Monday, June 25, 2018

Us But Ke Pujaari Hain Musalman Hazaron

Us but ke pujaari hain musalman hazaron,
Bigde hain isi kufr mein imaan hazaron..

Duniya hai ke un ke rukh o gesu pe miti hai,
Hairaan hazaron hain pareshaan hazaron.. 

Tanhaai mein bhi tere tasawwur ki badaulat,
Dil-bastagi-e-ghum ke hain samaan hazaron..

Ai shauq teri pasti-e-himmat ka bura ho,
Mushkil hue jo kaam the aasan hazaron..

Aankhon ne tujhe dekh liya ab unhein kya ghum,
Haalanki abhi dil ko hain armaan hazaron..

Chhaane hain tere ishq mein aashufta-sari ne,
Duniya-e-musibat ke bayabaan hazaron.. 

Ak bar tha sar gardan-e-'Hasrat' pe rahenge,
Qaatil teri shamsheer ke ahsaan hazaron.!!

"Hasrat Mohani"
__________

Dil-bastagi-e-ghum = to comfort the pain,
Pasti-e-himmat = breakdown of courage,
Aashufta-sari = state of being in distress/ affliction,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...