________ किसी के हिज्र में यूँ टूट कर रोया नहीं करते ये अपना रंज है और रंज का चर्चा नहीं करते जुदाई की रुतों में सूरतें धुँदलाने लगती हैं सो ऐसे मौसमों में आइना देखा नहीं करते ज़ियादा से ज़ियादा दिल बिछा देते हैं रस्ते में मगर जिस ने बिछड़ना हो उस

Phone Pe Uski Baatein Uske Qehqahey Achche Lagte Hain

Phone pe us ki baatain, us ke qehqahey achche lagte hain, Pal do pal ke sahi, magar yeh rishtey achche lagte hain, Rang jagate jumlon se lagta hai, jaise us ko bhi, Khatti meethi baatain karte ladkey achche lage hain, Humein khabar hai sab tabeerein haath na aati pariyaan hain, Phir bhi jaagti aankhon dekhe sapney achche lagte hain, Motiyon waaley mukhde bhi apne ahbaab mein shaamil they, Magar humain to khush’khat saanwley achche lagte hain, Hum donon mastaanon ki ik khwahish milti julti hai, Mujh ko shehzadi, us ko shehzadey achche lagte hain, Hasan Raza aakhir aisi ik khoobi hogi, jis ke sabab, Sheher ki mahjabeenon ko hum itney achche lagte hain, Kaanch kanwaari umron ko jab matti mein rul jaana hai, Phir kyun Raza yeh lamha bhar ke meley achche lagte hain… – Hasan Abbas Raza