Posts

Showing posts from June, 2021

Kam kijiye huzoor tamazat mizaaj ki,

Kam kijiye huzoor tamazat mizaaj ki,  Aatey nahi parindey bhi tapti munder par!  کم کیجیے حضور تمازت مزاج کی آتے نہیں پرندے بھی تپتی منڈیر پر  _________________________

Mohabbaton Ke Yaqeen Mein Aa Kar Dagha Hua Na, Wahi Hua Na

Mohabbaton Ke Yaqeen Mein Aa Kar Dagha Hua Na, Wahi Hua Na,  Wo Ek Zid Pe Zamana Saara Khafa Hua Na, Wahi Hua Na.!  Wo Jis Ki Khaatir Zamaane Bhar Se Li Dushmani Tum Ne Umr Bhar Ki,  Wo Shakhs Tum Se Kisi Gali Mein Juda Hua Na, Wahi Hua Na.!  Wo Jis Ko Tumne Mitana Chaha Tha Dil Ke Khasta Se Kaghazon Se,  Wo Naam Aksar Udaas Perhon Pe Khud Likha Na, Wahi Hua Na.!  Bichhadte Lamhe Wo Jiski Aankhon Mein Ashk Aaye The Mere Ghum Mein,  Aaj Ghairon Ke Saath Hanste Hue Mila Na, Wahi Hua Na.!  Wo Jiski Tabeer Dhundhne Mein Ganwaai Neenden Thin Umr Bhar Ki,  Wo Khwab Aankhon Ke Saahilon Pe Hi Jal Bujha Na, Wahi Hua Na.!  Kaha Tha Chhorho Saraab Rastey, Na Pakdo Kaghaz Ki Titliyon Ko,  Inhin Khyalon Mein Waqt Saara Guzar Gaya Na, Wahi Hua Na.!  Wajood To Baant Le Gaya Tha Zamana Tum Se Aqeel Ab To,  Kisi Ki Yaadon Ka Ek Saaya Hi Sang Chala Na, Wahi Hua Na.!!  _________________________  محبتوں کے یقیں میں آ کر دغا ہوا نا وہی ہوا نا وہ ایک ضد پہ زمانہ سارا خفا ہوا نا ہوا نا وہی ہوا نا وہ جس کی خا

Kuch Bhi To Nahi Waisa Jaisa Tujhe Socha Tha

कुछ भी तो नहीं वैसा जैसा तुझे सोचा था,  जितना तुझे चाहा था,  सोचा था तेरे लब पर कुछ हर्फ़ दुआओं के  कुछ फूल वफाओं के  महकेंगे मेरी ख़ातिर.!  कुछ भी तो नहीं वैसा  जैसा तुझे सोचा था,  महसूस यह होता है  दुख झेले थे जो अब तक  बेनाम मसाफत में  लिखने की मोहब्बत में  पढ़ने की जरूरत में  बेसूर रियाज़त थी  बेफ़ैज़ इबादत थी जो ख्वाब भी देखे थे  इन जागती आंखों ने  सब ख़ाम ख़्याली थी  फिर भी तुम्हें तुझे पाने की  दिल के किसी गोशे में  ख़्वाहिश तो बचा ली थी  लेकिन तुझे पा कर भी  और खुद को गंवा कर भी  इस हब्स के मौसम की खिड़की से हवा आई,  ना फूल से खुशबू की कोई भी सदा आई  अब नींद है आंखों में  ना दिल में वो पहली सी ताज़ा सुख़न आराई, ना लफ़्ज़ मेरे निकले  ना हर्फ़ ओ मआनी की दानिश मेरे काम आई,  ना-दीदा रफ़ाक़त में  जितनी भी अज़ीयत थी  सब मेरे ही काम आई,  कुछ भी तो नहीं वैसा  जैसा तुझे सोचा था,  जितना तुझे चाहा था.!  کُچھ بھی تو نہیں ویسا   جیسا تجھے سوچا تھا جتنا تجھے چاہا تھا سوچا تھا تیرے لب پر کُچھ حرف دُعاؤں کے کُچھ پھُول وفاؤں کے مہکیں گی مِری خاطر کُچھ بھی تو نہیں ویسا   جیسا تجھے سوچا تھا محسوس

Allah Re Merey Shauq Ki Mushkil-pasandiyan

Allah Re Merey Shauq Ki Mushkil-pasandiyan  Kis Aaafat-e-jahaan Ko Kiya Intekhaab Hai..  Mainey Kaha Merey Ghar Aao, Kaha Kahaan,  Tera To Naam Pahley Hi Khana-kharaab Hai.!  اللہ رے میرے شوق کی مُشکل پسندیاں کِس آفتِ جہاں کو_____ کیا اِنتخاب ہے میں نے کہا کہ میرے گھر آٶ کہا کہاں تیرا تو نام پہلے ہی___ خانہ خراب ہے  _________________________

Hum Jaisey Dilbaron Ko Jahannum Mein Daal Ke,

Hum Jaisey Dilbaron Ko Jahannum Mein Daal Ke,  Baithey Raho Bahisht Ko Veeraan Kiye Huye.!  ہم جیسے دلبروں کو جہنم میں ڈال کے  بیٹھے رہو، بہشت کو ویران کئے ہوئے  _________________________

Tum Apney Bakht Pe Naaza'n Nahi Ho, Hairat Hai

Tum Apney Bakht Pe Naaza'n Nahi Ho, Hairat Hai,  Hum Aisey Log Duaaon Mein Maangey Jaatey Hain..  Duaaein Maang Teri Umr Mujh Se Zyada Ho,  Tujhey Mein Ja Ke Dikhaun Ke Aisey Jaatey Hain.!  ‏تم اپنے بخت پہ نازاں نہیں ہو ___ حیرت ہے ہم ایسے لوگ دعاؤں میں ___ مانگے جاتے ہیں دعائیں مانگ تری عمر مجھ ____ سے زیادہ ہو تجھے میں جا کے دکھاؤں کہ ایسے جاتے ہیں  ____________________________

Be-parda Mohabbat Ke Hijaabon Mein Mila Hai

Ba-parda Mohabbat Ke Hijaabon Mein Mila Hai,  Wo Jab Bhi Mila Hai Humein Khwabon Mein Mila Hai..  Dhundha Bahut Hum Ne Mohabbat Ko Jahaan Mein,  Ye Lafz Humein Sirf Kitaabon Mein Mila Hai.!  با پردہ محبت کے حجابوں میں ملا ہے وہ جب بھی ملا ہے، ہمیں خوابوں میں ہی ملا ہے  ڈھونڈا بہت ہم نے محبت کو جہاں میں یہ لفظ ہمیں صرف کتابوں میں ملا ہے  _________________________ 

Kabhi Aitbaar-e-ulfat Kabhi Hum Se Bad-gumani,

Kabhi Aitbaar-e-ulfat Kabhi Hum Se Bad-gumani,  Teri Ye Bhi Mehrbaani, Teri Wo Bhi Mehrbaani!  ‏کبھی اِعتــــبارِ اُلفت ، کبھـی ہم ســے بَد گُمانی تیری یہ بھی مِہـربانی ، تیری وہ بھی مِہـربانی  ____________________________

Yaar Hum Hain Na Tera Saath Nibhaney Waaley

Yaar Hum Hain Na Tera Saath Nibhaney Waaley,  Yahi Kahtey They Mujhey Chhorh Ke Jaaney Waaley..  Main Terey Chaak Pe Kamzor-tareen Kooza Hoon,  Toot Jaaun Na, Mujhey Aur Ghumaaney Waaley..  Meri Dahleez Ne Poochha Ye Mukarrar Un Se,  Mar Gaye Kya Wo Terey Naaz Uthaaney Waaley..  Haath Gaalon Pe Rakhey Poochh Rahi Ho Kya Hai,  Terey Tewar To Nahi Mujh Ko Manaaney Waaley..  Baat Aisi Thi Ke Masloob Kiya Jaata Mujhey,  Jaaney Kya Soch Ke Chup Hain Ye Zamaaney Waaley..  Kitni Qabrein Hain Merey Dil Mein Tujhey Kya Maaloom,  Kitney Qussey Hain Tujhey Dost, Sunaaney Waaley.!  _________________________  یار ہم ہیں نا تیرا ساتھ نبھانے والے  یہی کہتے تھے مجھے چھوڑ کے جانے والے میں تیرے چاک پہ کمزور تریں کوزہ ہوں ٹوٹ جاؤں نا مجھے اور گھمانے والے میری دہلیز نے پوچھا یہ مکرر ان سے مر گئے کیا وہ تیرے ناز اٹھانے والے ہاتھ گالوں پہ رکھے پوچھ رہی ہو کیا ہے تیرے تیور تو نہیں مجھ کو منانے والے بات ایسی تھی کہ مصلوب کیا جاتا مجھے جانے کیا سوچ کے چپ ہیں یہ زمانے والے کتنی قبریں ہیں میرے دل میں تجھے کیا مع