Showing posts with label Ameer Qazalbash. Show all posts
Showing posts with label Ameer Qazalbash. Show all posts

Thursday, July 5, 2018

Wo Sarphiri Hawa Thi Sambhalna Pada Mujhe

Wo sar-phiri hawa thi sambhalna pada mujhe,
Main aakhiri charaagh tha jalna pada mujhe...

Mahsoos kar raha tha use apne aas paas,
Apna khyaal khud hi badalna pada mujhe...

Suraj ne chhupte chhupte ujaagar kiya to tha,
Lekin tamaam raat pighalna pada mujhe...

Mauzu-e-guftugu thi meri khamoshi kahin,
Jo zahar pi chuka tha ugalna pada mujhe...

Kuchh door tak to jaise koi mere saath tha,
Phir apne saath aap hi chalna pada mujhe.!!

"Ameer Qazalbash"

Un Ki Berukhi Mein Bhi Iltifaat Shaamil Hai

Un ki be-rukhi mein bhi iltifaat shaamil hai..
Aaj kal meri haalat dekhne ke qaabil hai.!

Qatl ho to mera sa maut ho to meri si..
Mere sogwaaron mein aaj mera qaatil hai.!

Har qadam pe nakaami har qadam pe mahroomi..
Ghaaliban koi dushman doston mein shaamil hai.!

Muztarib hain maujein kyun uth rahe hain tufaan kyun..
Kya kisi safeene ko aarzu-e-saahil hai.!

Sirf rahzan hi se kyun 'Ameer' shikwa ho..
Manzilon ki raahon mein rahbar bhi haail hai.!!

"Ameer Qazalbash"
__________

iltifaat = kindness/ attention,

Paayin Har Ek Rahguzar Par Udaasiyan

Paayin har ek rahguzar par udaasiyan,
Nikli hui hain kab se safar par udaasiyan..

Khwabida shahr jaagne waala hai laut aao,
Baithi hui hain shaam se ghar par udaasiyan..

Main khauf se larazta raha padh nahin saka,
Phaili hui thin ek khabar par udaasiyan..

Suraj ke haath sabz qabaaon tak aa gaye,
Ab hain yahaan har ek shajar par udaasiyan..

Apne bhi khatt-o-khaal nigaahon mein ab nahin,
Is tarah chha gayi hain nazar par udaasiyan..

Phaila raha hai kaun kabhi sochta hun main,
Khwaabon ke ek ek nagar par udaasiyan..

Sab log ban gaye hain agar ajnabi to kya, 
Chhod aayengi mujhe mere dar par udaasiyan.!!

"Ameer Qazalbash"

Nazar Mein Har Dushwaari Rakh

Nazar mein har dushwaari rakh,
Khwaabon mein bedaari rakh...

Duniya se jhuk kar mat mil,
Rishton mein humwaari rakh...

Soch samajh kar baatein kar,
Lafzon mein tahdaari rakh...

Futpaathon par chain se so,
Ghar mein shab-bedaari rakh...

Tu bhi sab jaisa ban ja,
Beech mein duniya-daari rakh...

Ek khabar hai tere liye,
Dil par patthar bhaari rakh...

Khaali haath nikal ghar se,
Zaad-e-safar hushyaari rakh...

Sher suna aur bhookha mar,
Is khidmat ko jaari rakh.!!

"Ameer Qazalbash"

Wednesday, July 4, 2018

Na Poochh Manzar-e-shaam-o-sahar Pe Kya Guzri

Na poochh manzar-e-shaam-o-sahar pe kya guzri,
Nigah jab bhi haqeeqat se aashna guzri...

Humare waaste veerani-e-nazar har su,
Humin ne dasht sajaye humin pe kya guzri...

Na jaane kaisi haqeeqat ka aaina hun main,
Nazar nazar mere nazdeek se khafa guzri...

Ye zard ho gaye kaise hare bhare ashjaar,
Jo log saaye mein baithe the un pe kya guzri...

Ghuroob hoti rahin us ki nekiyan din mein,
Har ek raat gunaahon ki be-saza guzri...

Jala raha tha sar-e-shaam mish'alein koi,
Tamaam raat ulajhti hui hawa guzri...

Na dekh paoge be-manzari ujaalon ki,
Ye raat dhhalne lagi to koi sada guzri.!!

"Ameer Qazalbash"

Meri Pahchaan Hai Kya Mera Pata De Mujh Ko

Meri pahchaan hai kya mera pata de mujh ko,
Koi aaina agar hai to dikha de mujh ko..

Tujh se milta hun to aksar ye khyaal aata hai,
Is bulandi se agar koi gira de mujh ko..

Kab se patthar ki chattaanon mein hun gumnaam o aseer,
Dewtaon ki tarah koi jaga de mujh ko.. 

Ek aaina sar-e-raah liye baitha hun,
Jurm aisa hai ke har shakhs saza de mujh ko..

In andheron mein akela hi jalunga kab tak,
Koi shay tu bhi to khurshid-numa de mujh ko.!!

"Ameer Qazalbash"

Mere Junoon Ka Nateeja Zaroor Niklega

Mere junoon ka nateeja zaroor niklega..
Isi siyah samandar se noor niklega.!

Gira diya hai to saahil pe intizaar na kar..
Agar wo doob gaya hai to door niklega.!

Usi ka shahr wahi muddai wahi munsif..
Humein yaqeen tha humara qusoor niklega.!

Yaqeen na aaye to ek baat poochh kar dekho..
Jo hans raha hai wo zakhmon se choor niklega.!

Us aasteen se ashkon ko ponchhne waale..
Us aasteen se khanjar zaroir niklega.!!

"Ameer Qazalbash"

Jaane Ye Kis Ki Banaai Hui Tasweerein Hain

Jaane ye kis ki banaai hui tasweerein hain,
Taaj sar par hain magar paanw mein zanjeerein hain...

Kya meri soch thi kya saamne aaya mere, 
Kya mere khwab the kya khwab ki tabeerein hain...

Kitne sar hain ke jo gardan-zadani hain ab bhi,
Hum ke buzdil hain magar haath mein shamshirein hain...

Chaar jaanib hain siyah raat ke saaye lekin,
Ufuq-e-dil pe nayi subah ki tanweerein hain...

Us ki aankhon ko khuda yoon hi salamat rakkhe,
Us ki aankhon mein mere khwab ki tabeerein hain.!!

"Ameer Qazalbash"

Har Rahguzar Mein Kahkashan Chhorh Jaaunga

Har rahguzar mein kahkasha'n chhorh jaaunga,
Zinda hun zindagi ke nishaan chhorh jaaunga...

Main bhi to aazmaunga us ke khuloos ko,
Us ke labo'n pe apni fughaa'n chhorh jaaunga...

Meri tarah use bhi koi justuju rahe, 
Az-rah-e-ahtiyaat gumaan chhorh jaaunga...

Mera bhi aur koi nahin hai tere siwa, 
Ai shaam-e-ghum tujhe main kahaan chhorh jaaunga...

Raushan rahunga ban ke main ek shola-e-nawa,
Sahra ke aas-paas azaan chhorh jaaunga...

Phir aa ke bas gaye hain barabar ke ghar mein log,
Ab phir 'Ameer' main ye makaan chhorh jaaunga.!!

"Ameer Qazalbash"
__________

Az-rah-e-ahtiyaat = by way of caution,
Shola-e-nawa = voice like flame,

Har Gaam Haadsa Hai Thehar Jaaiye Janaab

Har gaam haadsa hai thehar jaaiye janaab,
Rasta agar ho yaad to ghar jaaiye janaab... 

Zinda haqeeqaton ke talatum hain saamne,
Khwaabon ki kashtiyon se utar jaaiye janaab...

Inkaar ki saleeb hun sachchaiyon ka zahar,
Mujh se mile baghair guzar jaaiye janaab...

Din ka safar to kat gaya suraj ke saath saath,
Ab shab ki anjuman mein bikhar jaaiye janaab...

Koi chura ke le gaya sadiyon ka aitiqaad,
Mimbar ki seedhiyon se utar jaaiye janaab.!!

"Ameer Qazalbash"
__________

Aitiqaad = faith, belief,

Har Ek Haath Mein Patthar Dikhaai Deta Hai

Har ek haath mein patthar dikhaai deta hai,
Ye zakhm ghar se nikal kar dikhaai deta hai...

Suna hai ab bhi mere haath ki lakeeron mein,
Najoomiyon ko muqaddar dikhaai deta hai...

Ab inkisaar bhi shaamil hai waz'a mein us ki,
Use bhi ab koi hum-sar dikhaai deta hai... 

Gira na mujh ko mere khwab ki bulandi se,
Yahaan se mujh ko mera ghar dikhaai deta hai...

Jahaan jahaan bhi hai nahr-e-furaat ka imkaan,
Wahin yazid ka lashkar dikhaai deta hai...

Khuda ke shahr mein phir koi sangsaar hua,
Jise bhi dekhiye patthar dikhaai deta hai... 

'Ameer' kis ko bataoge kaun maanega, 
Saraab hai jo samandar dikhaai deta hai.!!

"Ameer Qazalbash"
__________

Inkisaar = humbleness, modesty,
Waz'a = manner/ state/ style,
Hum-sar = spouse, contemporary, rival,

Haan Ye Taufeeq Kabhi Mujh Ko Khuda Deta Tha

Haan ye taufeeq kabhi mujh ko khuda deta tha,
Nekiyaan kar ke main dariya mein baha deta tha...

Tha usi bheed mein wo mera shanasa tha bahut,
Jo mujhe mujh se bichhadne ki dua deta tha...

Us ki nazron mein tha jalta hua manzar kaisa,
Khud jalaai hui shaamo'n ko bujha deta tha...

Aag mein lipta hua hadd-e-nazar tak saahil,
Hausla doobne waalon ka badha deta tha...

Yaad rahta tha nigaahon ko har ek khwab magar,
Zehn har khwab ki tabeer bhula deta tha... 

Kyun parindon ne darakhton pe basera na kiya,
Kaun guzre hue mausam ka pata deta tha.!!

"Ameer Qazalbash"

Fikr-e-ghurbat Hai Na Andesha-e-tanhaai Hai

Fikr-e-ghurbat hai na andesha-e-tanhaai hai,
Zindagi kitne hawadis se guzar aai hai...

Log jis haal mein marne ki dua karte hain,
Main ne us haal mein jeene ki qasam khaai hai...

Hum na suqraat na mansoor na iisa lekin,
Jo bhi qaatil hai humara hi tamannai hai...

Zindagi aur hain kitne tere chehre ye bata,
Tujh se ek umr ki haalanki shanasaai hai... 

Kaun na-waaqif-e-anjaam-e-tabassum hai 'Ameer',
Mere haalaat pe ye kis ko hansi aai hai.!!

"Ameer Qazalbash"

Ek Parinda Abhi Udaan Mein Hai

Ek parinda abhi udaan mein hai..
Teer har shakhs ki kamaan mein hai.!

Jis ko dekho wahi hai chup chup sa..
Jaise har shakhs imtihaan mein hai.!

Kho chuke hum yaqeen jaisi shay..
Tu abhi tak kisi gumaan mein hai.!

Zindagi sang-dil sahi lekin..
Aaina bhi isi chattaan mein hai.!

Sar-bulandi naseeb ho kaise..
Sar-nigoo'n hai ke sayebaan mein hai.!

Khauf hi khauf jaagte sote..
Koi aaseb is makaan mein hai.!

Aasra dil ko ek ummid ka hai..
Ye hawa kab se baadbaan mein hai.!

Khud ko paaya na umr bhar hum ne..
Kaun hai jo humare dhyaan mein hai.!!

"Ameer Qazalbash"

Door Baitha Hua Tanha Sab Se

Door baitha hua tanha sab se,
Jaane kya soch raha hun kab se..

Apni taaid bhi dushwaar hui,
Aaina toot gaya hai jab se..

Ghar se niklun to mana kar laaun,
Wo tabassum jo khafa hai lab se..

Mere alfaaz wahi hain lekin,
Mera mafhoom juda hai sab se..

Jab se aazaad kiya hai us ne,
Har nafas ek saza hai tab se.!!

"Ameer Qazalbash"
__________

Taaid = encouragement, justification,

Dil Mein Be-naam Si Khushi Hai Abhi

Dil mein be-naam si khushi hai abhi,
Zindagi mere kaam ki hai abhi..

Main bhi tujh se bichhad ke sargardaa'n,
Teri aankhon mein bhi nami hai abhi..

Dil ki sunsaan rahguzaaron par,
Main ne ek cheekh si suni hai abhi..

Main ne maana bahut andhera hai,
Phir bhi thodi si raushni hai abhi..

Apne aansu 'Ameer' kyun ponchhun,
In charaghon mein raushni hai abhi.!!

"Ameer Qazalbash"
__________

Sargardaa'n = vagrant,

Dard Ka Shahr Kahin Karb Ka Sahra Hoga

Dard ka shahr kahin karb ka sahra hoga, 
Log waaqif the koi ghar se na nikla hoga.. 

Wo jo ek shakhs ba-zid hai ke bhula do mujh ko,
Bhool jaaun to usi shakhs ko sadma hoga..

Aankh khulte hi bichhad jayega har manzar-e-shab,
Chaand phir subah ke maqtal mein akela hoga..

Jin ujaalon ki taraf daud rahi hai duniya, 
Un ujaalon mein qayamat ka andhera hoga..

Ek ummid har ek dar pe liye jaati hai,
Ye mera shahr tha koi to shanasa hoga.!!

"Ameer Qazalbash"

Chalo Ke Khud Hi Karein Ru-numaiyan Apni

Chalo ke khud hi karein ru-numaiyan apni,
Saro'n pe le ke chalein kaj-kulahiyan apni.. 

Sabhi ko paar utarne ki justuju lekin,
Na baadba'n na samandar na kashtiyan apni..

Wo kah gaya hai ke ek din zaroor aaunga,
Zara qareeb se dekhunga dooriyan apni.. 

Mere pados mein aise bhi log baste hain,
Jo mujh mein dhundh rahe hain buraaiyan apni.. 

Mujhe khabar hai wo meri talaash mein hoga,
Main chhod aaya hun ek baat darmiyan apni..

Main boond boond ki khairaat kab talak maangun,
Samet laaun samandar se seepiyan apni..

Mere kahe hue lafzon ki qadr-o-qeemat thi,
Main apne kaan mein kahne laga azaan apni..

Karega sar wahi is dasht-e-be-karaa'n ko 'Ameer',
Jala ke aaye jo saahil pe kashtiyan apni.!!

"Ameer Qazalbash"
__________

Ru-numaiyan = face revealing,
Kaj-kulahiyan = foppish, thoose wearing cap at an angle, slanted,
Dasht-be-karaa'n = infinite desert,

Tuesday, July 3, 2018

Basar Hona Bahut Dushwaar Sa Hai

Basar hona bahut dushwaar sa hai,
Ye shab jaise kisi ki bad-dua hai...

Andhere mod par mujh sa hi koi,
Na jaane kaun hai kya chahta hai...

Ek aisa shakhs bhi hai bastiyon mein,
Humein hum se zyaada jaanta hai...

Panaahein dhundhne nikli thi duniya,
Sawa neze pe suraj aa gaya hai...

Abhi tak surkh hai mitti yahaan ki,
Jahaan main hun wo shayad karbala hai...

Khushi ki lahr daudi dushmanon mein,
Wo shayad doston mein ghir gaya hai...

Kayi din ho gaye hain chalte chalte,
Khuda jaane kahaan tak raasta hai.!!

"Ameer Qazalbash"

Band Aankhon Se Wo Manzar Dekhun

Band aankhon se wo manzar dekhun..
Reg-e-sahra ko samandar dekhun.!

Kya guzarti hai mere baad us par..
Aaj main us se bichhad kar dekhun.!

Shahr ka shahr hua patthar ka..
Main ne chaha tha ke mud kar dekhun.!

Khauf tanhaai ghutan sannaata..
Kya nahin mujh mein jo baahar dekhun.!

Hai har ek shakhs ka dil patthar ka..
Main jidhar jaaun ye patthar dekhun.!

Kuchh to andaaza-e-tufaan ho 'Ameer'..
Naaw kaaghaz ki chala kar dekhun.!!

"Ameer Qazalbash"

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...