* Nazm *
__________
Main ne har chand ghum-e-ishq ko khona chaaha..
Ghum-e-ulfat ghum-e-duniya mein samona chaaha..
Wahi afsaane meri samt rawaa'n hain ab tak..
Wahi shole mere seene mein nihaa'n hain ab tak..
Wahi be-sood khalish hai mere seene mein hanooz..
Wahi bekaar tamannaen jawaa'n hain ab tak..
Wahi gesu meri raaton pe hain bikhre bikhre..
Wahi aanhkein meri jaanib nigraa'n hain ab tak..
Kasrat-e-ghum bhi mere ghum ka mudawa na hui..
Mere bechain khyaalon ko sukoon mil na saka..
Dil ne duniya ke har ek dard ko apna to liya..
Muzmahil rooh ko andaaz-e-junoon mil na saka..
Meri takhayyul ka shiraaza-e-barham hai wahi..
Mere bujhte hue ahsaas ka aalam hai wahi..
Wahi be-jaan iraade wahi be-rang sawaal..
Wahi be-rooh kashakash wahi bechain khyaal..
Aah is kashmakash subah o masa ka anjaam..
Main bhi nakaam meri saii amal bhi nakaam.!!
"Sahir Ludhianwi"
___________
Be-sood = useless,
Hanooz = still/ yet/ till now,
Nigraa'n = guard,
Kasrat-e-ghum = excess of sorrows,
Mudawa = Cure,
Muzmahil = fatigued, exhausted, idle,
Takhayyul = imagination,
Shiraaza-e-barham = scattered unity; bond,
Kashakash = Contention, Dilemma, Grief And Pain , Struggle,
Saii = attempt, endeavour, effort,
No comments:
Post a Comment