Mera khamosh rah kar bhi unhein sab kuchh suna dena,
Zabaan se kuchh na kahna dekh kar aansu baha dena...
Nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thehra,
Ke do tinke jahaan par dekhna bijli gira dena...
Main is haalat se pahuncha hashr waale khud pukaar utthe,
Koi fariyaad waala aa raha hai raasta dena...
Ijazat ho to kah dun qissa-e-ulfat sar-e-mahfil,
Mujhe kuchh to fasana yaad hai kuchh tum suna dena...
Main mujrim hun mujhe iqraar hai jurm-e-mohabbat ka,
Magar pahle to khat par ghaur kar lo phir saza dena...
Hata kar rukh se gesu subah kar dena to mumkin hai,
Magar sarkaar ke bas mein nahin taare chhupa dena...
Ye tahzeeb-e-chaman badli hai bairooni hawaon ne,
Garebaan-chaak phoolon par kali ka muskura dena...
'Qamar' wo sab se chhup kar aa rahe hain fatiha padhne,
Kahun kis se ke meri shamm-e-turbat ko bujha dena.!!
"Qamar Jalalvi"