Tuesday, June 26, 2018

Bahut Ghutan Hai

* Nazm *
__________

Bahut ghutan hai koi surat-e-bayaan nikle,
Agar sada na uthe kam se kam fughaa'n nikle..

Faqeer-e-shahr ke tan par libaas baaqi hai,
Ameer-e-shahr ke armaan abhi kahaan nikle..

Haqeeqaten hain salamat to khwaab bahutere,
Udaas kyun ho jo kuchh khwaab rayegaa'n nikle..

Wo falsafe jo har ek aastan ke dushman the,
Amal mein aaye to khud waqf-e-aastan nikle..

Idhar bhi khaak udi hai udhar bhi zakhm pade,
Jidhar se ho ke bahaaron ke karwaan nikle..

Sitam ke daur mein hum ahl-e-dil hi kaam aaye,
Zabaan pe naaz tha jin ko wo be-zabaan nikle.!!

"Sahir Ludhianwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...