Wednesday, November 23, 2022
Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar
Sunday, October 23, 2022
Tujhe Na Aayengi Muflis Ki Mushkilaat Samajh
Tuesday, June 8, 2021
Mohabbaton Ke Yaqeen Mein Aa Kar Dagha Hua Na, Wahi Hua Na
Kuch Bhi To Nahi Waisa Jaisa Tujhe Socha Tha
Thursday, June 3, 2021
Hum Jaisey Dilbaron Ko Jahannum Mein Daal Ke,
Tum Apney Bakht Pe Naaza'n Nahi Ho, Hairat Hai
Be-parda Mohabbat Ke Hijaabon Mein Mila Hai
Wednesday, May 26, 2021
Is Tarah Nahi Kartey Raabta To Rakhtey Hain
Sunday, February 7, 2021
Mohabbat Raasta Hoti
Saturday, July 6, 2019
Wo Humsafar Tha Magar Us Se Hum-nawaai Na Thi
Wo humsafar tha magar us se hum-nawai na thi,
Ke dhoop chhaanw ka aalam raha judaai na thi.!
Na apna ranj na auron ka dukh na tera malaal,
Shab-e-firaaq kabhi hum ne yun ganwaai na thi.!
Mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha,
Shikasta-dil the musafir shikasta-paai na thi.!
Adawatein thin, taghaful tha, ranjishein thin bahut,
Bichhadne waale mein sab kuchh tha, bewafaai na thi.!
Bichhadte waqt un aankhon mein thi humari ghazal,
Ghazal bhi wo jo kisi ko abhi sunaai na thi.!
Kise pukaar raha tha wo doobta hua din,
Sada to aai thi lekin koi duhaai na thi.!
Kabhi ye haal ke donon mein yak-dili thi bahut,
Kabhi ye marhala jaise ke aashnaai na thi.!
Ajeeb hoti hai raah-e-sukhan bhi dekh "naseer",
Wahaan bhi aa gaye aakhir, jahan rasaai na thi.!
"Naseer Turabi"
Tuesday, June 11, 2019
Dost Tujh Bin Ye Zindagi Kya Hai
Dost Tujh Bin Ye Zindagi Kya Hai?
Din Hain, Aur Din Guzaare Jayenge,
Hum Tumhare Baghair Jeene Ki
Pahli Koshish Mein Maare Jayenge.!
ﺩﻭﺳﺖ ﺗﺠﮫ ﺑِﻦ ﯾﮧ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ
ﺩﻥ ﮨﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﺩﻥ ﮔﺰﺍﺭﮮ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﮔﮯ..
ﮨﻢ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺑﻐﯿﺮ ﺟﯿﻨﮯ ﮐﯽ
ﭘﮩﻠﯽ ﮐﻮﺷﺶ ﻣﯿﮟ ﻣﺎﺭﮮ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﮔﮯ...
दोस्त तुझ बिन ये ज़िंदगी क्या है?
दिन हैं, और दिन गुज़ारे जाएंगे..
हम तुम्हारे बग़ैर जीने की
पहली कोशिश में मारे जाएंगे.
Tuesday, March 26, 2019
Bichhadte Lamhon Mein
Bichhadte Lamhon Mein
Us Ne Mujh Se Kaha Tha,
Dekho!
Humari Raahein Juda Juda Hain
Magar Humein Ek dusre Ka
Khyaal Rakhna Hai Zindagi Bhar,
Kisi Bhi Lamha Udaasiyon Ki
Faseel Haail Na Hone Dena..
Hawa Ke Haathon Pe Likhte Rahna
Judaaiyon Ke Tamaam Qisse,
Qadam Qadam Pe Jo Pesh Aaye
Wo Saanhe Bhi Nazar Mein Rakhna..
Main Jab Bhi Lauta
To Apne Honthon Ki Taazgi Ko
Tumhari Bujhti Hui Aankhon Pe La Rakhunga,
Jo Meri Apni Hain, Sirf Meri..
Bichhadte Lamhon Mein Us Ne Mujh Se
Na Jaane Kya Kuch Kaha Suna Tha,
Aur!
Ab Us Se Bhi Yahi Kahega
Wo Jis Ke Haathon Mein Haath Daale
Naye Safar Pe Nikal Pada Hai.!!
بچھڑتے لمحوں میں
اس نے مجھ سے کہا تھا۔۔۔
دیکھو !
ہماری راہیں جدا جدا ہیں
مگر ہمیں ایک دوسرے کا
خیال رکھنا ہے زندگی بھر۔۔۔
کسی بھی لمحہ اداسیوں کی
فصیل حائل نا ہونے دینا
ہوا کے ہاتھوں پہ لکھتے رہنا
جدائیوں کے تمام قصے..
قدم قدم پہ جو پیش آئے
وہ سانحے بھی نظر میں رکھنا۔۔۔۔
میں جب بھی لوٹا تو
اپنے ہونٹوں کی تازگی کو
تمہاری بجھتی ہوئی آنکھوں پہ لا رکھوں گا
جو میری اپنی ہیں ، صرف میری
بچھڑتے لمحوں میں اس نے مجھ سے
نا جانے کیا کچھ کہا سنا تھا۔۔۔
اور !
اب اس سے بھی یہی کہے گا
وہ جس کے ہاتھوں میں ہاتھ ڈالے
نئے سفر پہ نکل پڑا ہے ۔۔۔۔۔۔۔
Monday, January 21, 2019
Aadat Hi Bana Li Hai
Aadat hi bana li hai
us shahar ke logon ne..
Andaaz badal lena
aawaaz badal lena..
Duniya ki mohabbat main
aitbaar badal lena..
Mausam jo naya aaye
raftaar badal lena..
Aghyaar wahi rakhna
ahbaab badal lena..
Aadat hi bana li hai
us shahar ke logon ne..
Rastey mai agar milna
nazaron ko jhuka lena..
Aawaaz agar do to
katra ke nikal lena..
Har ek se juda rahna
har ek ka gila karna..
Jaatey huye raahi ko
manzil ka pata de kar
rastey main rula dena..
Aadat hi bana li hai
us shahar ke logon ne..!!
"Parween Shakir"
عادت ہی بنا لی ہے اس شہر کے لوگوں نے
انداز بدل لینا
آواز بدل لینا
دنیا کی محبت میں
اطوار بدل لینا
موسم جو نیا آئے
رفتار بدل لینا
اغیار وہی رکھنا
احباب بدل لینا
عادت ہی بنا لی ہے اس شہر کے لوگوں نئے
راستے میں اگر ملنا
نظروں کو جھکا لینا
آواز اگر دو
تو کترا کے نکل جانا
ہر ایک سے جدا رہنا
ہر ایک سے خفا رہنا
ہر ایک کا گلہ کرنا
جاتے ہوئے راہی کو
منزل کا پتہ دے کر
راستے میں رلا دینا
عادت ہی بنا لی ہے اس شہر کے لوگوں نے . . .
"پروين شاكر"
Thursday, October 11, 2018
Hazaaron Baar Sochoge Humein Tahreer Karne Tak
Humein Daryaaft Karne Se Humein Taskheer Karne Tak,
Bahut Hain Marhale Baaqi Humein Zanjeer Karne Tak..
Humare Hijr Ke Qisse Sametoge To Likkhoge,
Hazaaron Baar Sochoge Humein Tahreer Karne Tak..
Humara Dil Hai Paimana, So Paimana To Chhalkega,
Chalo Do Ghoont Tum Bhar Lo Humein Taaseer Karne Tak..
Hunar Takmeel Se Pahle Musawwir Bhi Chhupata Hai,
Zara Tum Bhi Chhupa Rakkho Humein Taameer Karne Tak..
Wo Hum Ko Roz Loot'te Hain Adaaon Se Bahaanon Se,
Khuda Rakkhe Lutere Ko Humein Faqeer Hone Tak.!!
ہمیں دریافت کرنے سے ہمیں تسخیر کرنے تک
بہت ہیں مرحلے باقی، ہمیں زنجیر کرنے تک
ہمارے ہجر کے قصے سمیٹوگے تو لکھوگے
ہزاروں بار سوچو گے، ہمیں تحریر کرنے تک
ہمارا دل ہے پیمانہ، سو پیمانہ تو جھلکے گا
چلو دو گھونٹ تم بھر لو، ہمیں تاثیر کرنے تک
ہنر تکمیل سے پہلے، مصور بھی چُھپاتا ہے
ذرا تم بھی چُھپا رکھو، ہیمں تعمیر کرنے تک
وہ ہم کو روز لوٹتے ہیں، اداؤں سے، بہانوں سے
خدا رکھے! لوٹیرے کو، ہمیں فقیر کرنے تک..
Monday, July 23, 2018
Muddat Ke Baad
Muddat ke baad tum se mila hun to ye khula...
Ye waqt aur faasla dhokha nazar ka tha,
Chehre pe umr bhar ki masafat raqam sahi...
Dil ke liye tamam safar lamha bhar ka tha,
Kaisi ajeeb saa'at-e-deedar hai ke hum...
Phir yoon mile ke jaise kabhi door hi na the,
Aankhon mein kam-sini ke wo sab khwab jaag uthe...
Jin mein nigaah o dil kabhi majboor hi na the,
Masoom kis qadar thin wo be-naam chahatein...
Bachpan se hum-kanaar tha ahd-e-shabab bhi,
Yoon aatish-e-badan mein thi shabnam ghuli hui...
Mahtab se zyaada na tha aaftab bhi,
Phir wo hawa chali ke sabhi kuchh bikhar gaya...
Wo mahfilein wo dost wo gul-rang qahqahe,
Ab raqs-e-gard-baad ki surat hai zindagi...
Ye waqt ka azaab kahaan tak koi sahe,
Ab tum milin to kitne hi ghum hain tumhaare saath...
Patthar ki tarah tum ne guzaari hai zindagi,
Kitna lahu jalaya to ye phool muskuraye...
Kis kis jatan se tum ne sanwaari hai zindagi,
Main ne bhi ek johd-e-musalsal mein kaat di...
Wo umr thi jo phool se arman liye hue,
Ab wo junoon raha hai na wo mausam-e-bahaar...
Baitha hun apna chaak-e-girebaa'n siye hue,
Ab apne apne khoon ki amanat hai aur hum...
Aur in amanaton ki hifazat ke khwab hain,
Aankhon mein koi pyas ho dil mein koi tadap...
Phaile hue ufuq se ufuq tak saraab hain,
Kis ko khabar thi lamha ek aisa bhi aayega...
Maazi tamaam phir simat aayega haal mein,
Mahsoos ho raha hai ke guzra nahin hai waqt...
Ek lamha bat gaya tha faqat maah o saal main,
Tum bhi wahi ho main bhi wahi waqt bhi wahi...
Haan ek bujhi bujhi si chamak chashm-e-nam mein hai,
Ye lamha jis ke sehr mein khoye hue hain hum...
Kitni masarraton ka suroor is ke ghum mein hai.!!
"Himayat Ali Shayer"
_________________________
مدت کے بعد تم سے ملا ہوں تو یہ کھلا
یہ وقت اور فاصلہ دھوکہ نظر کا تھا..
چہرے پہ عمر بھر کی مسافت رقم سہی
دل کے لیے تمام سفر لمحہ بھر کا تھا..
کیسی عجیب ساعت دیدار ہے کہ ہم
پھر یوں ملے کہ جیسے کبھی دور ہی نہ تھے..
آنکھوں میں کم سنی کے وہ سب خواب جاگ اٹھے
جن میں نگاہ و دل کبھی مجبور ہی نہ تھے..
معصوم کس قدر تھیں وہ بے نام چاہتیں
بچپن سے ہمکنار تھا عہد شباب بھی..
یوں آتش بدن میں تھی شبنم گھلی ہوئی
مہتاب سے زیادہ نہ تھا آفتاب بھی..
پھر وہ ہوا چلی کہ سبھی کچھ بکھر گیا
وہ محفلیں وہ دوست وہ گل رنگ قہقہے..
اب رقص گرد باد کی صورت ہے زندگی
یہ وقت کا عذاب کہاں تک کوئی سہے..
اب تم ملیں تو کتنے ہی غم ہیں تمہارے ساتھ
پتھر کی طرح تم نے گزاری ہے زندگی..
کتنا لہو جلایا تو یہ پھول مسکرائے
کس کس جتن سے تم نے سنواری ہے زندگی..
میں نے بھی ایک جہد مسلسل میں کاٹ دی
وہ عمر تھی جو پھول سے ارماں لیے ہوئے..
اب وہ جنوں رہا ہے نہ وہ موسم بہار
بیٹھا ہوں اپنا چاک گریباں سیے ہوئے..
اب اپنے اپنے خوں کی امانت ہے اور ہم
اور ان امانتوں کی حفاظت کے خواب ہیں..
آنکھوں میں کوئی پیاس ہو دل میں کوئی تڑپ
پھیلے ہوئے افق سے افق تک سراب ہیں..
کس کو خبر تھی لمحہ اک ایسا بھی آئے گا
ماضی تمام پھر سمٹ آئے گا حال میں..
محسوس ہو رہا ہے کہ گزرا نہیں ہے وقت
اک لمحہ بٹ گیا تھا فقط ماہ و سال میں..
تم بھی وہی ہو میں بھی وہی وقت بھی وہی
ہاں اک بجھی بجھی سی چمک چشم نم میں ہے..
یہ لمحہ جس کے سحر میں کھوئے ہوئے ہیں ہم
کتنی مسرتوں کا سرور اس کے غم میں ہے..
An-kahi
Tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kya maloom...
Tere chehre ke ye saada se achhoote se nuqoosh,
Meri takh'eel ko kya rang ata karte hain,
Teri zulfein teri aankhein tere aariz tere honth,
Kaisi an-jaani si masoom khata karte hain,
Tere qaamat ka lachakta hua maghroor tanaaw,
Jaise phoolon se ladi shaakh hawa mein lahraye,
Wo chhalakte hue saaghar si jawani wo badan,
Jaise shoala sa nigaahon mein lapak kar rah jaaye,
Khalwat-e-bazm ho ya jalwat-e-tanhaai ho,
Tera paikar meri nazron mein ubhar aata hai,
Koi saa'at ho koi fikr ho koi maahaul,
Koi saa'at ho koi fikr ho koi maahaul,
Mujh ko har samt tera husn nazar aata hai,
Chalte chalte jo qadam aap thithak jaate hain,
Sochta hun ke kahin tu ne pukara to nahin,
Gum si ho jaati hain nazrein to khyaal aata hai,
Is mein pinhaa'n teri aankhon ka ishaara to nahin,
Dhoop mein saaya bhi hota hai gurezaa'n jis dam,
Teri zulfein mere shaanon pe bikhar jaati hain,
Jhuk ke jab sar kisi patthar pe tika deta hun,
Teri baahein meri gardan mein utar aati hain,
Aankh lagti hai to dil ko ye gumaan hota hai,
Sar-e-baali'n koi baitha hai bade pyar ke saath,
Mere bikhre hue uljhe hue baalon mein koi,
Ungliyan pherta jaata hai bade pyar ke saath,
Jaane kyun tujh se dil-e-zaar ko itni hai lagan,
Kaisi kaisi na tamannaon ki tamheed hai tu,
Din mein tu ek shab-e-mahtab hai meri khaatir,
Sard raaton mein mere waaste khursheed hai tu,
Apni deewangi-e-shauq pe hansta bhi hun main,
Aur phir apne khyalaat mein kho jaata hun,
Tujh ko apnaane ki himmat hai na kho dene ka zarf,
Kabhi hanste kabhi rote hue so jaata hun main,
Kis ko maloom mere khwaabon ki tabeer hai kya,
Kaun jaane ke mere ghum ki haqeeqat kya hai,
Main samajh bhi lun agar is ko mohabbat ka junoon
Tujh ko is ishq-e-junoon-khez se nisbat kya hai,
Tujh ko maloom nahin tujh ko na hoga maloom,
Tere chehre ke ye saada se achhoote se nuqoosh,
Meri takh'eel ko kya rang ata karte hain,
Teri zulfein teri aankhein tere aariz tere honth,
Kaisi an-jaani si masoom khata karte hain.!!
"Himayat Ali Shayer"
_________________________
تجھ کو معلوم نہیں تجھ کو بھلا کیا معلوم
تیرے چہرے کے یہ سادہ سے اچھوتے سے نقوش
میری تخئیل کو کیا رنگ عطا کرتے ہیں
تیری زلفیں تری آنکھیں ترے عارض ترے ہونٹ
کیسی ان جانی سی معصوم خطا کرتے ہیں
تیرے قامت کا لچکتا ہوا مغرور تناؤ
جیسے پھولوں سے لدی شاخ ہوا میں لہرائے
وہ چھلکتے ہوئے ساغر سی جوانی وہ بدن
جیسے شعلہ سا نگاہوں میں لپک کر رہ جائے
خلوت بزم ہو یا جلوت تنہائی ہو
تیرا پیکر مری نظروں میں ابھر آتا ہے
کوئی ساعت ہو کوئی فکر ہو کوئی ماحول
کوئی ساعت ہو کوئی فکر ہو کوئی ماحول
مجھ کو ہر سمت ترا حسن نظر آتا ہے
چلتے چلتے جو قدم آپ ٹھٹھک جاتے ہیں
سوچتا ہوں کہ کہیں تو نے پکارا تو نہیں
گم سی ہو جاتی ہیں نظریں تو خیال آتا ہے
اس میں پنہاں تری آنکھوں کا اشارہ تو نہیں
دھوپ میں سایہ بھی ہوتا ہے گریزاں جس دم
تیری زلفیں مرے شانوں پہ بکھر جاتی ہیں
جھک کے جب سر کسی پتھر پہ ٹکا دیتا ہوں
تیری باہیں مری گردن میں اتر آتی ہیں
آنکھ لگتی ہے تو دل کو یہ گماں ہوتا ہے
سر بالیں کوئی بیٹھا ہے بڑے پیار کے ساتھ
میرے بکھرے ہوئے الجھے ہوئے بالوں میں کوئی
انگلیاں پھیرتا جاتا ہے بڑے پیار کے ساتھ
جانے کیوں تجھ سے دل زار کو اتنی ہے لگن
کیسی کیسی نہ تمناؤں کی تمہید ہے تو
دن میں تو اک شب مہتاب ہے میری خاطر
سرد راتوں میں مرے واسطے خورشید ہے تو
اپنی دیوانگئ شوق پہ ہنستا بھی ہوں میں
اور پھر اپنے خیالات میں کھو جاتا ہوں
تجھ کو اپنانے کی ہمت ہے نہ کھو دینے کا ظرف
کبھی ہنستے کبھی روتے ہوئے سو جاتا ہوں میں
کس کو معلوم مرے خوابوں کی تعبیر ہے کیا
کون جانے کہ مرے غم کی حقیقت کیا ہے
میں سمجھ بھی لوں اگر اس کو محبت کا جنوں
تجھ کو اس عشق جنوں خیز سے نسبت کیا ہے
تجھ کو معلوم نہیں تجھ کو نہ ہوگا معلوم
تیرے چہرے کے یہ سادہ سے اچھوتے سے نقوش
میری تخئیل کو کیا رنگ عطا کرتے ہیں
تیری زلفیں تیری آنکھیں ترے عارض ترے ہونٹ
کیسی ان جانی سی معصوم خطا کرتے ہیں
Saturday, July 21, 2018
Ab To Beemar-e-mohabbat Tere
Ab To Beemar-e-mohabbat Tere..
Qaabil-e-ghaur Hue Jaate Hain.!!
"Dagh Dehlvi"
اب تو بیمار محبت تیرے
قابل غور ہوئے جاتے ہیں..
Thursday, July 19, 2018
Han Sa Bhi Hoga Jahaan Mein Koi Nadaan Jaanaa
Hum Sa Bhi Hoga Jahaan Mein Koi Nadaan Jaanaa..
Be-rukhi Ko Bhi Jo Samjhe Tera Ahsaan Jaanaa.!
Main Tere Pahli Nazar Ko Nahi Bhoola Ab Tak..
Aaj Bhi Dil Mein Hai Paiwast Wo Paikaa'n Jaanaa.!
Dasht-e-gul-rang Hai Kis Aabla Pa Ke Khoon Se..
Kar Gaya Kaun Bayabaan Ko Gulistaan Jaanaa.!
Kabhi Aate Hue Dekhun Tujhe Apne Ghar Mein..
Kaash Poora Ho Mere Dil Ka Ye Armaan Jaanaa.!
Ye Tera Husn, Ye Kaafir Si Adaa'en Teri..
Kaun Rah Sakta Hai Aise Mein Musalman Jaanaa.!
Kyun Tujhe Toot Ke Chaahe Na Khudaai Saari..
Kaun Hai Tere Siwa Yusuf-e-dauraa'n Jaanaa.!
Naghma O Sher Mere Zauq Ka Hissa To Na The..
Teri Aankhon Ne Banaya Hai Ghazal-khwaa'n Jaanaa.!
Ye To Poochh Us Se Ke Jis Par Ye Balaa Guzri Hai..
Kya Khabar Tujh Ko Ke Kya Hai Shab-e-hijraa'n Jaanaa.!
Wo To Ek Naam Tumhaara Tha Ke Aarhe Aaya..
Warna Dhar Leti Mujhe Gardish-e-dauraa'n Jaanaa.!
Ye Wo Nisbat Hai Jo Tooti Hai Na Tootegi Kabhi..
Main Tera Khaak-nasheen Tu Mera Sultaan Jaanaa.!
Kya Tamasha Ho Ke Khamosh Khadi Ho Duniya..
Main Chalun Hashr Mein Kahte Hue Jaanaa Jaanaa.!
Dar Pe Haazir Hai Tere Aaj Naseer-e-aasi..
Tera Mujrim, Tera Sharminda-e-ahsaan Jaanaa.!!
"Naseeruddin Naseer"
ہم سا بھی ہوگا جہاں میں کوئی ناداں جاناں
بے رُخی کو بھی جو سمجھے ترا احساں جاناں..
میں تری پہلی نظر کو نہیں بھولا اب تک
آج بھی دل میں ہے پیوست وہ پیکاں جاناں..
دشتِ گلرنگ ہے کس آبلہ پا کے خوں سے
کر گیا کون بیاباں کو گلستاں جاناں..
کبھی آتے ہوئے دیکھوں تجھے اپنے گھر میں
کاش پورا ہو مرے دل کا یہ ارماں جاناں..
یہ ترا حُسن ، یہ کافر سی ادائیں تیری
کون رہ سکتا ہے ایسے میں مسلماں جاناں..
کیوں تجھے ٹوٹ کے چاہے نہ خُدائی ساری
کون ہے تیرے سوا یوسفِ دوراں جاناں..
نغمہ و شعر مرے ذوق کا حصّہ تو نہ تھے
تیری آنکھوں نے بنایا ہے غزلخواں جاناں..
یہ تو پوچھ اس سے کہ جس پر یہ بلا گُزری ہے
کیا خبر تجھ کو کہ کیا ہے شبِ ہجراں جاناں..
وہ تو اک نام تمہارا تھا کہ آڑے آیا
ورنہ دھر لیتی مجھے گردشِ دوراں جاناں..
یہ وہ نسبت ہے جو ٹوٹی ہے نہ ٹوٹے گی کبھی
میں ترا خاکِ نشیں تو میرا سلطاں جاناں..
کیا تماشہ ہو کہ خاموش کھڑی ہو دنیا
میں چلوں حشر میں کہتے ہوا جاناں جاناں..
در پہ حاضر ہے ترے آج نصیرِؔ عاصی
تیرا مجرم، ترا شرمندہِ احساں جاناں..
"نصیرالدین نصیر"
Monday, July 16, 2018
Ishq Itne Qareeb Se Guzra
Ishq Itne Qareeb Se Guzra..
Main Samjha Ke Ho Gaya Mujh Ko.!
عشق اتنے قر یب سے گزرا...
میں سمجھا کے ہو گیا مجھ کو...
Friday, July 13, 2018
Magar Tumhein Kya
Main aadhe tirchhe khyaal sochun,
Ke be-irada kitaab likkhun..
Koi shanasa ghazal taraashun,
Ke ajnabi intisaab likkhun..
Ganwa dun ek umr ke zamane,
Ke har ek pal ke hisaab likkhun..
Meri tabiyat pe munhasir hai,
Main jis tarah ka nisaab likkhun..
Ye mere apne mizaaj par hai,
Azaab sochon, sawaab likkhun..
Taweel-tar hai safar, tumhein kya.?
Main ji raha hoon magar tumhein kya.?
Magar tumhein kya ke tum to kab se,
Mere iraade ganwa chuke ho..
Jala ke saare huroof apne,
Meri duaaen bhuja chuke ho..
Main raat odhoon ke subah pahnoon,
Tum apni rasmein utha chuke ho..
Suna hai sab kuch bhula chuke ho..
To ab mere dil pe jabr kaisa.?
Ye dil to had se guzar chuka hai..
Khizaa'n ka mausam thehar chuka hai..
Thehar chuka hai magar tumhein kya.?
Guzar chuka hai magar tumhein kya.?
Magar tumhein kya ke is khizaa'n mein,
Main jis tarah ke bhi khwaab likkhun.!!
"Mohsin Naqwi"
____________________
میں آڑھے ترچھے خیال سوچوں
کہ بے ارادہ ۔ ۔ ۔ کتاب لکھوں؟
کوئی ۔ ۔ ۔ شناسا غزل تراشوں
کہ اجنبی ۔ ۔ ۔ انتساب لکھوں ؟
گنوا دوں اک عمر کے زمانے ۔ ۔ ۔
کہ ایک پل کے ۔ ۔ ۔ حساب لکھوں
میری طبیعت پر منحصر ہے
میں جس طرح کا ۔ ۔ ۔ نصاب لکھوں
یہ میرے اپنے مزاج پر ہے
عذاب ۔ ۔ ۔ سوچوں، ثواب ۔ ۔ ۔ لکھوں
طویل تر ہے سفر تمہیں کیا؟
میں جی رہا ہوں مگر ۔ ۔ ۔ تمہیں کیا؟
مگر تمہیں کیا کہ تم تو کب سے
میرے ۔ ۔ ۔ ارادے گنوا چکے ھو
جلا کے ۔ ۔ ۔ سارے حروف اپنے
میری ۔ ۔ ۔ دعائیں بجھا چکے ھو
میں رات اوڑھوں ۔ ۔ ۔ کہ صبح پہنوں ؟
تم اپنی رسمیں ۔ ۔ ۔ اٹھا چکے ھو
سنا ہے ۔ ۔ ۔ سب کچھ ۔ ۔ ۔ بھلا چکے ھو
تو اب میرے دل پہ ۔ ۔ ۔ جبر کیسا؟
یہ دل تو حد سے گزر چکا ہے
خزاں کا موسم ۔ ۔ ۔ ٹھہر چکا ہے
ٹھہر ۔ ۔ ۔ چکا ہے مگر تمہیں کیا؟
گزر ۔ ۔ ۔ چکا ہے مگر تمہیں کیا؟
مگر تمہیں کیا ۔ ۔ ۔ کہ اس خزاں میں
میں جس طرح کے ۔ ۔ ۔ بھی خواب لکھوں
"محسن نقوی"
Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar
Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar, Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...
-
Koi Aisa Jaadu Tona Kar... Mere Ishq Mein Wo Deewana Ho, Yoon Ulat Pulat Kar Gardish Ki... Main Shama Wo Parwana Ho, Zara Dekh Ke Chaal ...
-
Hum ne har dukh ko mohabbat ka tasalsul samjha.. Hum koi tum they ke duniya se shikayat kartay.! Ham ne sookhi hui shaakhon pe lahu chidk...
-
Bakht Ke Takht Se Yak-lakht Utara Hua Shakhs, Tu Ne Dekha Hai Kabhi Jeet Ke Haara Hua Shakhs... Hum To Maqtal Mein Bhi Aate Hain Ba-sad Sh...