Friday, June 29, 2018

Waqt Ke Haathon Ne Jab Tak Ke Na Khamosh Kiya

Waqt ke haathon ne jab tak ke na khamosh kiya,
Main ne tujh ko na kisi lamha faramosh kiya..

Us ki chahat ne sanwarne ka saleeqa bakhsha,
Shahar ke shahar ko us shakhs ne khush-posh kiya..

Hijr ke sadme bahut bakhshe ye sach hai lekin,
Lazzat-e-wasl se bhi us ne hum-aaghosh kiya..

Waqt ki dhool ne kajla diye suraj kitne,
Kaise kaiso'n ko zamane ne faramosh kiya..

Teri qurbat ne sikhaai thi mujhe may-noshi,
Aur furqat ne teri mujh ko bala-nosh kiya..

Kya mila tark-e-ta'alluq se bhi mujh ko 'Jawed',
Yaad ne chhoda na ghum hi ne subuk-dosh kiya.!!

"Jawed Naseemi"
__________

Faramosh = Forgetfull,
Khush-posh = well dressed,
Hum-aaghosh = embracing, locked in each other's arms,
May-noshi = drinking wine,
Bala-nosh = drunkard,
शराबी, बहुत अधिक पीने वाला,
Subuk-dosh = relieved of responsibility, lightly,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...